Aate Jaatey

473 67 15
                                    

KS- Hum tumhare saath aa toh rahe hai par thane mai kon rahega?

SV- Chill... Maine Cheetah Chaturvedi ko bol diya hai, woh thane mai aa gaye honge ab tak.

KS- Thik Hai.

SV- You are welcome.

KS looks at SV through the rear mirror. SV notices that.

SV- Kuch bolna hai?

KS- Nai

SV- Keh dijiye, curiosity khatam hogi.

KS- Hume... Hume pets se koi problem nai hai. I like pets.

SV- What! You like pets? Konsa?

KS- Dogs

SV- Leaderrrr! Maana padega, aapke mere khayalat kitne milte hai. You know what, I love Dogs. Lifeline hai meri woh! Specially Huskies ❤️🤌

KS- Woh Bhediya?

SV chuckles

SV- Haan Bhediye.

KS- Tumne kabhi dog adopt kiya hai?

SV- Haan, ek kharida tha, pyaara sa pom. But shift hone ke chakkar mai mujhe usse kisi aur ko dena pada aur fir uski death ho gayi. Isliye ab man bhi nai karta, paalne ka. Yeh attachment bhut buri cheez hoti hai. Mere ko toh uske jaane ke 6 mahine baad pta chala tha.

KS- Bura laga jaan kar.

SV- Aapane?

KS- Nai, kabhi parents ne allow hi nai kiya.

SV- Sad. Waise ek baat mai bhi puchun?

KS- Haan

SV- AAP depression mai ho naa? I know it's your personal matter. But you know, I don't like seeing someone depressed.

KS- Kyu?

SV- Yeh mere sawal ka jawab nai hai. Pehle aap answer karo fir mai.

KS- Tumne bhi khoya hai naa kuch?

SV- Kon nai khota? Waise bhi Human Psychology hai, ek need khatam nai hoti ki dusri aa jaati hai.
Aur yeh baat jaruri thodi hai ki har ek need puri ho.

KS- Baat need ki nai, emotional support ki hai.

SV- Kabhi Kabhi, insaan ko khud ka emotional support banna padta hai, you can't trust or rely on anyone. Aur yeh baat apse behtar kon jaanta hai.

KS- Par yeh toh bhaagna hua na apni problem se?

SV- Kon nai bhagta? Yahan har koi ek bhagoda hai, koi apne ateet se bhag raha hai, toh koi apne vartaman se.
Par aap hi socho, agar koi cheez aapke life mai ek ghade ki tarah hai, jisme aap gir sakte hai, aur hum apni jhoothi shaan dikhane ke liye girne ke liye bhi taiyar hote hai, par kabhi kisi ne yeh socha hai ki uss ghade ke side se bhi toh jaa sakte hai. Kya karenge uss ghade mai gir kar jisme hume hi chot lagegi? Kyu hum hamesha apni life ko complicated karte hai hamesha hard choices karke. Aasan raaste bhi toh dhundhe jaa sakte hai naa? Kyu?

Haan bhut gyaan ki baat ho gayi naa?

KS - Sahi kaha par tumne. Waise Thank You kal woh song bejhne ke liye.

SV- Kya?

KS- Am... Th.. Thank You

SV- Arrey yeh helmet or earphone ke chakkar mai awaj nai aa rahi aapki thoda jor se boliye.

KS hits the helmet.

SV- Ouch.. it's okay

They both chuckle in silence without saying anything to one another.
Karishma genuinely grew to enjoy Samairaa's company. After all, she is being understood intimately by someone there.

KS (thinks)- Tumne hume tab samajha jab hum apne aap ko nai samajh paa rahe the. Tum hume ek comfort zone de rahi ho jiski hume aadat nai. Aur pta nai shayad kal tum bhi hume dhokha dedo jaise baaki diye hai. Par kabhi kabhi hard choices karne pe insaan mazboor ho jaata hai. Khaaskar tab jab usse kisi apne se ladai karni hoti hai.

KS leans against Samie's shoulder.Samie's shoulder continues to be occupied by KS. When Samie turns her head back slightly, she smiles widely and turns her attention to the road once more.

KS(thinks)- Tumne alag baat hai, abhi jaise tumne hume kuch nai bola, chup chap sar rakhne Diya, support kiya abhi
Maddam Sir hoti toh kehti- Aap theek hai, wagera wagera
Phuspa Ji hoti toh isme bhi hume koi taana de deti,
Par tumne bina kuch bole chup chap, ghaadi ki speed kam kardi taaki mai disturb na hun.
Kaise tumhe pta hai, ki iss moment mai hum kuch bolna nai chahte naa hi sunna. Yeh shanti hi hume sukoon de rahi hai. Sach mai, aaj tak hume kisi ne aisa feel nai karaya. Dhanyawad, tumhara.

KS closes her eyes and feels the cool breeze on her face. Giving her new energy.

After a while, SV comes to a halt on the bike, but KS is lost in a beautiful, peaceful world.
SV- Leader, ghar aa gaya.

KS- Haan..

KS gets down of the bike and goes towards the gate.

SV- Leader, kaafi saalon baad kisi se itni baatein ki, mostly kaam ki hi baatein karti hun, but I felt relaxed today. Thank You

KS- Kya? Sunai nai aaya

SV- Chabi le lijiye.

KS- Humse bhut chalaki nai karti ho tum?

SV- Waise Friends? Ab?
Forwards her hand

KS- No!

SV- Okay 😔 bye.

KS laughs at her antics as Samie parks her bike.

They were both tired today, so they went to their respective rooms and dozed off.
....................................

By Your Side Where stories live. Discover now