Chapter 26

1.8K 127 1
                                    

"Nanni!!!!"
Nandini heard everything when she came to give them their tea. She was stunned and she went from there. Sidharth also followed her to her room.
"Nanni meri baat toh sunn!"
"Aap ithne bade sach humse chupaaya!!!? Kyu bhai?"
"Nanni uss time main majboor tha. Ek 8 saal ka ladka usse zyada aur kuch soch bhi nahi sakta tha"
"Bhai, jab aapko pehli baar Appa ne iss ghar me laya toh sabse zyada main khush huyi thi, aapko pata hai na!? Par itne bade sach, aapka ek parivaar hai, voh kyu chupaaya?"

"Nannii, please mujhe samjne ki koshish karo?"

"Aapne Papa ko bhi nahi bataya  na?"

"Unhe pata hai....                                                                                                                                                            Jab Papa aur Maa ka accident hua tha, aur voh log jab hospital mein the toh, Papa ne mujhe bulaya tha yeh batane ke liye ki Murthy Industries mere naam karwana hai. Tab jaake maine unhe sab bata diya aur yeh bhi kaha ki Murthy Industries tumhare naam kardo. Par Papa ko jo bharosa tha mujh par, voh attoot tha, isliye, sab kuch jaan ne ke baad bhi unhone mujhe sab kuch diya, bas vaapas ek promise maanga tha, Nanni ka khayaal rakhna"

Nandini became silent hearing that and on the other hand, she was proud of her father's decision.
"Bhaayi, ab aap yeh baat kyu ..!!"
"Kyun ki maine Baaba ko dekha tha Paris se aathe vakt"
"What?!! Really!! Phir aap unhe bataaya kyu nahi?"
"Kya bataata, Nanni. Achanak 14 saal baad ek ladka aa kar unhe yeh kaise bataata ki I'm your son, jisne darr ke maare bhaag gaya tha."
"Toh aap... kabhi unke paas nahi jaaoge?!"
"Jab Baaba ko dekha toh esa laga ki voh khush hai, aur voh zinda hai, isse zyaada mujhe kya chahiye."
"Bhaayii... I'm sorry" Nandini hugged him.
.................................

....................................
Kolkata

Anurag and the gang went to Megha's house. 

Prerna and Nikitha went inside to take Megha with them and both the boys were waiting for them in the car.
"Priyuu, voh dekh Megha ki room"
"Niki tu jaa ke aunty se baat karo, voh humare help kar denge"
Then Prerna walked towards Megha's room.
"Priyuu, sab... kaise karni hai?!" Megha asked her in desperation and fright.
"Tumhari packing ho gayi na,  yeh burkha pehno aur chalo meri saath."
Then Megha wore the burkha,
"Priyu, mujhe aakhri baar Maa se baat karni hai"
At the same time, Nikitha and Megha's mother came inside and Megha hugged her mom. Her mother gave her a box of gold ornaments and some cash and blessed her.
"Jaa meri bachchi, khush rahe"
Then they went towards the car with the help of Megha's mother.

"Kaha thi tum log? Ithne derr kyu laga di?!"
"Arrey, Mr. Anurag Basu, yeh interrogation baad mein, ab gaadi start karo, jaldi"
..................................

.................................
Basu Baady

"Mohini, Nivi aur Anupam, mujhe tum logon se baat karna hai"

"Kya hua Moloy?, Is everything fine?, matlab Rajesh theek hai na?"

"Nahi, Rajesh ki condition bahut serious hai. Par main... voh baat karne nahi aaya hu. Main Anu ke baare mein baat karne aaya hu"

"Anu!!, Baaba, Anu ke baare mein kya baat?, Voh theek hai na?"

"Moloy, batato sahi, Anu ke baare mein kya?"

"Main Anu ke shaadi ke baare mein soch raha hu. Aur, ek ladki bhi mere dimaag mein hai"

"Shaadi!? Moloy,{Mohini smiles}, Yeh toh bohut hi achi baat hai"

"Par Sasurji, Anu maanega kya?Matlab yeh baat bahut jaldi ho raha hai, hai na?"

"Main Anu se baat karlunga. Dekhte hai voh kya kehta hai"

"My" Soul! "My" Love!Where stories live. Discover now