Meri Pehchaan

105 17 27
                                    

Byom sat near her and kept thinking what will he say to her?... he had forgotten how life was before his Nilu. She came in with her stories and changed everything within him. He didnt care whether she was Nilu Sussie or Durga, rather it just made him feel special and secure to know she thinks that they have loved each other in many different times and space.  

Nilu came to her senses and looked at him... 

Byom: Nilu... kaisa lag raha hai? Theek ho ab?

Nilu: (started to cry) Aapne mujhe dhund liya... aap kaise itna bada tyag kar sakte hai apne ghar mein padi ek sharanarthi ke liye. Main sach mein aisa nahi chahti thi. Mere liye aapke paas rehna kafi hota.. yeh sab... itna sab kuchh ki asha bhi nahi ki thi kabhi..  par jab waqt ayaa toh swarthi hoke socha maine. Aap pe apne pagalpan ka bojh....

Byom: Tumse Anondo ne jo kaha tumne maan liya.... Ek baar mere baare mein nahi socha Nilu....

Nilu: Chhote Raja, maine sab kagaz dekhe aapke desk pe. Aap kyu yeh sab karte rahe? Isiliye naa kyuki aapko main pagal lagi? Agar aap ko mujhpe yakeen hota ya aapko yeh sab yaad hota toh aap kabhi meri kahaniyo ki jaanch nahi karte.  Main pagal ho rahi hu, aapko yehi lagta hai. Phirbhi mujhse shadi kyu karna chahte hai. Maine apne reports bhi dekhe aapke bookshelf pe aur Anondo di ne kaha mujhe shayad tumour bhi hai.... Yani chand mahino mein main marne wali hu....

Aapne mujhe kuchh bhi nahi bataya. Ulta mujhse shadi ki taiyari kar rahe hai.... Kyun? Yeh Daya nahi toh kya hai? 

Byom: Pyar hai Nilu... Pyar hai. Par tum nahi samjhogi, tumhare liye mere saath ka koi mol nahi agar main tumhara Dassyu Raja nahi, ya Ahmer nahi. Tumhari kahaniyo mein tumhare sapno mein kya kabhi tumne Byom ko dekha. Woh Byom jo apne hi maa-Baba ki sachchi aulad nahi. Woh Byom jo nakhchada hai, gussa bhi karta hai aur pagalo ki tarah tumse pyar bhi karta hai. Tumhe lagta hai tum in sab mein daya ki patr ho? In sab sthiti mein main sabse kamzor hissa hu. 

Tum socho ke kitna bebas hu main ke mujhe lagta hai ke kisi din tumhari kahani ke Abul ya Ahmer tumhe kisi aur roop mein iss kaal mein tumhe mile toh tum shayad mujhe puri tarah se bhool jao... Phir batao ke yaha daya ka patr koun hai? Tum mere liye jo khana pakati ho mujhe toh wohi achha lagta hai, chahe maine use pehle kabhi nahi khaya ho. Tum mujhe jo pehnati ho wohi rang mera astitva ka sabse bada hissa ban jata hai. Tum jo kehti ho woh mere liye sabse bada sach, baki sab maya lagne lagta hai toh bolo hum dono mein se pagal kon hai? Aur balidaan kon de raha hai main ya Tum? Kyun ki maine toh apni Nilu ko hi humesha chaha par tum toh na jane mere koun se kaal ke kis roop se pyar karti ho? Toh yaha zindagi ka Jua kon khel raha hai.... Main ya tum? 

Byom was too emotional to speak and started to go out when he found Nilu was holding hist feet...

Nilu: (starts to cry) Aapne woh dabba khol ke nahi dekha... Maine jo dabba aapke liye chhoda tha... main aap se maafi mangti hu aapko takleef dene ke liye par aisa nahi hai jaisa aap soch rahe hai...

Byom: ( he picked her up) kya tha usme Putul? Main itna darr gaya tha tumhare jane ke baad ke maine uspe dhyan hi nahi diya... Achha tum rona band karo.... Main dekhta hu abhi...

Byom opened the first of many letters that she had written to him....

Mere Priyo Chhote Raja,

Yeh chitthi aapko kabhi nahi de paungi shayad par aapko likhna bhi zaruri tha. Jab main yaha aayi toh aapko apni kahaniyo aur sapno ka hissa maan kar bohot darti thi. Tabhi aksar shayad murchhit bhi ho jati thi. Par phir dheere dheere aap ko dekhne aur janne lagi toh samajh ayaa kyu aapke liye shraddha meinmera sar jhookta hai? 

Asmaan ke taro ke dekh ke badi honewali ek anath ladki ke liye aap kisi Roopkatha ke raajkumar se kam nahi. Chhoto ko pyar aur bado ko agadh samman dete huye dekha. Anath bachcho ke sath sadak pe football khelte aur kabhi mali kaka ka tuta hua chhat apne hatho se se banate dekha. Pupli ke naaz nakhre sab aapke liye hai... Uske dadamuni mein jaise uski jaan basti hai. TupakDa toh jaise aur phool jaate hai jab aap unke saath khade hote hai. Maa aur Baba ka maan hai aap.  In sab ke beech chhoti si main, roz maa ek nayi baat batati hai apne bukku ke baare mein aur roz main thodi aur hairan hoti hu. Par in sab ke mein, sabse ajeeb baat yeh, ke mujhe badi lalsa rehti hai ke aapki kahi baate sunu, aapse se judi cheezo ko chhuke dekhu, aapki kapdo ki khushboo ko pehchanu... Kahani ke kisi patr ke saath aisa toh nahi mehsoos hota. 

Aap ke saath bitaye har pal mein bachpan ki sari kami puri ho jati hai. Aap ko pranam karte waqt jab aap sar pe hath rakhte hai, toh mere sare darr khatam ho jate hai aur jab aap kuchh dino ke liye bahar jaate hai toh intezaar mein fikr aur hatasha judne lagte hai. Mujhe yeh saari bate samajh nahi aati theek se. Par aapse jab pura Jalsaghar chamakne lagta toh mujhe badi ichha hoti hai ke kaash mere paas aap ko janne ka aur thoda waqt hota. Kaash aap ko main pehle hi mil pati....

Aapke Jalsaghar ki Jhadbaati hoti aur har baar aap ke andheron mein chahe khud jalke bhi
aap ke liye roshni kar pati... Bohot khas insaan hai aap bilkul chaand ki tarah. Par mere jaisi Anath ke liye aapko dur se dekhna aur aapse har pal Jeevan ke rahasya seekhna bhi bade saubhagya ki baat hai....

Aapki...

Nilu 

Byom read the letter and then touched it to his heart. He was alone in his room. She really loved him only he had treated her unfairly by saying all those angry words in the night. He will have to talk to her in the morning...

Jonakir KhelagharOnde histórias criam vida. Descubra agora