You are the reason

174 30 10
                                    

HM- Samairaa Vashisht!

With a tight grip on the package and wrath in her eyes, Haseena climbs the Mahila Police Thana stairway. Santosh goes with her.

With a sneer, Samairaa glances at Haseena.

SV- Yes, Maddam Haseena.

HM: How dare you distort the evidence in such a way!

SV: Which evidence? What topic are you discussing?

HM- Hum sach mein kaise tumhare baaton mein aa gaye. Tum par trust karna chahiye hi nai tha.

KS- Maddam Sir ek minute. Kya baat hai. 

HM- Inse puchiye Karishma Singh, Kahan thi kal yeh party mein.

SV- Of course Party mein hi thi.

KS- Haan, kal yeh humare saath hi toh thi.

HM- Yaad hai jab hum aapko dance ke liye bula rahe the, tab naa aapke, naa mere yaa Santosh ke saath thi. Toh kahan thi aap?

KS- Ussey kya farak padhta hai?  Dekhiye Pehle aap shaant ho jaiye please. Aur yeh bataiye udhar hua kya.

SS- Maddam, Rudrashi jis building mein kaam karti thi, uss building mein kal raat hi aag lag gayi. Aur humne building ke owner se baat karne ki koshish ki toh pta chala unki bhi death ho chuki hai.

KS- Kya!

HM - Aap kyu itni chauk rahi hai? Aapko toh pta tha naa inn sab ke baare mein.

KS- Hume kaise pta hoga, humne Santosh se location Tak nai pucha hai.

HM- Oh? Toh aapka yeh bracelet kya kar raha tha udhar.

Karishma sees the packet that Haseena has pulled out. Karishma pulls out the bracelet and examines it carefully.

KS- Hadd hoti hai kisi cheez ki bhi. Aise same letter printed bracelet aapko kahin bhi mil jaayenge. Jaruri nai hai woh humara hi ho. Aur hum itna dur jaayenge bhi kab? Kal Puri raat toh aapke saath the.

HM- Toh bataiye jo humne aapko Diya tha woh kidhar hai?

KS- Hoga humare Ghar mein. PhuspaJi se puch lijiye.

PJ- Haan Maddam Sir, inke kamre Mein rakha hoga. Aap khamo khaa inpar shak kar rahi hai.

HM- Kisne kaha hum inpar shak kar rahe hai. Hum khud par shak kar le par Karishma Singh par kabhi nai.
Bharosa toh hume iss (points at Samairaa) ispar nai hai. Jabse aayi hai tabse, inke dimaag mein kuch naa kuch chalta rehta hai. Naa jaane kitno ke saath inhone....

KS-(cuts her)- Sabse pehli baat SHO Haseena Mallik aapka koi haq nai hai ASI Samairaa Vashisht se aise baat karne kaa.
Decorum maintain kijiye.
Aur dusri baat, Kis baat par aapko Samairaa par bharosa nai hai? Koi hume exactly batayega kya chal raha hai?

SS- Maddam Mai batati hun. Actually hua yeh ki jab hum building ko jala dekhe tab hume yeh bracelet Mila, fir hum police station Gaye investigate karne toh unhone bataya ki ek scam group ne ghatiya wiring ki thi kaafi jagah jisme kaafi ghar jale usme se yeh building bhi thi.
Hume yeh baat pta chali ki Samairaa Maddam ko iss case ke baare mein pta tha fir bhi unhone humare saath share nai Kiya.

SV- Alright, how in the world am I meant to know jab mujhe khud nai pta tha.

Mujhe thodi Naa pta tha ki yeh wire wala kaand firse hoga.
Sabse pheli baat, Mujhey khud kahan pta tha aap Atal Nagar Jaa rahe hai. Aur wahan par ab bhi koi building hogi jisme yeh sab hone wala hai. Maine woh kaam kuch mahine pehle hi chodh Diya tha.

HM- Toh...

KS(cuts her in between)- Samairaa sahi keh Rahi hai. Hume mein se kisi ko nai pta tha aap dono kahan jaa rahe hai, toh Samairaa kaise aapko iss scam ke baare mein batati. Maddam Sir aapka yeh shak bebuniyaad hai.

By Your Side Where stories live. Discover now