Aakhir Hum hi kyu?

483 67 4
                                    

Then Karishma goes towards the classroom and finds Haseena working on something.
.
KS- Hello Haseena Ji!
.
HM- Arrey waah, itni formality, Relax Karishma Singh aap hume Haseena bula sakti hai.
.
KS- Toh aap bhi hume Karishma Singh mat bulaiye, aisa lagta hai koi daat raha hai. Aap hume kuch bhi bula sakti hai.
.
HM- Kuch bhi? (Smiles evily)
.
KS- Nai, matlab Kuch bhi nai, Karishma bula lijiye.
.
HM frowns
.
KS- Accha aap kaam kya kar rahi hai?
.
HM- woh late addmission hua hai naa, toh work complete kar rahe hai. Aap yahan kaise aayi.
.
KS- Aapse milne.
.
HM- Accha! Waise Karishma Singh sorry Karishma aap bura na maane toh kya hum aapse ek baat puch sakte hai?
.
KS- Haan kyu nai
.
HM- Karishma aap itni alag kyu rehti hai sab se? I mean kal woh log aapko maar rahe the, aur aap itni strong hone ke baad bhi kuch nai kar rahi thi. Aisa kyu?
.
KS- Chodhiye na Haseena, Kya Karengi jaan kar. Aapne bacha liya kaafi hai.
.
HM- Lagta hai aap humko apna dost nai maanti
.
KS- Kaisi baat kar rahi hai aap, (holds her shoulders) Aap, humari sabse achi aur sachi mitra hai.
.
HM- Toh kya chupa rahi hai aap? Dekhiye Karishma, Haseena Mallik ne aapse dosti ki hai, hum khud marr jayenge, par apni dosti ko kabhi khatam nai karne denge.
.
KS gets emotional after listening this.
.
KS- Baat yeh hai ki..... Hume dar lag raha hai ki hum aapko apna sach batayenge aur aap bhi humse dur ho jaayengi. Hum... Sach bole toh pta nai, par hum aapko khone se dar rahe hai.
.
HM- Ek baar bta ko dekhiye plz.
.
HM's trustworthy eyes made Karishma believe her, and she decided to tell the truth.
.
KS- Achaa, toh suniye, hum... (Ashamed) Hume kuch mental problems hai. Jisse hum se sab dur bhagte hai. Hume koi pasand nai karta kyuki unko lagta hai ki, agar woh humare saath rahe toh, woh bhi humare jaise ho jaayenge. Koi matlab hai? Nai naa, pta nai humari kya galti thi? Hum Achanak se aise ho gaye naa! Hume toh kuch pta hi nai tha. Sab humse dur ho gaye. (Tears and frustration venting out) Sab!
.
Turns towards the window.
5 saal pehle kisi aise insaan ki maut ho gayi, jisse hum sab se jayda chahte the. Humara maan, vishwas, garva, sab the humare Papa.
S.H.O Shourya Singh. Sabse best officer, humare liye hi nai, balki puri duniya ke liye. Jab bhi hum papa ke thaane jaate the naa, koi bhi insaan bina justice liye khaali haath nai jaata tha. Aise the humare papa. Yeh toh duniya ke liye, humare aur humari family ke bhi Superhero. Hume na woh ek pal bhi akela nai chodhte the. Jaise hi duty khatam hoti thi, woh hume school se lene aa jaate the. Aur hum donon fir ghumne chalte the. Na jaane kitni yaadein Banai hai humne (wipes her tears) Par ek din, ek mission ne humse sab kuch cheen liya! Maar diya humare Papa ko! Aur hum akele padh gaye. Bhut akele, haan humare amma aur bhaiya ne koi kasar nai chodhi, hume khush rakhne ki. Par hum kabhi unki jagah nai de paaye. Jab Papa the, tab humare paas sab kuch tha. Hume kisi cheez naa toh insaan ki jarurat thi. Toh sochiye jab woh hi inasaan chala jaaye. (Voice gets deeper) Aur fir, fir hume uss baat ka itna bada sadma hua ki, hum pagal ho gaye, pagal ban gaye (chukles) Hume papa dikhne lagey , har jagah, har waqt, yeh baat hume nai pta thi. Jab woh hume nai dikhte the, toh hum khud ko maarte the aisa lagta tha humari galti thi sab, aur hume uski saja mil rahi hai. Par yeh saza asal.mai humari amma ki ban gayi thi. Humara gussa, aggression badhta jaa raha tha. Ek din itna ki humne yahi ek school ke bache ko buri tarah se peet diya. Aur ek hafte ke liye suspend ho gaye.
Isliye humne yeh gusse ki dawai lena chalu kar diya, jab humari class ke kuch logon ko pta chala ki hum, aggression pills le rahe hai toh woh unko ek opportunity mil gayi humse badla lene ki. Kiss baat ka badla, hum bhi nai jaante. Bas aadhe log hume pagal samajh kar dur bhagne lage aur aadhe log hume torcher karna. Jin jin ko humara sach pta chala hai, aaj tak woh insaan ne hume mud ke nai dekha. Toh sochiye (turns towards Haseena, who had tears in her eyes) aapko kaise batate? Aap bhi hume chodh ke chali jaati. Khair galti humari hume sach se hi dosti ki shuruvat karni thi. Maaf kijiyega. Aap yeh dosti tod sakti hai, hum... Hum chalte hai.
.
She goes out the class and directly goes to the washroom and locks herself in. She bites her fist to control crying loudly. She punches the wall hard. Her knuckles starts bleeding.
.
KS thinks- Kyu ShivJi? Kyu humare zindagi mai log aate hai, jab hone rehne hi nai hota? Har waqt hum hi kyu? Humne kya bigada hai? Har waqt hum hi kyu? Har waqt hum? (Cries badly)
Flashbacks of her father surrounds Karishma. And then flashback of Haseena. Their fight, their phone convo, and the last convo they had. The guilt of suffering from mental trauma is killing her inside. She is getting penalized for something she never did in her entire life. Whenever she felt close to someone, that person was snatched away from her. Instead of giving a little bit of sympathy to Karishma, everyone left her! Why? Just because her father was dead and she became too weak to handle this news?

Beyond Reality's VeilDonde viven las historias. Descúbrelo ahora