Teri Meri Love Story (6.2)

1K 183 35
                                    

After watching the movie, Sid, Sana, Raj and Trisha were coming out of the theatre while talking.

"Kitni bakwas movie thi. Toxicity, cheating aur violence ke alawa kuch aur dikhaya hi nahi. I literally regret watching this in theatre." Said Sana making an annoyed face.

"Sach mein. Ranbir Kapoor aisa character play karega expected nahi tha." Said Trisha.

"Seriously. He is one of my favourite actors. Kitni acchi acchi movies kiyi hai usne. Iss se accha toh main ghar pe baith ke Ajab Prem Ki Ghazab Kahani dekh leti."

"Paata nahi woh ek hi movie repeat pe dekhne mein tujhe kya maza aata hai. Mujhe toh yeh movie bohut acchi lagi. Entertaining thi, acting bhi acchi thi sab ki. Aur kya chahiye?" Said Sid.

"Bhai mujhe bhi acchi lagi. Maa kasam Tripti Dimri kya hot lag rahi thi!" Said Raj.

"Isne toh bas uss hi ko dekha." Said Trisha to Sana and she laughed.

"Aisa nahi hai." Said Raj defending himself. "Family scenes bhi kitne acche the. Jab Ranbir ne apni behen ke liye college mein AK-47 chalaya, that scene was so damn good. Sana aage se tujhe koi chherega na, main bhi aisa hi karunga."

Sana laughed and said, "Bhai aap na rehne di jiye. Aap kisi se unchi awaz mein baat tak nahi kar sakte aur AK-47 chalayenge?"

Sid agreed and said, "Yaar point hai. Raj, tujhse nahi hoga. Kahi aisa naa ho ki kisi din tujhe protect karne ke liye Sana AK-47 utha le. Kyu ki woh toh hai hi humari lady Animal."

Everybody laughed hearing that.

Soon the boys sat on their bikes and took their sisters home.

Sana and Raj reached home. Sana looked at the balcony but couldn't see the cloth. She got scared.

"Mera kapda kaha gaya? Kahi Mummy ne....."

Sana and Raj looked at each other and gulped their saliva. They slowly entered the house and saw their parents. Parminder Ji was sitting on a chair with a broom in her hand while their father Santokh Ji was standing at a corner. He was also scared of his wife.

"Kitne baj rahe hai?" Asked Parminder Ji.

Sana looked at the clock and said, "P...paune teen."

"Aur itni raat tak kaunse shareef ghar ke bacche bahar rehte hai?" Asked Parminder Ji with an angry smile on her face.

Sana and Raj looked at each other.

"Ek dusre ko kya dekh rahe ho? Meri taraf dekh ke baat karo."

Sana and Raj looked at their mother and said, "Sorry Mummy!"

"Tumhari sorry ki aisi ki taisi...."

Parminder Ji stood up and started beating then with broom.

"Ek jhut bolega, dusri ghar se bhagegi..... Laga kya rakha hai tum dono ne?" Said Parminder Ji while beating them.

"Mummy.... Mummy... Maaf kar do Mummy aage se nahi hoga." Said Sana and Raj while trying to save themselves. Santokh Ji came near and stopped Parminder Ji.

"Shaant ho jaao Parminder. Blood pressure high ho jayega." Said Santokh Ji.

"Meri sehat ki fikar hai inn dono nalayakon ko? Jab se paida hue hai naak mein dam kar ke rakha hai. Khas kar ki aap ki laadli ne." Said Parminder Ji pointing towards Sana.

Hearing that Sana said, "Mummy yeh thik nahi hai. Movie dekhne toh hum dono gaye the. Toh phir meri hi sabse zyada galti kyu?"

"Pehli baat toh itni raat ko movie dekhne jaane ki permission maine isko bhi nahi diyi thi. Yeh jhut bol ke gaya hai. Lekin phir bhi thik hai, kyu ki yeh ladka hai. Raat mein iska bahar nikal na safe hai, tera nahi hai. Upar se logo ne dekh liya toh humari parvarish pe ungli uthayenge. Tujhe theatre pe jaana tha toh subah yaa shaam ko jaati. Adhi raat ko ghar se bhagne ki kya zaroorat thi?"

SidNaaz Ki Duniya: Collection of Short Stories and OS (On Hold)Where stories live. Discover now