Part 3: Moving On

372 49 6
                                    

Karishma leaps from the railing, but she is caught; she looks up and sees Anubhav, who is almost hanging from the balcony. He pulls himself and Karishma up with great force. He carries her to the bed and tightly embraces her. Karishma clutches his t-shirt and sobs on his shoulder. Anubhav was in the same condition. The fear of losing his sister killed him as well. Karishma, on the other hand, thought she had caused more havoc and now has to face this life again, but this time with guilt that her family would be more protective of her, and she had given them another dose of tension.
After 15 minutes Anubhav breaks the hug and makes Karishma look into his eyes.
.
KS- Why did you save me?
.
AS- Aap pagal hai kyaa? Aap bhul gayi, aap humari behen hai Karishma, aur hum aapse bhut pyaar karte hai, aapko kaise kho sakte hai. Aap hai toh hum hai, humare baare mai ek baar bhi khayal nai aaya aapko?
Kya... Hum.... Itne... Bure.. hai... (He muttered softly, and looks down)
.
KS- Aap kya baikati kar rahe hai... Aap bure... Kabhi nai Anu bhaiya, aapne aur Maa ne hi toh hume shakti di hai, par ab thak chuke hai, hume nai samajh aa raha, hum Haseena ke bina kya karenge, kaise karenge. Hum bhut akela mehsoos kar rahe hai, aur hume bhi nai pta humne kab wahan jump karne ke liye taiyar ho gaye. Hum pagal ho gaye hai, sach mai. (Karishma covers her face with her hand and cries hysterically)
.
(P.S.- I can be a good writer for Ekta Kapoor's show 👌👍)
.
AS- Haseena aapke kahan se aati hai?
.
Karishma looks at him confusedly
.
AS- Bataiye
.
KS- Dimaag se
.
AS- Aur?
.
KS- Aur kidhar se aati hai?
.
AS he takes her hand and keeps it over her heart
.
AS- Yeh aapka dil hai, usse. Aap toh bhut lucky hai Karishma, kyuki Haseena toh aapke man mai hai, agar koi exist karta toh woh aapse dur ho sakta tha, par Haseena kabhi aapse dur nai hogi, pta hai kyu?
.
KS- Kyu?
.
AS- Kyuki aap hi Haseena hai, aap hi Karishma. Aapke andar ek Haseena hai jo aapko, har musibat se ladne ka sahas deti hai, aur aap jo usse pura karti hai. Aapko har waqt comfort dene ke liye aapka man hoga jo Haseena ban ke aayega aapki saamne. Aapka yeh dil har waqt aapko sahi raah dikhayega Haseena ban ke. Aapse jayda lucky toh aur koi ho nai sakta. Hum aksar kisi aur se umeed laga baithte hai, isliye humara dil tootata hai, par aap, aapne toh khud se hi pyaar kiya, khud se expectations lagaye, toh isme kya bura? Duniya pagal hai jo aapko pagal samajhti hai, humari nazar mai toh aap Hero hai, khud ki Hero, jo kuch bhi kar sakti hai. Apne will power se! And I am proud of You and your Haseena. Aap KarEena hai. Karishma ka Kar aur Haseena ka Eena.
.
KS chuckles
KS- KarEena yeh kaisa naam hai....
.
AS- Ab man mai kuch suj nai raha tha toh KarEena bana diya
.
KS bursts out laughing at his brother. Karishma laughed for the first time in a few weeks, and this was the best scene for Anubhav. He adored her despite his displeasure with what Karishma was attempting, but he wanted Karishma to express her feelings and share her problem with him.
.
AS- Aaj aapne humari Jaan leli thi
.
KS- Sorry, par ek min, aap yahan kaise abhi toh 12:30 ho raha aapko toh college mai hona tha naa?
.
AS- Aapne dawai khayi?
.
