NIRNAYE

1.5K 116 12
                                    

The Fifth day Bhism defeated Nakul, on the sixth day he defeated Bheem, seventh day he defeated Arjun and on eight day he defeated Karn and almost killed Yuddhistir, these 4 days were victories of kauravas, Bhism was more angry since Karn used Murchabaan on him. The Kuntiputras tried hard but were not able to put even a scratch on Bhism. Bhism annihilated 4 akshouhini senas of Kuntiputras.

The funeral pyres of the Kauntey armies are burning till the horizon, the wailing of widowed women is driving a stake through the hearts of the Kaunteys. It seems as though the torches in their camps are spreading darkness instead of light.

"KYA PITAMAH KOI HAL NAHI VASUDEV ?" Yuddhistir asked.

"HAL THA ANHUJ, SHIKHANDINI AUR AMARSRI. KINTU TUMNE DHARM KE NAAM PAR MURKHTA KAR, STREEYO KO BHAG LENE SE MANA KARDIYA. AUR AAJ DEKHO HUMARE PAAS KEVAL AVANTI AUR SAURASHTRA KI SENA HI BACHI HAI." Karn said, Yuddhistir lowered his gaze.

"AB WOH BAAT KARKE KYA LABH ? AUR RAHI BAAT HAL KI, TOH PRATYEK SAMASYA KA HAL HOTA HAI. KEVAL UCHIT SAMAYE AANE DIJIYE." Amarsri said.

"AMARSRI KINTU JAB TAK UCHIT SAMAYE AAYEGA HUMARE PAAS SENA HI NAHI RAHEGI. HUME SHIGRAH HI PITAMAH KA VADH KARNA HOGA." Bheem said.

"TOH USKE LIYE PITAMAH KI MANOSTHITI BADALNI HOGI." Amarsri said looking at Vasudev.

--

Amarsri and Uttara were aiding the wounded soldier outside the camp, as there were too many to be kept in tents. Uttara's gaze falls on Bhism who was standing in the Ranbhumi, his tall and muscular figure could be seen from afar.

"JIJI, PITAMAH BHISM RANBHUMI MAI HI KYU KHADE HAI ? UNHE JAL, BHOJAN TATHA VISHRAM KI AWASHYAKTA NAHI ?" Uttara asked.

"PITAMAH APNE KARYO KA DAND BHUGAT RAHE HAI, UTTARA. ISS RANBHUMI MAI UNKE HAATHO JITNI BAAR MRITYU HUYI HAI, UTNI BAAR SWAYAM PITAMAH KO MRITYU KA ANUBHAV HUYA HAI." Amarsri said.

"PARANTU KYU JIJI ? UNHONE AISA KYA KIYA THA ?" Uttara asked.

"PITAMAH BHISM KURUVANSH KI SMRIDDHI, SATTA AUR DHARM KE DWARPAL HAI. KINTU MOH MAI GHIR KAR UNHONE ASATYA, ADHARM AUR PRAPANCHIYO KO HASTINAPOOR MAI PRAVESH KARNE DIYA. ISSI MOH KA DAND BHUGAT RAHE HAI AAJ." Amarsri said looking at Bhism.

--

It is the ninth day of war, Bhism was fighting with Arjun.

"AAP APNE POUTRA KE PRAN LENGE ?" Krishna asked mid-fight.

"JO BHI HASTINAPOOR KE SAMAKSH SHASHTRA UTHAYEGA, MUJHE USKA VADH KARNA HI HOGA VASUDEV !" Bhism said.

"AAP YATHART KEH RAHE MAHAMAHIM, YUDH MAI AAPKE SAMARTHYA KA PRADARSHAN NAHI HO RAHA, APETU AAPKI NIRBALTA KA PRADARSHAN HO RAHA HAI. YADI AAP VASTAV MAI SAMARTH HOTE TOH APNE POUTRO AUR PAR-PAOUTRO KE PRAN LENE KE STHAN PAR APNE PRAAN DETE." Krishna said.

"MAI APNE DHARM SE BANDHA HU VASUDEV." Bhism said.

"DHARM TOH MUKTI DETA HAI, YEH KAISA DHARM HAI JO AAPKO BANDH RAHA HAI ? AWASHYA YEH KOI DHARM NAHI BEDI HAI." Krishna said.

"MERE DHARM PAR PRASHN MAT KIJIYE VASUDEV. MAINE JEEVAN MAI EK SHAN KE LIYE BHI ADHARM NAHI KIYA HAI." Bhism said.

"AAP APNE VYAKTIGAT DHARM KE LIYE SAMAGRAH JAGAT KO SANKAT MAI DAAL RAHE HAI, ISE MAI CHARITRA KI SHAKTI NAHI KEHTA. AAPKA CHARITRA BHI MITHYA HAI AUR AAPKA DHARM BHI MITHYA HAI !" Krishna said pointing his fingers at Bhism.

"VASUDEV!!!!!! AAP MARIYADA BHANG KAR RAHE HAI !!!" Bhism yelled.

"MERA DHARM SATYA HAI, ISSI LIYE MUJHE KOI PARAJIT NAHI KAR SAKTA !! KOI NAHI !!" Bhism roared.

HARIHARESHWARI 1 : DHARMSTHAPNAWhere stories live. Discover now