FRIENDS?

516 67 4
                                    

KS- Hello kon?
.
HM- Hi, Haseena Mallik this side! Kya meri baat Swasti se ho rahi hai?
.
(Karishma eyes widen with excitement. She feels happy and finally she gets a chance to talk to her again, her heart was pumping freaking loudly, she was getting nervous. She was lost in her world till HM spoke)
.
HM- Amm... hello, koi sun sakta hai?
.
KS- Ha... Ha... Haan, ji Hum Karishma Singh hai. Aap woi Haseena Mallik hai naa jinhone hume aaj bachaya tha. Hume aapse baat karni thi, Thank You hume bachane ke liye. Par aapko beech mai aane ki jarurat nai thi. Kyuki agar aapko kuch ho jaata toh... (Pauses and thinks... Ek min hum yeh kaa bakk rahe hai. Hum toh aise behave kar rahe hai jaise inko kuch ho jaata toh humare jaan chali jaati.. huh, aisa thodi naa hota hai)
.
HM- Aap beech beech mai kahan khoo jaati hai?
.
KS- Ahh Sorry, hum keh rahe the, aapko khatra tha. Par Dhanywaad aapka. Waise aap aayi kaise?
.
HM- (smiles) Woh Kya hai na Karishma Singh, hum zarurat ke samay pahuch jaate hai kahan, kaise, kab yeh toh hume bhi nai pta hota. Aur rahi baat hume khatre mai daalne ki, toh, aapne hume kuch hone hi nai diya. Bhut acha ladti hai aap. Par agar aap itni strong hai toh, woh aapko bully kyu kar rahe the? Aur aapne Roka kyu nai.
.
KS- Iski bhut badi kahani hai, sach bole toh aap pehli hai humare school se jo hume bachayi hai, aur humse baat kar rahi hai. Warna koi humse baat karna kya, dekhna bhi nai chahta (sad)
.
HM feels sad after listening this, she feels another type of connection. They are talking to each other for the first time but it feels like they know each other very well.
.
HM- Koi baat nai Karishma Singh, aap chahe toh aap humse share kar sakti hai, Hum aapke saath hai. Waise aapko ek baat kahe, ghaata aapke doston ka hai jo aapke jaise ek ache, loyal aur strong dost ko kho diya. Aap apne aap ko iske liye blame mat kariye.
.
KS- Kya Aap humse dosti karengi ( KS realises what she said and she smacks and rubs her forehead.)
Nai humara matlab tha, aap... Woh... Nai... Aap ... Agar comfortable hongi toh... Humara woh matlab tha hume maaf lar dijiye.
.
HM- Relax, Karishma Singh, aap toh humse aise behave kar rahi hai, jaise hum aapke koi senior hai. Waise hai, par agar aap mai jhel paayi toh,
.
HM- Friends?
.
KS- Friends!
.
HM- waise aapko itna maarna nai chahiye tha, thoda jazbaat se bhi kaam lena chahiye. Agar aap unko thoda pyaar se samjhati toh woh aapko kabhi tang nai karte.
.
KS- Zazbaat kaa? Nai Haseena, yeh laato ke bhoot hai baaton se nai maante. Inhe ek baat apna bhaukaal dikha diya ab yeh humse panga lene ki himmat nai karenge.
.
HM- Karishma Singh woh Jazbaat hota hai.
.
KS- Haan Zazbaat. Woi bola na
.
HM- Nai aapne Zazbaat bola.
.
KS- Toh isme galat kya hai.
.
HM was going to correct her once again but she gave up) - Woh.. khair chodhiye ab hum rakhte hai... Byee.
.
KS- Aap kal school aayengi?
.
HM- Ji, kal mitle hai.
.
KS goes to have lunch, she was still smiling like an idiot. DS and Anubhav noticed this and were too happy to see her smile again. They prayed to god that Karishma's smile should never vanish again.
.
DS- Kyaa baat Karishma? Aaj alag hi duniya mai khoyi ho?
