Jeebon Roopkotha

106 17 5
                                    

Life's fairytales...

Mrinu: Ahaa, mere Rajputur ne keh diya woh shadi karenge aur bas Maa toh jaise pari hai… chhadi ghumaegi aur shadi ho jayegi… Aur meri phool si bachchi ko Bhutni bulanewale ko main apni bachchi kyu du?..  Naa Tupak hi theek hai…

Tupak use darata nahi, Nilu ki sab cheez ka dhyan rakhta hai aur use ghumane bhi le jaane ka vada kiya… kitni achhi kahani ki kitab lake di use padhne ke liye aur …

Byom: (came to Nilu) Abhi bolo Maa ko ke tumhe mujhse shadi karni hai. Bolo.. (he pulled her ear lightly) jaldi bolo maa ko… 

Nilu shook her head to no but smiled and Mrinu laughed… 

Mrinu: Dekha meri beti kitni samajhdar hai aur maa ki baat mannewali bachchi hai. Tumhari tarah nahi tufaan machaake rakhta hai pure ghar mein.

Byom left in a huff…

And then Mrinu and Nilu laughed for sometime… 

Mrinu: Haa toh Tupak se hi shadi karni hai na Nilu? Taiyari shuru kardu na? 

Nilu's eyes went round and then she looked down… 

Mrinu: kya Tupak nahi chalega? Uff phir toh bahar hi dhundna padega haina? Kya tujhe kahi mera pagla toh nahi chahiye naa? Pehle hi bata rahi hu… usko sambhalna ek Raaj Paath sambhalne se zyada mushkil hai…. Sambhal payegi? 

Nilu just touched her feet and ran away…

Late at night… 

Nilu was dreaming again and this time Rajkanya turned to look at her from the chariot where she sat with Dassyu Raja and smiled maliciously…

And Nilu screamed and cried out to Dassyu Raja… and then suddenly she was being hugged and pacified and there she was in the arms of her Dassyu Raja… 

Byom : Nilu kya hua? 

Nilu: Rajkanya….

Byom: Nilu mujhe puri kahani bataogi Dassyu Raja aur Rajkanya ki?... Mujhe sun na hai… 

Nilu: Durga ko Bachane ke baad Dassyu Raja use ek dusre nagar ke jungle mein le gaya...Waha woh kai mahino tak rahe… ek khandahar tha par Durga ke aane ke baad Dassyu Raja ne use dobara banwaya aur Durga use apne man mutabik sajati rahi. Dassyu Raja ke ghar mein bohot se aise log rehte the jo samaj ki peeda yaatna se tang aake waha rehte the aur saath kaam karte, Dassyuo ki seva karte aur unke parivar ka dhyan rakhte. Par Abul Khan ka aishwarya badh raha tha Jalalgarh mein unke sar pe inaam rakha gaya… ek din Dassyu Raja raat ko kisi zalim tehsildar ke yaha daka dalne jaa rahe the jab Durga ki aankh khuli aur woh unhe dhundte huye neeche aayi… toh sab hasi thatta kar rahe the ki Rajkanya ne jab se desh ki bagdor sambhali hai.. tab se Abul Khan yani Dassyu Raja ko pakadne ki koshish zyada hogayi hai… 

Durga Chhoti bachchi thi woh darwaze pe khade khade rone lagi… toh Abul uske paas aaye aur bole… 

Abul: Tumhara naam toh Devi ke naam pe hai, aur Devi toh shakti ka roop hoti hai… toh tum kyu ro rahi ho…

Durga: Aapne mujhe raat ko kahani sunate waqt kaha tha ke mai tumhe chhodke kabhi kahi nahi jaunga… par aap toh phirse jaa rahe ho…

Abul: kisi masoom ki raksha karni hai, tum nahi chahti ke main use bachau jaise tumhe bachaya tha… 

Durga: Haa chahti hu… par aap wapis aayenge ke nahi yeh sochne se darr lag raha hai. Mera toh koi nahi… Aap ko Raja ke sipahi ne pakad liya toh? …

Abul: Haa toh main toh akela insaan hu pakad liya toh pakad liya, mera kya bigad lega par tum theek se rehna…

Durga: Aap akele kaise huye itne sare log hai aapke liye…

Abul: Par mera apna toh koi nahi… koi Maa Baap nahi, Biwi nahi, parivar nahi … mujhse toh koi shadi bhi nahi karega…

Durga: (went and hugged him tight) koi shadi agar nahi karega toh aap mujhse shadi kar sakte hai… Bas aap pakde mat jana… 

Abul: Main ek musalman gareeb lohar ka beta aur tum kuleen brahman ki beti… kaise karogi shadi mujhse? 

Durga: Mujhe aap apne jaisa bana dijiye na… phir hum saath reh sakte hai….

Abul: Haa saath toh reh sakte hai… par tumhe mere saath kyu rehna hai… 

Durga: Aap mujhe pasand nahi karte?

Abul: haa karta hu, bohot pasand karta hu… aur jab tum thodi aur badi ho jaogi toh tumse hi shadi karunga… Par usse pehle tumhe vada karna padega ...ke tum mujhe chhodke kabhi nahi jaogi…

Byom: Varna main tumhare tukde tukde kar dunga. 

Jonakir KhelagharWhere stories live. Discover now