'Maddam aap toh aisi nai thi?'
'Ab jaisi duniya waise hum Karan.
Aur waise bhi kisi ne kaha tha humse, humari zindagi mein Strong banne ke sivay aur koi option nai rehta.
Toh Aaj hum wahi khade hai.''Sach mein Maddam, aapne mujhey inspiration di hai. Aapko dekhte hai toh lagta hai ki Insaan ko Aisa hona chahiye. Needar, taakatwar, buddhiman. Sab hai aapke paas. Sab!
Aapko toh kisi cheez ki Kami nai hogi naa? ''Insaan ka lalach kabhi khatam hua hai? Yeh Mila toh woh chahiye, woh Mila toh yeh.'
K- Sach mein hume lagta hai hum sabse advanced species hai, isliye hum khud ko aaram se samajh sakte hai. Par humse jayda complicated koi nai.
KS- Insaan ko kabhi puri tarah se samjha nahi jaa sakta kyunki badalte rehna insaan ki fitrat hai..aur badalte sab hai. Aur yahi sab ussey ek andhkar mein daal deti hai.
Aur humara svarth hi humare andar ka badlaav hai.Karishma speaks while driving, and the passenger beside her nods.
KS- Thane ki kya updates hai?
Karan- Haseena Maddam investigation kar rahi hai sabse.
KS- Okay. Hum thaane jaate hai. Fir hospital ho aayenge.
Karan- Thik hai Maddam. Mein idhar ki CCTVs dekhta hun. Shayad hume details easily mil sakti hai.
(After a pause)
Kaash Maddam mai aapki tarah ban paata.KS laughs pitifully.
KS- Peedha se bada shishak koi nai hota, Karan. Yeh tumhe har Jung ke liye taiyaar kar deta hai.
Haan, shuruwat mein dhakke padhte hai, par fir tum bhi apne aap ko dhakkon se bachana aur sahi samay par dhakka maarna Sikh jaoge.
Bura waqt insaan ko jeena sikhata hai. Yaad rakhna . Hum bhi aisi hi Bane the. Par kabhi nai chahenge jo hum jhele woh koi aur jhele.Karan- Par Maddam abhi bhi kahin toh hope hogi naa. Kahin sab sahi ho jaane ki. Logon ke andar insaniyat hone ki.
KS- Kab tak logon se umeed lagaye baithoge? Umeed sirf intezaar karati hai, sachchai nahi badalti.
Aaj ki Tareekh mein acha hona sabse buri baat hai.
Sachai aur Achai, hamesha hume bandh kar rakh deti hai. Aur tab Tak burai apna kaam kar deti hai.Karan- Maddam bura mat manna par aapke saath baat karke mai thoda depression mein chala jaata hun.
Karishma laughs.
KS- Experience Karan experience.
Infact tum sab naye ho abhi. Dheere dheere sab pta chalega.(After a while)
KS- Chalo hum pahuch Gaye. Ab tum drive Karo jao.Everyone in the car- Jai Hind Maddam.
KS- Jai Hind.
When Karishma arrived at the police station, Haseena and Billu were on the phone with someone, and Santosh and Cheetah were lost in their intense study in the laptops.
KS- Kahan Tak progress Hui?
As everyone looks at Karishma, Haseena ends her call. Senior is greeted by the juniors.PJ- Aap theek hai?
KS- Ji PhuspaJi. Abhi toh hum kaafi halka mehsus kar rahe hai.
SS- Haan, Maddam sach mein. Samairaa Maddam starting mein jaisi bhi thi, unhone apna alag hi impression jama Diya tha hum sab par. I missed her.
KS- humne pucha kahan Tak progress Hui?
Humare upar kaafi pressure hai abhi. Jald se jald yeh case khatam karna hoga.
Maddam Sir, hume kya karna chahiye abhi?

YOU ARE READING
By Your Side
FanfictionIn the towns of Lucknow, ASI Samairaa Vashisht is a recently appointed officer. She has been told to train under SI Karishma Singh. What twists and turns will Karishma experience, and how will they impact her relationships with others? (So fed up of...