Aap hai na!

494 74 14
                                    

After the school hours, Karishma waits for Haseena outside the school gate, It's been an hour, but there is no sign of Haseena. Karishma gets panic and feels restless. Because of anxiety, she gets angry. She was looking so dangerous that whoever looked at Karishma, just changed their path. Suddenly someones back hugs.
.
HM- Sorry.. sorry... Sorry ... So so so sorry...
.
KS smiles- Thik hai, aapko itna time kaise lag gaya?
.
HM- Aapane aap se hi puch lijiye.
.
KS- Hein?
.
HM- Aapne kuch kahya hoga.
.
KS- Haan khaya tha, abhi 1 ghante pehle apni dawai li thi. Par aapko kaise pta? Aur humare khaane se kya connection hai?
.
HM- Kuch nai. Bas kya aap bhi, dawai khaati rehti hai! Theek nai hongi agar itni khaayengi toh.
.
KS- Khana toh hum bhi nai chahte warna fir bharam hota rahega hume.
.
HM- Haan toh hone dijiye, aap khush rahti hai na bharam karke. Toh mat kahiye yeh dawai.
.
KS- Humari wajah se Amma aur Anu bahiyaa bhut takleef mai aa jaate hai (sad) Par ab kya ab aap hai naa! (Excited)... Dheere Dheere yeh dawai bhi chuth jaayegi.
.
HM- Ussi ke liye toh aaye hai.
.
KS- Kaa!
.
HM- Nai, humara matlab ab aapko koi dawai leni ki jarurat nai, hum aapko bina dawai ke theek kar denge ( heroically)
.
KS- woh toh hai, waise Haseena ab chale?
.
HM- Haan chaliye, pehle aapko chodh dete hai.
.
KS- Haseena aap kahan rehti hai?
.
HM- Aapke Man mai
.
KS- Hein?
.
HM realises what she said - Kyu nai rehte kya? (Blinks)
.
KS- Ohhh! Nai aap toh humare dil mai raaj karti hai ( says sarcastically)
.
HM- Haha!
.
KS- Bataiye naa
.
HM- Woh gali dekh rahi hai? (KS nods) Wahan 4 number mai.
.
KS- Thik hai.
.
HM- Waise aapko aane ki zarurat nai hai, aap bas hume yaad karna aur hum Haazir.
.
KS- Acha?
.
HM- Aur nai toh kya!
.
KS- Aapne humara ghar dekha bhi hai
.
HM- Haan dekha hai, Humne toh aapke upar pura bio data bana diya hai.
.
KS- Acha hai kaam aayega aagey!
Acha Bye.
.
HM- Bye. Kal milte hai.
( And here comes the Iconic Kareena Handshake)
.
Karishma goes to her home, her mother was waiting for her.
.
KS- Amma.... Kaa hua aap thodi serious lag rahi hai.
.
DS- School se call aaya tha.
.
KS- Ab kya kahan unhone?
.
DS- Yahin ki pichle ek mahine se tum class ke bahar khadi ho! Aaj bhi thi. Yeh kya chal raha hai?
.
KS- Amma, woh hum late ho gaye the class ke liye.
.
DS- Kyu? Tum toh time pe nikli thi naa.
.
KS- Haan, woh... Woh .. (fumbles)
.
DS- Thik hai.. thik hai.. daro mat. (Comes closer to her and puts her hand on KS's head) Relax, next time dhyaan rakhna.
.
KS- Sorry Amma.
.
DS- Beta baat bahar khade hone ki nai hai, tumhari padhai, aur time waste ho raha hai naa. Warna tum bhi jaanti ho hume tumhari teachers ki baaton ka koi bura nai lagta... Ab jao fresh ho jao, abhi tumhare exams bhi aane wale hai naa. Karishma (serious) tumhe pta hai na, tumhe iss baar paas hona hi hai, warna tumhe school se nikal diya jaayega.
.
KS- Hum koshish karte hai amma, par kuch smajh nai aata. Sab bhul jaate hai. Jaise hi paper saamne aata hai, pta nai humara dimaag kahan udd jaata hai. Hum iss baar aapko niraash nai karenge.
.
DS nods and KS goes to her room to get fresh.
.
Evening
KS was sitting on her study table. She tried solving Maths but almost 5 pages were scribbled by her in frustration.
.
KS- Aaaaahhhhhhhh, kis topa aadmi ne banaya hai isse.
.
KS again tries to solve one but fails again. She scribbles and tears the page and throws it in dustbin. She feels tired and closes her eyes and massages it.
.
KS- Samajh nai aata hum woi Karishma Singh hai jo pehle ek sum ek minute mai kar dete the. Kya ho gaya hai hume.
.
Someone- Waise hi jaise ab karengi!
.
KS thrills after listening to the voice. She searches from where did the sound come. Then she checks her phone.
.
