💜~Ruthe Piya~💜

1K 168 304
                                    

"Hume college ke liye late ho raha hai Sneha hum baad mein baat karte hai...!" Haseena said calmly and then disconnected the call.

Meanwhile, Sneha sat sadly on her bed

Sneha-Anu tum baat karo na badi di se...(she requested with puppy eyes).

Anuraag- do behno ke beech mujhe pisne ka shaukh nhi hai...

Sneha-yaar ek hafta ho gya hai unse baat kiye...please help kar do, unka thappad itna nhi lagta jitna narazgi lag rahi hai...(sadly).

Anuraag-gusse mein bolne se pehle sochna chahiye tha....(tauntingly).

Sneha-yaar mera dimaag kharab tha us waqt aur di beech mein aa gyi toh gussa un par nikal gaya...(guilty).

Anuraag-haan toh ab khud manao, mujhse help ki ummeed mat karo....

Sneha-pati ho tum mere...

Anuraag-woh maa samaan behan hai tumhari Sneha...maa ko duniya se jyada apni baccho ki baaton ka bura lagta hai, unhe bhi laga hoga...aur kya jaroorat thi Anubhav bhai ka naam beech mein lene ki...(angry).

Sneha-maine toh bas bola ki woh nhi lenge transfer agar lena hota toh ab tak le liya hota...jhooth kya tha, agar unhe transfer lena hota toh ab tak le chuke hote par nhi liya na..matlab nhi lenge, unhone bas Di se jhootha promise kiya...

Anuraag-tumhe kaise pata jhootha tha ya sacha...Tum bhi janti ho government job mein transfer apni marji se nhi milta aur agar chahiye toh kitne papad belne padte hai uske liye....woh bhi try kar rahe hai, par abhi nhi mil raha hai...diwali ke baad bola hai unke senior ne...(he said tauntingly).

Sneha-tumhe kaise pata...(suspiciously).

Anuraag-meri baat huyi thi unse kuch din pehle hi, jab humne unhe pooja ke liye invite karne ke liye phone kiya tha..

Sneha-ouu..waise aur kya baat huyi thi...(curiously).

Anuraag-kyun bataun main tumhe..(he taunted).

Sneha-wife hoon main tumhari aur nhi bataya na toh kamare se bahar nikal dungi...phir sona hamare is flat ke balcony mein...(she said with a evil smirk).

Anuraag-nikal do, main badi di ke paas shikayat kar dunga tumhari...phir toh aur baat nhi karengi..(he smirked back).

Sneha-huh...bhaad mein jao...(she stomped on his foot).

◦•●◉✿🌼✿◉●•◦

"Yaar Di aap mujhe mat faso, pata chala aapki help karne ke chakkar mein badi di mujhse bhi naraz ho gyi...!" Jeevika refused Sneha's request.

Sneha-tu meri pyaari behan hai na, please help kar de...

Jeevika-Sona se help lo...woh kar degi...

Sneha-nhi..use pata nhi hai aur pata chala toh woh Dadi amma pakka meri jaan le legi, yaad hai na bachapan mein kaise ghusa maar diya tha (she recalled the incident), nhi abhi toh uska ghusa bhi strong ho gya hai...(scared).

Jeevika-aapko Sona se sirf Badi di bacha sakti hai aur badi di se maafi sirf Sona dila sakti hai...isliye ab aapke haath mein hai..

Sneha-Dev se bol na, woh bhi di ka pyara hai...(she requested).

Jeevika looked at Dev, who was listening to their conversation on speaker.

Dev-sorry Sneha di, risk nhi le sakta...

Sneha-yaar sab ke sab useless ho...(she hung up the call in disappointed).

Anuseena-𝑬𝒌 𝑷𝒓𝒆𝒎 𝑲𝒂𝒉𝒂𝒏𝒊 ✔Where stories live. Discover now