Tum--Mery Love Story

55 2 0
                                    

"Main nay kal tumhen boht socha. Itna kay mujhay ab tumhain sochnay say bhi nafrat ho rahi hai. Itni kay is waqt tum 'tum' ho. Haan main abhi bhi tumhaari shiddat say izzat karti hun, lekin is waqt aur is lamhay main tum 'aap' naheen ho. Tum is waqt 'aap' say 'tum' tak ka safar tay kar chukay ho, aur main yay bhi jaanti hun kay tum abhi bhi kaheen na kaheen is dil main 'aap' ho. Lekin khair, main bas yay kehna chaahti thi kay tumhen sochna ab boht mushkil lagnay laga hai. Shayad jald asaan ho jaaye lekin is waqt boht mushkil hai. Is qadar takleef day raha hai kay main bayaan naheen kar sakti."

Aur wo? Wo 'tum' ya 'aap', kya wo sun raha tha? Kya wo sun sakta tha? Shayad.

Ya shayad naheen.

Main to jaagti aankhon say khwaab dekhnay lagi thi, aur neend main khwaab kyun naheen aatay thay, main naheen jaanti.

Aur wo to 'aap' say 'tum' tak pohnch chuka tha, lekin kaainaat main kisi shay ko yay baat manzoor naheen thi.

Usi din kaainaat nay kuchh aisa khel khela kay... kay kya huwa, wo aap yay parhnay kay baad khud hi jaan jaayen gay:

Main us din thak haar kar ghar aayi thi, aur ghar aayi hi thi kay thakan kay saath saath tabiyat ki kharaabi kay baayes apna phone lay kar bistar par dhay si gayi. Kuchh dair baad jab phone ka mu'aayena kiya to us ka paighaam dikhaayi diya.

Mujhay yaqeen naheen aaya. Kuchh der tak to waqayi bilkul yaqeen naheen aa raha tha. Aur yaqeen aata bhi kaisay? Kitnay maheenon pehlay to main us say baat karnay ka haq kho chuki thi aur ab tak to wo najaanay kitni baar sirf aik khwaab yaa kisi saayay ki maanind mehsus ho chuka tha. Ab us kay wajood yaa us kay wajood ki taraf say aanay waalay us kay honay kay kisi bhi paighaam par kyunkar yaqeen aata?

Lekin phir yaqeen karna para, us say mohabbat jo hai.

Wo paighaam kuchh aisay waqt par bheja gaya tha aur kuchh aisi hi noiyat ka tha kay mujhay apna dil aik lamhay main kisi mom ki taraah dher hota mehsus huwa.

Mera dil dhak say reh gaya aur is qadar mujhay dar lagnay laga tha kay meray haath kaanpnay lagay thay, aur mera dil jesay meray halak say baahir aanay ko tha. Lekin wo is sab say aur bhi kaheen zyada tha jo main us waqt mehsus karnay par majboor thi.

Wo 'tum' jo main nay khud hi khud main takhleeq kiya tha, wo usi din kaheen hawaa main tehleel ho gaya tha. Aur main to thi hi bebas, mera kaheen kisi cheez par bas naheen chalta tha, hattaa kay khud par bhi.

Najaanay kyun wo jis taizi say 'tum' tak aayay thay us say zyada taizi say 'aap' par waapis bhi chalay gayay aur main apni bebasi par hansnay kay siwaa kuchh naheen kar saki. Ab baat ronay say kaheen aagay barh chuki thi aur ab to hansi bhi theek say naheen aati thi.

Aur phir main waapis ronay ki taraf ka rasta tay kar kay itna royi kay ammi nay poochha bhi kay kya huwa hai, par main nay nafi main sar hila diya.

Kya bataati? Yay kay aap ki beti kay dil main wo aik saal puraanay wala shakhs ab bhi rehta hai aur wo us ko yaad kar kay ro rahi hai?

Meray andar kay jazbaat mujhay pehlay hi theek say jeenay naheen day rahay thay, aur apnay dil say to mujhay shiddat say nafrat ho rahi thi.

Kya main nay koshish naheen ki thi apnay dil ko un ki muhabbat say paak karnay ki? Boht ki thi.

Ab ki baar unhon nay mujhay phir say agahi di thi kay main bhi kabhi kaheen naheen gayi un kay dil say.

Unhon nay yay naheen kaha kay unhen mujh say muhabbat hai, na hi yay kay wo mujh say kiya har waada nibhaayengay, wo bas apni hi baaten kartay rahay aur mujhay un ki khushi ka ehsaas aik nayi zindagi bakhshta jaa raha tha. Wo naheen jaantay thay kay unhen sun'na mujhay kis qadar achha lagta tha; us say bhi zyada kay jitna mujhay un say baaten kehna achha lagta tha.

Wo jab baat kartay thay to meray dil main un ki izzat barhti jaati thi, aur wo jab khushgawaar baatain kartay hain to mera dil khushi say jhoom uthta hai un ki khushi bhaanp kar. Mujhay boht achha lagta tha jab wo boltay hi rehtay thay. Boht hi zyada achha.

Aur tab mujhay yaqeen ho chuka tha kay main un kay dil main hamesha say thi, abhi bhi hun, aur hamesha rahun gi.

'Happy Endings' say to mujhay balaa ki chir honay lagi hai. Lekin main yay bhi jaanti hun kay har 'Love Story' main Happy Ending ho, yay zaroori to naheen hai. Aur mujhay ab yaqeen ho chala hai kay meri apni bhi aik Love Story hai, jo ban kay tham chuki hai.

Jis taraah unhon nay mujhay chaha hai, us taraah ka chaha jaana boht hi khaas hota hai, aur us ka ahsaas aur bhi boht hi zyaada khaas.

Aap, meri Love Story hain aur 'tum' to wo aik makhsoos hissa ho jo har Love Story kay beech main kabhi na kabhi aa hi jaata hai.

My One ShotsWhere stories live. Discover now