CHAPTER 18

261 32 39
                                    

It had been three days, since Parshuram and the sages, along with Amba and Hotravahan reached Kurukshetra. They had established themselves on the banks of the river Saraswati.

On learning that his Guru, had arrived on the outskirts of his kingdom, Bhishm was delighted. With a cow in front of him and surrounded by brahmanas, sacrificial priests and other priests, the son of Ganga went there.

On seeing his student arrive, Jamdagneya received the homage and spoke, "Devavrat, tumne kya vichaar se, swayam patni ki kaamna se rahit hote huye bhi, Kashi-raj ki kanya Amba ka apharan kiya, apne ghar le aaye aur punah jaane diya ? Tumhare dwara iska sparsh kar liya gaya hai, iss dasha mei kaun ise swikar karne ka sahas kar sakta hai ? Tum Amba ko har ke laaye ho, iss liye Shalva ne iska tyaag kar diya. Atah, tum ise punah swikar karo, jisse Kashi kanya ko svadharm ka palan karne ka avsar mile."

"Gurudev," A frown appeared on the face of Bhishm, he said, "Ab mai Amba ka vivah apne anuj se kara nahi sakta. Kyuki isne swayam mujhse aake kaha tha ki yeh Shalva se prem karti hai. Tab maine ise jaane ki aagya di, aur yeh Soubha chali gayi. Aap toh jaante hai, mai bhaye se, daya se, dhan ke lobh se, ya kisi kaamna se bhi Kshatriya dharm ka tyaag nahi kar sakta."

Parshuram's eyes dilated with anger, he warned, "Narshresht, yadi tum meri baat ko swikar nahi karoge, toh mai mantriyo sahit tumhara vadh kar dunga."

His eyes were wide with anger. Bhishm repeatedly tried to pacify him with sweet words. But Gangeya was incapable of pacifying Jamdagneya. The son of Shantanu joined his hands and bowed his head at the feet of his perceptor.

"Bhagwan, kya karan hai jo aap mere saath yudh karna chaahte hai ? Jab mai balak tha toh aapne hi mujhe 4 prakaar ki shashtra vidya ka gyaan diya tha. Mahabahu, mai toh aapka shishya hu !" Bhishm said.

With his eyes turning red with anger, Parshuram said, "Kurunandan, tum mujhe apna Guru toh samajhte ho, parantu Kashi-raj ki kanya ko aswikar karke tum woh karya nahi kar rahe jo mujhe sukh de. Mai tumse sandhi nahi chaahta. Amba ko swikar karo. Chuki  tumne usko kalankit kiya hai, use iss prithvi par koi pati nahi milega."

"Gurudev, mujhe par kripa kijiye jaise aapne pehle kiya tha. Kaun uss stree ko, sarp samaan, apne ghar mei rakhega jiske man mei kisi aur ke prati anurag ho ? Streeyo ka yeh dosh, anarth ka karan hota hai. Mai Indra ke bhaye se bhi, dharm ka tyaag nahi karunga. Chaahe aapko yeh priya ho ya apriya. Aapko jo karna hai woh shigreh kariye." Bhishm said.

Pausing for a moment, Gangeya continued, "Purano mei Mahatma Marutt ne kaha tha, 'Yadi guru bhi garv mei aakar kartavyo aur akartavyo ko na samajhte huye kupratha ka aashraye le, toh uska parityaag kar diya jata hai.' Aap mere Guru hai, iss liye ab tak maine aapka samaan sahit sadkaar kiya aur prem poorvak aapse baat ki, parantu aap Guru sa vyavhaar nahi jaante. Atah, mai aapse yudh karunga. Kyuki yadi Brahman, kshatriya samaan shashtra uthaye khada hai, toh uska vadh karne se brahmahatya ka paap nahi lagta."

And so Bhishm went on and on, saying insolent things to Parshuram.

"Gurudev, aap sadev bhari sabhao mei swayam ki prashansa karte hai ki kaise aapne 21 baar kshatriyo ka naash kiya hai. Parantu yeh kritya, iss liye aap kar paaye kyuki uss samaye Bhishm jaisa kshatriya prithvi par janma nahi tha jo aapke abhimaan aur yudh-prem ko dur kar sake. Lekin ab, Bhishm ka janm ho chuka hai, aur mai yudh mei aapke sampurn ahankaar ko chur chur kardunga, isme sandeh nahi." Said the son of Ganga.

Parshuram began to laugh, and told Bhishm, "Saubhagya baat hai ki tum mujhse yudh karna chaahte ho. Mai tumhare saath Kurukshetra mei chalta hu. Hey Parantap, tum wahi aao. Tumhari Mata bhi dekhe ki mai kaise apne baano se tumhara vadh kar, tumhe kaag aur giddh ka bhojan banata hu. Shashtra, rath, aadi, jo lana hai le aao."

"Aisa hi hoga." Bhishm said and bowed his head in front of Jamdagneya.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

*Coughs* Bro thinks he's Lakshman ji from Ramcharitmanas-*coughs*

So you see how Bhishm keeps on rambling and saying insolent things to Parshuram ? Like in BORI CE and Gita Press as well, Bhishm keeps on saying these things to Parshuram for like 2-3 pages~

*Sighs* Pitamah aur unke Ladakpan ke kaand~

HARIHARESHWARI 14 : CHANDRA CHAYAYAM SINGHASANAMWhere stories live. Discover now