Qubool Hai (9.5)

900 209 41
                                    

Please vote before, while or after reading this part 🙏🙏
______________________________________

"Shehnaaz itna kuch hogaya aur tune humein baata na zaroori nahi samjha?" Asked Mariyam Ji after hearing the whole story from Sid and Shehnaaz.

"Ammi sorry. Humein laga tha ki aap khamkha pareshan ho jaayengi isliye hum ne aap ko kuch nahi baataya. Aur uss waqt hum sach mein yeh Nikah nahi karna chahte the isliye aap se puchhe bina hum ne Nagma Khala ko naa keh diya." Said Shehnaaz looking down.

"Tab tu Nikah nahi karna chahti thi. Aur ab?"

"Ab hum ek dusre se pyaar karte hai aur Nikah karna chahte hai." Said Sid straight.

"Woh toh thik hai, lekin kya tumhare gharwale maanenge? Ek baar naa sun ne ke baad bhi woh wapas hum se rishta jod na chahenge?"

"Unhe maana ne ki zinmedari humari. Filhaal humein bas aap ki manjoori chahiye. Please humare rishte ko accept kar li jiye."

Hearing Sid's words, Mariyam Ji paused for a while and then said, "Dekho Beta, koi bhi rishta sirf do logo ke bich nahi, do parivaaron ke bich judta hai. Hum pehle bhi mile hai tumhare parivaar se. Pehli mulakat mein hi pata lag gaya tha, humari soch mein zameen asmaan ka fark hai. Hum nahi chahte ki Nikah ke baad Shehnaaz apne khwabon ke saath zara sa bhi compromise kare, jo Nikah ke baad humne kiya tha. Kam umar mein humara Nikah kara diya gaya tha, woh bhi humse puchhe bina. Isliye jo humne saha hai, hum nahi chahte Shehnaaz bhi woh sab sahe. Abhi graduation tak complete nahi hui hai uski. Agar Nikah ke baad bhi Shehnaaz ko apni padhai puri karne ki, apne Khwabon ko pura karne ki azadi mile, toh humein iss Nikah se koi aitraz nahi hai."

Sid smiled and said, "Aunty hum waada karte hai. Nikah hone ke baad Shehnaaz ke khwabon ko pura karne ki zinmedari khud hum lenge. Apni jaan se bhi zyada pyaar karenge hum isse aur iske aakhon mein aansu kabhi nahi aane denge."

Mariyam Ji smiled hearing that. She realised that Sid genuinely loved her daughter. He would be able to keep her happy. There couldn't be a better match for Shehnaaz than him.

Mariyam Ji looked at Shehnaaz who was still looking down and said, "Sid ka toh paata chal gaya woh tujhse kitna pyaar karta hai. Par tera kya? Tujhe bhi yeh pasand hai?"

Shehnaaz slightly nodded in yes.

"Toh jab Mia Biwi raazi, kya karega kaazi?" Said Mariyam Ji smiling.

Shehnaaz blushed hearing that and hugged her mother while Sid was on cloud nine.

But now his main challange was to make his parents agree for this marriage once again.

At Sid's Home...

"Ammi jaan ek baar humari baat sun li jiye please." Said Sid while following Fatima Ji to her room.

"Humein kuch nahi sun na. Pehle hi tumhari wajah se nak kat chuki hai humari. Ab tum chahte ho hum phir se uss hi ghar mein rishta le ke jaaye jinhone tumhe thukraya tha. Arrey Ahmed khandan ki koi self respect nahi hai kya?" Said Fatima Ji while sitting on her bed.

Sid sat on the floor near her knees and said, "Ammi jaan please. Hum bohut pyaar karte hai Shehnaaz se, aap ko toh paata hai. Humari khushi ke liye hi sahi, aap maan jaaiye."

"Tumhari khushi ke liye hi Nagma se baat kiyi thi humne. Par kya hua? Unhone seedha inkar kar diya. Ab hum dobara se nahi jhukenge bas."

"Ammi jaan hum aap se kabhi yeh request na karte agar baat humare dil ki na hoti. Shehnaaz bohut acchi ladki hai Ammi jaan. Jab woh humare aas paas hoti hai, humein ek alag si khushi mehsoos hoti hai. Aur pehli baar kisi ke liye humne aisa mehsoos kiya hai. Aaj tak hum ne aap ki aur Abba jaan ki saari baatein maani hai. Kabhi kuch nahi maanga aap se. Pehli baar hum kuch maang rahe hai. Shehnaaz aur humara Nikah karwa di jiye, please!"

SidNaaz Ki Duniya: Collection of Short Stories and OS (On Hold)Where stories live. Discover now