Person- Arrey hum yahan hai (struggles while saying) idhar khidki ke bahar, ab hume andar laaiye warna humari haddi toot jaygi.
.
KS- Ama, aap yahan kya kar rahi hai, aur woh bhi aise? Humare ghar mai ek bhut aacha darwaja hai. (Sarcastically)
.
Yes that person is Haseena.
.
HM- Ab aap kya lecture deti rahengi, yaa hume uthayengi. Warna Allah hi utha lenge hume.
.
KS- Nai woh bhi aapki inn harkato ko jhel nai paaynge, rukiye.
(She pulls HM inside the room through the window)
.
KS- Aapko lagi toh nai? Kon bola tha aise khidki se aane ko? Aapko lag sakti hai naa. Aap kya karti hai. Par ek min, aap yahan kya kar rahi hai?
.
HM- Humne aapse kya kahan tha, aap jab bhu musibat mai hongi, hum aa jaayenge. Dekhiye hum aa gaye. Aur rahi baat hume chot lagne ki (comes closer and whisper in her ears) Aap hai naa, hume kuch hone hi nai dengi. Aapko surprise dena tha, isliye khidki se aaye.
.
KS- Yahan Spider man ban ke ghum rahe hai sab. (Goes towards her table)
.
HM- Waise kar kya rahi thi aap... (Looks at the table) Ohh Maths. Acha hai.
.
KS- Acha hai? Sardard hai yeh humare liye.
.
HM- Arrey kitna easy toh hai.
.
KS- Acha woh kaise?
.
HM- Chaliye aaj hum aapko padhate hai.
.
KS- Amm... Thik hai.
.
HM takes a chair and sits beside KS. She explains each concept to Karishma clearly. She explains her some easy tricks.
.
HM- Dekhiye, isse aap divide kar dengi toh aapka answer aa gaya. Bhut bada question tha yeh.
.
KS was looking nervous while looking at her notebook.
.
HM- Karishma, Kya hua?
.
KS- Aapko pta hai humara boards aane wala hai, aur agar hum iss baar pass nai hue toh hum fail toh honge hi, par saath hi saath school se nikale bhi jaayenge. Bas dar lag raha tha. Kaise karenge hum. Aisa nai hai ki hum kabhi fail nai hue, bhut baar hue hai, koshish karke fail hue hai, isliye dukh nai tha. Par agar abhi hua toh....
.
HM- Karishma (puts her hand on KS' s shoulder) it's okay. Kuch nai hoga. Aap aapna level best deti hai naa, bas woi karna hai. Aap koi tutor ke paas kyu nai jaati?
.
KS- Tutor (laughs) iss area ke saare tutors ko pta hai humari problem ke baare mai. Aama ne pucha tha, sabne mana kar diya.
.
HM- Aisi baat hai toh, chaliye hum banenge aapke Tutor. Abse aapko padhana humari responsibility. Hmm?
.
KS- Aap (excitement)
.
HM- Haan, hum thoda bhut acha padha lete hai. Toh shuru kare?
.
KS- Jarur.
.
HM- Okay, first chapter se chalu karte hai.
.
HM reads the chapter first and then explains to Karishma. At first Karishma was not able to understand, but she didn't give up. HM explained her again and again till she understands the topic. Then HM asks her to solve the sum within a time limit. And Karishma was able to solve it. This induces confidence in Karishma's mind. She solves the whole chapter. Then they continue to the next one. Haseena again explains her everything and Karishma understands everything and after 3 hours they stop solving.
Meanwhile Haseena just stares at Karishma with love.

.
HM- Bas 3 ghante ho gaye. Dekha aapne kar dikhaya. Humne kaha thaa, aap aaram se kar sakti ho. Karishma, koi bhi cheez mushkil nai hoti, bas dikhti hai. Agar usse smajhne ka dharya rakhenge toh woh aaram se samaj mai aa jaayegi. Ab aap break lijiye. Thik hai hum chalte hai.
.
KS thinks - Smajh nai aata, kaise aapka dhanyawaad kare. Aap humari angel hai Haseena. Please kabhi aap humse dur mat jaana)
.
HM- Nai jaayenge.
.
KS- Kaa?
.
HM- Kuch nai, hum keh rahe the hum jaaye?
.
KS- Haan 8 baj gaye, please jayiye warna late ho jaayengi.
.
HM- (goes out of the window)
Byeeeeeeeee Karuuuuuuu (in a childish way)
.
KS just smiles and waves back.
.

........
Hello everyone, I am sorry for updating late and I guess I have created many errors while writing, plz cope up with it. Thanks for having paitence.

Beyond Reality's VeilWhere stories live. Discover now