Hum, tum alag hai. Farq hai

282 30 2
                                    

Surprise everybody! For all of you, this is an extra chapter. To be completely honest, I want to proceed with this story's finale as quickly as possible. in order that I can devote adequate time to writing an intriguing and insightful epilogue. Thanks and please enjoy.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
SV: Aaj khana toh mast hai. Iss bhukhe ke toh bhagya dhan ho gaye.

Samairaa said this while eating the last bite of her plate. Karishma accepted the compliment with a smile on her face.

KS: Tumhare liye hi toh banaya hai.

SV: Mere liye? Kyu?

KS: Aise hi man Kiya.

SV: Acha hai. Thanks.

KS: Samairaa tum theek ho naa?

SV: Haan, kyu?

KS-Tumhara vayhaar kaafi badal sa Gaya hai.

SV: Nai toh. Kya baat kar rahe ho.

KS- Par.....

A phone rings, disturbing Karishma from speaking any further.

KS- Kya?

SV: Kya hua?

KS-Samairaa TV on Karo. Jaldi.

SV: Okay, okay...

Samairaa went to Karishma's room and turned on the TV.

Karishma cuts the call and rushes to the television. She snatches the remote from her and puts on a local news channel.

A reporter was declaring horrific news that happened in the city.

SV- What! Ek 5 saal ke bache ka kisi ne murder kar Diya? Yeh kya bakwas hai! Koi....

KS- Shhhhhshhh! Hume sunne do pura.

SV- Sorry.

The reporter reads the news.

R-Ek dil todne wale haadsa mein, aaj kuch hi ghante pehle raat lagbhag 10:45 baje hua.
Ek pitaji aur unke bete ko sunsaan raaste par ghoomte hue achanak aafat ne ghera. Jab pitaji ne apne bete ko dhundhne ke liye mud ke dekha, toh unhone unka beta zameen par bechain leta dekha. Iss dilchasp ghadi ki poori kahani abhi tak khula hai.

Iss case ki jimedari le rahe hain Police Inspector Bulbul Pandey, jo iss dukhad ghatna ke piche chupe raaz ko suljhane mein tatpar hain. Hukumat iss dukhad mamle ki gehraaiyon tak pahunchne ka kaam kar rahi hai, taki sachai saamne aaye aur is mushkil waqt mein humare samvedansheel sher ko sahayata mile.


SV: Yeh toh woi aadmi hai naa Jo Aaj huamre station aaye the?

KS- Haan.

Karishma switches off the television and sits on the bed.

KS-Agar yeh case Bulbul ko Mila toh ho gaya yeh case solve. Pta nai kon hai jisne itne masum se bache ko maar Diya.
Sharam aani chahiye logon ko, zara si bhi insaniyat nai hai. Aakhir kya mila hoga kisi ki Jaan lekar.

SV: Pta nai. Aur rahi baat logon ke andar ki insaaniyat ki woh toh kabki mar chuki hai. Poor kid. Life shuru hone se pehle hi khatam. Huh!

KS: Samairaa tumhe yeh sab mazak lag raha hai?

SV- Nai. I mean, sorry, bas woh nikal gaya.

KS: Kya hum tumse insaniyat ke baare mai baat kar rahe. Tumhe farak kahan padhta hai.

Karishma shouted.

SV: Leader ASAP.

Samairaa was confused upon hearing her statement.

KS: Kya Leader? Haan!
Kya Leader!
Hume sab pta hai.
In fact, sab pta chal chuka hai.
Tum naa Samairaa Vashisht baakiyon ki tarah ho. Tumhe koi ziye koi maare ghanta farak nai padhta.
Tum selfish bhi nai ho.
Kyuki tumhe khudse bhi farak nai padhta.

Kabhi kabhi toh lagta hai tum insaan bhi ho yaa nahi.


SV: Kya hua hai? Aap achanak se itna gussa kyu kar Rahi ho.
Now losing her patience, Samairaa speaks aggressively.