KS- Nai... Woh...
.
AS (cuts her)- Aapka kuch nai ho sakta, yeh lijiye khaiye.
.
KS- Hmm..
.
AS- Toh aaj humare college ka jaldi session khatam ho gaya tha, hum ghar mai pahuche the ki upar aapko dekha jo ki "chudail" jaise lataki hui thi.
.
KS- Ek min... Aapko abhi itne serious situation mai hume chidhana hai!
.
AS- Meri paayri behnna, shukar manaiye ki hum aapko khali chidha rahe hai, warnaa aapne jo dussahas kiya hai uske liye hum swayam aapko phek dete 🥰
.
KS- Achaa? Toh pheka kyu nai?
.
AS- Kya hai naa Amma apni adopted bache se Jayda pyaar karti hai... Kya bataiye aapko, humare toh bhagya phoot gaye (drama just like PJ)
.
KS- Ho gaya?
.
AS- Ji...
.
KS- Drama kara lo aapse...
.
AS- Aisaaaa?
.
KS- Ji!
.
AS- Theek hai ab suniye, apni kamzori ko apni taakat mai bhut kam log convert kar paate hai, aur aapko dekh kar hum nihsandeh keh sakte hai, aapke andar woh ability hai Behna, bas thoda sa time lagega, aur aap dekhna aapko aapse jo shikayat hai sab khatam ho jaayegi.
.
KS- Kaaassshhh aap late aate.
.
AS- Rukiye aaj hum hi aapki manokamna puri kar dete hai.
Anubhav picks Karishma up and walks to the balcony to throw her, but Karishma laughs and tries to break free because Anubhav was aiming for the garbage bin directly below KS.
.
AS- Janiye naa, garbage bin maai jaaye, yaa zameen mai jaana hai aapko
.
KS- Neeche utariye, mazaak kar rahe the hum.
.
After few minutes of teasing her, Anubhav makes her stand on the floor and hugs her tightly.
.
AS- Hum, aapko kho nai sakte behna. Please agli baar aisa mat karna.
.
KS- Sorry... Bhaiyaa.
.
AS- Bhookh lag rahi hai, kuch order kare? Aamma ne kahana bhi nai banaya hoga.
.
And they laugh evilly before going downstairs. Karishma turns on the television and connects to a video game SD. Anubhav brings her Pizza and Corn and entertains her.
Anubhav brings the order to the sofa after 15 minutes.
Now comes the difficult part: last piece kon khayega.
.
AS- Aamma ko hum kya batayenge aaj ke baare mai?
.
KS- Unko mat batana please, warna humse bhi bada bhaukaal mach jayega.
.
AS- Hum apni Aamma se kaise kuch chupa sakte hai?
.
KS- Aur aapki behen ka kya?
.
AS- Woh adopted hai 🙂
.
KS- Kya Chahiye 🙃
.
AS- Last slice
.
KS- Sapne mai bhi nai.
.
AS- Thik hai. Hum call karte hai
.
KS- Nai... Nai... Nai...
.
AS- Soch lijiye phir.. 😎
.
KS- Amma bhakkk.... Lijiyee!
.
AS- Thank You 🥰
.
Anubhav halves the pizza and gives the crust part to Karishma and eats the other one.
.
AS- Itne bure bhi nai hai hum.
.
KS- bhut jayda hai.
.
They laugh and continue to play the game.
.
AS- Waise behna aapka bhi toh man karta hoga naa kuch karne ka?
.
KS- Haan hota toh hai...
.
AS- Toh kabhi try kyu nai kiya?
.
KS- Aise hi, man nai tha...
.
AS- Waise kya hai woh?
.
KS- Boxing. Hume boxing karne ka bhut man hota hai.
.
AS mummers- Waise kam karleti hai aap!
.
KS- Sunai diya hume.
.
AS- Thik hai hum aapki class laga denge. Happy 👍
.
KS- Of course yess!
.........
.
P.S- This Part is written by someone else, isliye thodi jayda emojis aur baikati hai. Nevertheless I hope you enjoyed Anushma moment.
Talking about the KarEena college edition, I am not making it bcz many people have already made on it, so it might feel monotonous to you all.

Beyond Reality's VeilWhere stories live. Discover now