The Rift

378 64 9
                                    

Days went by, and this time Karishma was more obstinate and strict with her staff.
The town was abuzz with news of the conflict between the two police officers. The public was exposed to several videos of the two fighting over opposing points of view.
Even the views of the people varied. While some believed Karishma was correct, others sided with Haseena. Additionally, this resulted in a fight between regular pedestrians.

DSP enters the thana, and everyone greets him.

Jai Hind Sir!

Jai Hind! Jaan sakte hai kya ho raha hai yahan par? Miss Mallik pura Lucknow aapke aur Karishma Singh ke peeche jhagad rahe hai. Koi explanations de sakte hai aap dono?

KS- Sir, hume nai pta kisne humare videos leak kiye, hum...

DSP(cuts her)- Baat videos ki nai hai Karishma Singh, jo hona tha ho gaya. Abhi filhaal baat yeh hai ki aap dono ke beech mai kya decide hua hai?
Aap dono ka zara bhi andaza hai, department mai kya pressure ban Raha hai! Saath hi saath aap dono ke jhagde ki wajah se cases kitne late solve ho rahe hai.

KS- Sir hum bhi toh pichle 2.5 saal se yahi samjha rahe hai, cases late ho rahe hai...

HM- Toh kya Karishma Singh, hum aadhi baat sun kar aapki tarah chodh de. Hum justice ke liye kaam karte hai, hume dono paksh (side) ki baat sunni padhti hai.

KS- Toh aapka kya kehna hai Maddam Sir? Hum pakshpati hai? Hum bhi toh dono side ka sunte hai.

HM- Acha?

KS- Dekha, aaj tak Maddam Sir aapko humare upar vishwas nai hua hai. Naa jaane hum kitne baar aapke samne case solve karey, logo ko nayay (justice) dilaye, aapko hamesha sirf humare avgurn (flawed) dikhenge. 

HM- Acha? Karishma Singh gurn konsa hai aapke paas? Aur agar aise baat hai toh Karishma Singh, hume aapki koi zarurat nai hai.
Dekhte hai konse cases mai aapki laat kaam aayegi, aur konse se cases mai humare Jazbaat.

KS- Dekh lijiyega Maddam Sir.
By folding his arms across his chest and glaring at them, the two ladies realised that the DSP was watching and listening to their drama while standing.

KS&HM- Sorry' Sir.

DSP- Ho gaya aapka? Ab aap dono itna jhagda karne lagi ki aapke senior aapke samne khade hai, aur aapko koi hosh nai.
Khair iska solution humne nikal liya hai.

Everyone- Kya Sir?

DSP- Election!

HM- Hum kuch samjhe nai Sir.

DSP- Miss Mallik, ab aapke aur Karishma Singh ke beech mai ek election hoga, jisme pura Lucknow participate karega. Aur ek mahine baad uss vote ki polling khatam ho jaayegi, tab jo jeeta woh jo decide karega woi hoga.
Agar Karishma Singh jeeti toh aapko unke technique use karne hoge, aur agar aap jeeti toh inko aapke method use karne hoge.

KS- Sir par yeh? Hum apne senior ke khilaf kaise khade ho saktey hai? Woh bhi election mai?

HM- Karishma Singh sahi keh rahi hai Sir,
Yeh thana hai, koi political organization nai. Agar hum inn sab Mai lag gaye toh logon ki takleef kon sunega?

DSP- Toh bataiye kya kare hum? Aap dono ke jhagde ne iss jagah ko political organization jaisa hi toh bana diya hai.

KS- Sir Issey acha aap humara transfer Kara dijiye. Hume yahan kaam nai karna.

Everyone from MPT including HM looks at Karishma, a bit amused but more disappointed that how easily she took the decision to go.

HM(thinking)- Kya itna galat kar diya humne Karishma Singh, ki ab aap yahan se jaane ka soch rahi hai? Itna bure hai hum?

By Your Side On viuen les histories. Descobreix ara