Look, I am sorry. I didn't mean that. Or rahi baat farak padhne ki.

Toh Haan.
Nai padhta mere ko farak kisi ke Marne se yaa zeene se. Padhe bhi kyu? Maine kisi ka theka le rakha hai kya?
Aur jab mere saath problems the meri condition kharab thi tab kon tha?
Tab kisko farak padhta tha.
Aur ab jab mai theek hun toh log peeche pade rehte hai.

Chalo mera nai apna dekho.
Kon tha aapke bure waqt Mai aapke saath? Kisne saath Diya aapka?
Kisi ne nai. Hainaa?
Toh kyu farak padhta hai aapko? Har kisi se.
Arrey iss duniya Mai jeena hai toh pathar dil ban kar jeena padega.
Practical Banna padhta hai.


KS: Toh practical banne ke chakkar tum feel karna chodh dogi?

SV- Haan! Aur kya?

KS: Bhagwaan ne yeh emotions hume faltu mai nai Diya hai.

SV: Kya fayda unn emotions kaa jab woh misuse hote Hai.
Aap batao, kyu aap sabke samne aise strict officer bankar ghumte ho? Kyu Aaj aapne sabko professionalism maintain karne kaha tha? Batao!
Jissey jaana tha woh gaya, jissey rehna hai woh jee Raha hai, even though woh khud marna chahata hai.

KS smirks sadly and says calmly.

KS: Aaj tumhare andar humne khud ko dekh liya. Sahi kaha tumne shayad.
Pta hai Samairaa duniya Mai naa do tarah ke log hote hai.
Ek jiske saath agar bura hota hai toh koshish karta hai ki woh khud baakiyon ke saath acha kare.
Jo usne Saha woh dusro ko naa sahna pade. Ussey logon ko fikr hoti hai, duniya ki fikr hoti hai.

Aur dusre woh jinke saath agar bura hota hai toh Puri duniya ko galat samjh lete hai, unke liye har cheez black and white mai batt jaati hai. Unhe acha karna aata nai, aur bure ko buri si buri saza dena aata hai.

SV: Aur aap uss pehle type mai aate ho aur mein woh dusre type mai.

Wakai mai dil bhut bada hai aapka.
Par Leader, change toh hum dono chahte hai naa. Insaaf toh hum dono chahte hai toh yeh diffrence kyu?

KS: Farq toh bhut hai humare beech Samairaa par kahani toh ek hi hai.

SV- Nai. Humari kahani ek nai hai. Hum ek jaise nai hai.

KS- Shayad Haan. Shayad Naa. Par ek baat to common hai.

SV: Yehi ki hume dhokhe ne aisa bana Diya hai. Hainaa?

KS nods.

KS: Sorry, tumhe humne yeh sab keh Diya. Kahin aur ka gussa kahin aur nikal Diya.

SV: Chalta hai. At least yeh dekh kar sukoon milta hai ki aap ab khulna seekh Gaye ho.

KS: Tum kab seekhogi?

SV: Mujhey uski jarurat nai.

KS: Lagta toh nai.

SV: Kya farak padhta hai? Chodho naa, so jao. Good Night.

KS: Good night.

Samairaa nods and climbs the steps when Karishma stops her.

KS- Samairaa!

SV- Haan?

KS: Bhagwaan par bharosa rakhna. Sab theek ho jayega.

SV: Bhagwaan ka toh pta nai, par hum tab tak kuch theek nai kar sakte jab tak hum ussey ladna nai seekh jaatey. Mai bas ladh Rahi hun. Koshish kar rahin hun.

KS: Hum tumhare saath hai.

Karishma smiles, and Samairaa nods and leaves to go into room.Soon, Karishma goes in her room too.

KS(aside)- Hume dar lagta hai Samairaa kahin tum kisi galat raaste Mai naa chale jao.

SV(aside)- Kuch raaste galat yaa sahi nai hote. Bas situation aur perspective raaston ko galat aur sahi mai badal deta hai.

By Your Side Where stories live. Discover now