Close to Cracking the Case

347 51 11
                                    

SV sits on the bike with her earbuds plugged in-

Humare zindagi mai, humare 3 sides hote hai, asan bhasha mai kaha jaaye toh 3 chehre. Ek jo hum society ko dikhate hai, dusra apne nazdik logon ko, aur teesra jo humara sach rehta hai, aksar woh side hum khud nai jaante. Hum aksar kisi ne kisi ke life story mai, ek Villan hote. Chahe kuch bhi karlo, kuch logon ko humse hamesha problem hogi. Aur iska koi illaz nai hai. Aaj jo maine kiya, shayad Villan mai bhi ban gayi, par agar galat ke saath galat karne mai mujhe villan ka title mile toh mujhse ussey bhi koi problem nai hai. In 19 saalon mai maine har din kuch naya experience kiya hai, har saal, har mahine, har pal mujhe kuch na kuch naya bataya hai, aur jitna maine seekha utni meri nafrat badhti gayi, jo kab anger and frustration mai badal gayi mujhe bhi nai pta chala. Yahi mai hun, the Actual Samairaa Vashisht. Jo sabke liye kya, khud ke liye bhi bhut dangerous hai. Rona mujhe aata nai, aur gussa jehen chodhne ka naam nai leta. Kya karun bachpan se screw dheela hai.
Life mai Hamseha "Do or Die" wali situation choose karni hoti hai, par meri life mai, Do in a way you die at the end. Isliye nai kyuki yeh life mujhe chahiye nai. Balki isliye kyuki jo maza maar ke jeene mai, woh kahin aur nai. Phele shaaant road mai 30 ki speed mai bhi chalne se dar lagta tha, ab normal city mai kab woh speed 80 ho gayi pta hi nai chala. Jab Dar hi khatm ho jaata hai, tab insaan ko kuch nai hara sakta. Yeh baatein aaj mai khud se kyu kar rahi mujhe bhi nai pta. Bas itna pta hai, dimaag ka dahi ho chuka hai, aur ab bhi gussa shant nai.

Zeene ke liye, socha hi nai
Dard Sambhalne Hongey
Muskuraye toh muskurane ke
Karj utarne hongey

Muskuranun kabhi toh lagta hai
Jaise hothon mai karz rakaha hai.
Tujhse naraz nai Jindagi,
Hairaan hun mai!

The song is playing as she rides her bike, and her thoughts are racing through her mind. Samairaa arrives at the Station after a few minutes. She parks her bike and walks into the thana. She sits on her desk because no one else is there. Karishma notices her from the gym and walks over to her desk.

SV- Jai Hind Maddam.

KS- Jai Hind. Kaisa gaya college?

SV- Cool.

KS- Haan?

SV- Sorry Maddam, Acha gaya tha.

KS notices that SV is not as cheerful as she usually is.

KS- Kaa hua?

SV- Kuch bhi toh nai? Kya hoga?

KS- Mood kharab lag raha hai tumhara.

SV- Nahi, mood nai, bas thoda tired feel kar rahi thi.

KS- Assignment submit karne mai itni thakan?

SV- Thoda sa assignment bach gaya, toh bas uska kaam khatam kar rahi thi.

KS- Ohh, ek kaam karo, jao rest lo aaj, bas hume kal jo case pura hua tha, uski file dedo.

SV- Haan, umm ek sec andar hai.
S

V bends slightly and supports the table with one hand. It was the same injured hand that was leaking a small amount of blood.

SV- File.

KS sets the file down and takes her hand in hers.

KS- Kaise laga itna tumhe?

SV- Woh.. ek aadmi pe gussa aaya toh pakkad ke maar diya, usme hi mujhe lag gayi.

By Your Side Where stories live. Discover now