💜Baatein Kuch Ankahi Rah Gayi💜

1.1K 167 174
                                    

Continuing from previous part...

"Hum aapse ek baat puchhe...?" Haseena said. Anubhav hummed, covering her with blanket.

Haseena-hum chehre par nishan dekh kar lag raha hai jaise hume kaafi chot lagi thi...

Anubhav-hmm...aap chehre ke bal hi giri thi isliye us par hi nishan pad gaye...

Haseena-bahot jyada the na, isliye aapne hume ek mahine mirror nhi dekhne diya....(she asked, gazing into his eyes).

Anubhav-nhi..jyada nhi the...(stealing his eye contact with her).

Haseena-hmm...acche nhi lag rahe the hum us waqt...(she asked).

Anubhav-aisa kuch nhi hai, nhi thi jyada chot (with a smile), ab jyada sochna band kariye aur so jaiye...(kissing her forehead).

Haseena-aap bhi so jaiye yahin...

Anubhav-papa hai Haseena ji, kya sochenge hamare bare mein...

Haseena-kuch nhi..(he smile slightly), aapko kya lagta hai jo aap aadhi aadhi raat mein hamare room mein aakar sote hai hamare paas Papa ko pata nhi chalta hoga..sab pata hai unhe...

Anubhav(nervous)-kya...?? Par unhone kuch bola kyun nhi humse...(tensed).

Haseena-kyunki bharosa hai unhe hum par...(smiling).

Anubhav-jo humne deh mahine pehle tod diya...(guilty).

Haseena-aisa kuch nhi hai, woh jante hai ki aap humse kitna pyaar karte hai, jante hai agar hamare beech kuch hua hoga toh hamari iccha se hi hua hoga..aur agar humne aapko apna puri tarah banaya hai toh bahut soch samjh kar kadam aage badhaya hoga...(she said gazing into his eyes).

Anubhav-par galat tha na, shaadi se pehle yeh sab...bharosa toda humne Papa ka...(guilty).

Haseena-jo hua woh aapko galat lag raha hai ab..(hurted).

Anubhav-nhi, jo hua agar galat lagta toh hum dobara us raat wapas aage nhi badhte...bas papa ke vishwas ka fayda uthaya humne...(sadly).

Haseena-uthaya hota agar jo hua usme hamari marji na hoti, pyaar aur vishwas na hota...aur hamari sagai nhi huyi hoti..phir toh pakka Anuraag ji ki tarah aapko bhi ek pad jata....🤭

Anubhav-kya...Anuraag ko thappad pada hai Papa se...(worriedly).

Haseena-haan, jab dono ke pyaar ke bare mein Papa ko pata chala toh dono ko pada tha...

Anubhav-aapne roka nhi..??

Haseena-hum exam dene gaye the apni masters ke.....

Anubhav-phir kya hua?

Haseena-phir jab hum ghar aaye toh sab pata chala aur humne baat ki dono se, sach mein pyaar tha dono ke beech koi attraction ya college mein show off ke liye nhi kiya tha..dono ko aage padhna tha isliye humne warning de diya ki number kam aaye toh shaadi nhi hone denge...hamari Sneha, hamesha se hamari sabse acchi bacchi rahi hai maan gyi baat, pata hai aapko (her moist eyes shined), usne kabhi hamari mehnat barbaad nhi hone di..bahot ambitious hai bachapan se, apne sapne pure karke hi saans li usne aur Anuraag ji ne bhi uska pura saath diya...(smiling).

Anubhav-itna prem hai dono behno mein toh us din aisa kya ho gya tha ki aap itna hurt ho gyi thi?

Haseena-uska gussa, Sona ka gussa toh uske samne kuch nhi hai...bas usi gusse mein hum samane aa gaye aur jo gussa tha usne nikal diya, pehli baar nhi hai kayi baar ho chuka...bechari ko maar bhi padi hai bua dadi se iske liye..

Anubhav-toh aap is baar naraz kyun hai unse?

Haseena-usne hume kuch bola hota toh hume jyada fark nhi padta kyunki uska gussa hum samjhte hai par usne gusse mein aapko bhi bahot kuch bol diya, itne logon ke samne..jo aapko jante tak nhi the, uski baaton ki wajah se sabne kya kya soch liya hoga aapke bare mein aur uski baaton ne us din hurt kiya hume isliye...(she answered sadly).

Anuseena-𝑬𝒌 𝑷𝒓𝒆𝒎 𝑲𝒂𝒉𝒂𝒏𝒊 ✔Where stories live. Discover now