Tum Nahi Toh

117 19 43
                                    

Next day when Nilu came out of her room, everyone had been waiting for her reactions. She went out checked out her squirrels and then while feeding the small chicks laughed out…

Byom: Humm kya ho raha hai? Meri Putul ab kya shaitani kar rahi hai… 

Nilu: (looked up smiling at him) Khana khila rahi thi par inhe sabar hi nahi. Mere haath se hi khane lage sab...toh mere haath mein  in sabki choch se gudgudi horahi thi…

Byom: Achha dekhu toh kaha gudgudi hui. Waise toh aam aadmi ko haath mein gudgudi hoti hi nahi, toh check karna padega. 

He picked up Nilu’s hand in his own and rubbed his stubble on it and Nilu laughed again and was snatching her hand away when he kissed her hand.

Byom: Aaj kaisa lag raha hai? Kahi sar mein dard toh nahi ho raha na Putul?

He looked so worried and guilty that Nilu came a bit closer to him. 

Nilu: Nahi, zara sa bhi nahi. Aur woh jo mujhe ulti si lagti hai, sar chakrata hai subah uthne ke baad woh bhi nahi hua… bas mujhe ab bhi bohot neend aarahi hai… Aapne mujhe koi davai di hogi shayad isliye…

Byom relaxed a bit, this means that her mind has come out of the stress of her story. She was sleepy because after the stress of the mind is over the body feels equally exhausted… he held her hand and took her back to her room...made her lie down and was running his fingers through her hair …

Nilu: Aap humesha mere liye itni chinta kyu karte hai? 

Byom: Pata nahi, tum theek nahi hoti toh Bhutoo mujhe bohot daat ta hai isliye shayad, Mimi bohat roti hai, Pupli toh apne kapde bhi chun nahi pati ke kya pehenegi, Baba Bridge khelne nahi jate aur Tupak tumhare kamre ke bahar chakkar katta rehta hai ki naya koi khana tum kab theek hoke banaogi…. 

Nilu: Aur aap?

Byom: (lost the mischievous little boy look) Main… main bhare pure pyar karnewale parivaar ke beech bhi akela ho jata hu… saans lene mein bhi takleef hoti hai… tum ...tum kabhi bimaar pado to jaldi theek hojaya karo Nilu… varna mujhe bohot takleef hogi.

Nilu sat up and held his face like a baby…

Nilu: Ab nahi bimaar padungi theek hai… aur Bhutoo se keh dungi ke aapko kabhi bhi nahi daante… 

Byom just hugged her… the pain and fear was taking its toll on him… He could see no more reason to delay the operation…

On the terrace…

Byom sat alone on the wooden rocking chair… looking at the stars ...it was a moonless night. When Tupak came …

Tupak : Dadamuni, Nilu seems better. Do you think it worked?

Byom: Haa Tupak it worked… she was very relaxed and happy…

Tupak: Then why the long face? 

Byom: (looked at Tupak his torment quiet evident in his eyes) We can go for the operation abroad soon now…

Par Tupak brain tumours can be funny they sometimes changes a personality completely. Their tastes, their memory can get wiped out. In college we used to joke to our patients that its a good idea to get a Brain tumour to get rid of a nagging wife…

Operation ke baad Nilu ka hum sab ko bhool jana koi badi baat nahi hogi…

Tupak: Dadamuni aap ko pata haina iss ghar ki Jaan hai aap. Humari Nilu agar humein bhool bhi gayi toh kya? Hum apne pyar se uske saath naye sapne, nayi yaaden aur naye rishte bana lenge. Yeh hissa itna pareshan karnewala hissa nahi hai Dadamuni. Aap akele nahi ho… ek bahot bada aur bohot resourceful parivar khada hai aapke saath. Aap bas aage badho…

Byom was still quiet… Mrinu and Biren came upstairs…

Mrinu: Pupli aur Bhutoo dono hai Nilu ke paas… Tu baith mere paas baith… Kya pareshan kar raha hai mere Bukku shona ko? 

Byom sat near her feet and buried his head in her lap….

Byom: Mimi woh agar mujhe bhul jayegi toh, mujhse pyar bhi karna bhool jayegi. Phir main uska Dassyu Raja, Ahmer ya Chhote Raja nahi rahunga. Toh mujhse aise pyar bhi nahi karegi na? Abhi use mere kahe bagair, jane kaise sab pata hota hai. Khane mein mujhe kya pasand aayega, pehenne mein mujhe kya rang pasand hai, meri kamre mein meri kitabe kalam kaha kaise rakhne se mujhe suvidha hoti hai… Main kabhi kabhi khud hi hairan ho jata hu. Par iske baad agar mere saath saath woh apne pyar ko bhi kho degi toh main kaise jeeunga. Agar operation ke baad sab theek raha toh bhi toh shyad usse main pasand na aau. Main….

Biren: Bukku agar ek pal ke liye hum Nilu ki kahaniya maan le toh… woh sadiya paar karke tere paas aayi hai… uska pyar ek tumour kha jayega aisa hona mushkil hai… aur agar uski kahaniya mehez kahaniya hai toh bhi uska subconscious mind tujhe apni kahaniyo mein uljha ke tujhse koi rishta banaye rakhna chahta hai.  Toh yeh pyar bhi woh bhul jaye aisa toh ho nahi sakta ….

Mrinu: Sab theek hoga amar shona tu bas pareshan mat ho…

Jonakir KhelagharWhere stories live. Discover now