.
KS- Amma hume aapko kuch batana hai.
.
DS- Haan bolo!
.
KS- Amma, woh aapko jo humare shareer mai har din kharoch dikhti thi, woh... Asal mai, hume school mai lagti thi. Hum aapko btana nai chahte the kyuki fir school mai bakheda ho jaata.
.
AS- Behna, kisne haat utaya aapke upar?
.
KS- Woh humare school ke kuch classmates hai, unhe humse pta nai kaa jalan hai. Isliye woh hume har din tang karte the, par humare suspension ke baad hum unhe wapas maar kar bakheda nai banana chahte the. Isliye hum chup chap seh lete the.
.
DS- Toh aaj kyu bata rahi ho (angry)
.
KS- Kyuki aapko pta hai aamma(excited) Aaj hume kisi ne himmat di.
.
DS gets panic and thinks she hallucinated again- Kisnee? Papa ne? Karishma tum fir se?
.
KS- Nai Amma, Haseena ne.
.
DS- Kon Haseena?
.
KS- Hume bhi nai pta (casually)
.
Hearing this Anubhavs choughs badly because his food got stuck in his throat.
He drinks the water and says,
.
AS- Behna, Hume bhi nai pta se aapka kya tatparya hai? Aap, aapne dawai li thi?
.
KS- Aapko lagta hai hum fir se hallucinate kar rahe hai? (Angrily)
.
AS- Nai, Nai humara matlab kuch aur tha. Haha, aap sabji kyu nai khaa rahi ache se kahiye, warna weakness ho jaayegi.
.
DS- Karishma dhang se batao kya hua tha!
.
KS recites everything.
.
DS- Ohh toh yeh addmission lene aayi thi.
.
DS- Konsi class mai hai, tumne bola tha tumhari senior hai.
.
KS- Ji, woh humse do saal badi hai, 12th mai hai woh.
.
DS- Yeh toh bhut hi achi baat hai Karishma. Aur tumhari chehre ki chamak bta rahi hai ki, tum kitni khush ho. Bas aise hi rehna thik hai?
.
KS nods and DS kisses her forehead.
.
KS goes to sleep leaving Anubhav And Diyva alone.
.
DS- Tumhe kya lagta hai?
.
AS- Kis baare mai?
.
DS- Karishma firse imagine kar rahi hai?
.
AS- Hume samajh nai aa raha hai, thoda sach, thoda jooth lag raha hai? Aap kya soach rahi hai?
.
DS- Doctor ne kaha tha Karishma ke hallucinate karne ke chances 90% badh gaye hai. Isliye hume lag raha hai yeh uska bahram hai. Anubhav, tum jaa ke kal check karna, Sach mai Haseena hai ki nai. Thik hai?
.
AS- Ji Amma, hum sone chalte hai.
.....
Next day
Karishma hurriedly leaves to her school..
After half an hour Anubhav leaves for Karishma's school as he didn't want Karishma to know that they are spying on her.
.
Karishma searches for Haseena everywhere she becomes tensed as she was not able to find her. Anubhav reaches the school and searches for Karishma. When he found Karishma, He saw that a girl is hugging her, and Karishma has closed her eyes and a smile crept across her face. Anubhav becomes teary after looking at Karishma, he feels happy for Karishma and leaves from there.
.
KS- Ama, tum theek ho?
.
G- Sorry, mai aapke upar bilkul girna nai chahti thi, woh galti se mera pair fisal gaya. Sorry (repeats it for 128328 times). Par aap hass kyu rahi hai? Kuch der pehle toh bhut gusse mai thi.
.
KS- Woh kaa hai naa tum hume shayad 100 baar sorry bol chuki ho, aur koi baat nai agli baar se dhyaan rakhna thik hai? Aur hum gusse mai isliye the kyuki koi hume mil nai raha tha, par ab mil gaya. Jao tum.
.
KS thinking (aaj kal ke bache kitne darpok hai)
.........

Beyond Reality's VeilWhere stories live. Discover now