Amar and Bharat

275 7 1
                                    

Two days to go for Qualifiers...

"Okay, that was good guys! Abhi kya hein, meine ek aur minute ki routine tayyaar ki hein for victory lap." Rey said as soon as they finished two rounds of practise.

"Victory lap?" Sharon asked.

"Yes! I've put together some cool moves, audience ko aur achcha lagega..."

"Audience ko?"

"Yeah Rinni! Rey theek keh raha hein! Humein Weaklings ko humiliate karne yeh kaam aayega!" Sharon said.

"Wow Sharon... tumhaari aur Rey ki soch mein kitna connection hein!!" Simmi said.

"So lets begin guys..."

"Dazzlers are going to rock in Qualifiers!" Nil said.

"Bloody Weaklings ki yeh jurrath ki humse takraaye? No more!!" Vicky announced.

"Okay guys... so this is gonna be a formation jo pehle mein start karunga and then eight beats ke baad tum sab mujhe join karoge except Nil jo song shuffle ke baad left corner mein windmill karega... okay? So lets start!"


Meanwhile at Bharat's garage.

"Guys, tum sabko eight beats ke baad meri steps continue karni hein except Bharat jo humaare saamne right side mein headspin karega on the song shuffle..." Swayam convinced the gang for a new final one minute routine.

"Okay!" His team replied in one voice. Even Bharat!

After the practise all the six were feeling positive about their work outs and Amar started discussing his future plans and stuff.

"...So mudhe khaana banaana aul khaana athdha lagtha hein toh eth lestaulant kholne ka plan banaake lakha hein..." Amar said proudly.

"Lekin tuh computer works bhi achcha kar leta hein na, bhai? Toh tuh usee mein bhi..." Bharat reminded him.

"Bhalat, mele paas paise na hone ki wajah se engineeling ke liye nahi jaa paaya tha! Agal hota, toh computel engineel hi bantha!" Amar explained.

"Aur iske behan ki shaadi bhi toh karani hein! Apni restaurant se jaldi paise ikathdha karne ki baat yeh isiliye kartha rehta hein!" Swayam said.

"Toh Amar, tumhe yahaan maths aur computer informatics ke grades se scholarship mili hein?" Neha asked.

"Haan!" Amar replied.

"Wow! So we have an academics guru right here!" Kria exclaimed.

"Arre isme kya, apne bhai bhi toh aisi hi yahaan join ki hein!" Bharat patted Swayam.

"Okay, I think aaj ke liye ithna kaafi hein! I'm really tired so let's go..." Swayam excused himself and stood up.

"Swayam!" Kria called out from behind him as he got on his bicycle. "Swayam ruko!"

"Kya hua?"

"Swayam aapne kabhi bataaya nahi ki aap kahaan rehte ho..."

"What do you mean? I don't think it's a big deal!..."

"I mean ki Amar ne bataaya ki Bharat uske saath college ke paas mein ek rental 3BHK mein rehte hein... Visakha ne kaha ki woh apni didi ke saath ek apartment mein rehte hein... Neha uski conservative family ke saath yahaan se do bustops ke doori par rehti hein. And I leave at Indira nagar colony! Par aapke baare mein, main aur kuch nahi jaanthi..."

"Oh, main yahaan se almost three bustops ke doori par rehta hun..."

"Neha ke ghar ke next stop?"

"Nahi, in the opposite direction..."

"Toh aap cycle chalaake college aate ho? Paanch se jheh bustops ki doori paar karke?"

"I like cycling..."

"Aapke Dad ki gaadi nahi hein?"

"Hein... par mein usme ghus nahi saktha..."

"Kyun?"

"Don't you think you are asking a lot many questions?"

"Answer dene mein taqleef hein toh mat karna... Waise, kya mein ek aur sawaal aapse pooch saktha hun? Personal nahi hein..."

"Haan poocho..."

"Mein last week streets mein gayi thi... meine Amar aur Bharat ko wahaan dekha... par aapko nahi..."

"Mein wahaan tha, woh band vegetable shop ke upar... aur meine tumhe aur Rey ko saath mein dekha, cloth store ke upar..."

"Oh, so Amar aur Bharat wahaan neeche kya kar rahe the..."

"Streets mein maximum things illegal chaltha hein Kria... betting, selling drugs, pimping, prostitution, etcetra, etcetra... sab ek cheez ke peeche jisse koi apna eyes hata nahi saktha..."

"Dance..."

"Exactly... So Bharat aur Amar wahaan betting karne aate hein... Visakha used to do it a year ago par ab nahi..."

"Aur aap?"

"Nahi... meine kabhi kiya nahi..."

"Toh yeh dono betting sirf paison ke liye kar rahe hein yaah..."

"Jaise tumne suna ki Amar apne liye restaurant kholna chaahta hein... lekin uske paas enough paise nahi hein pehli investment lagaane... And as for Bharat, woh jhe lakhs ki loan mein phasa hein... yeh garage uske bhaai ke boss ka hein..."

"Boss?"

"Bharat ke bhai... gundagiri kartha hein... aur uska boss hein 'Nana Bhai', yahaan ke mashoor gangster hein... aur yeh garage usee ki hein! Bharat ke bhai ne use padhaane ke liye, apne boss ke haath mein yeh garage girvi de rakha hein aur Bharat iski keemath chukaane yahaan kaam karthe hein."

"Kya? Bharat ek gangster ki garage mein kaam kartha hein? Aur naam sunke toh khatarnaak lagtha hein! Yeh aapne pehle bole hote toh mein yahaan kabhi nahi aate!"

"Hey, hey, hey! Nahi, Nana uthni khatarnaak nahi hein... Mein tumhe details toh abhi nahi de saktha kyunki meine yeh kisi ko bhi nahi bataaya hein... Par yeh guarantee de saktha hun ki yehaan subah nau se raat ke saath baje tak safe hein!"

"Hmm... Toh lagtha hein mujhe aapke saath aur time spend karna padega..." Kria frowned and that got him to laugh. "Wow toh mein aapko hasaa sakthi hun... note the point!" 

"Point noted ma'am!" Swayam chuckled.

"Bharat ka karza aur kitna hein?"

"Jheh lakh! Dekho tumhaara bus aa gaya! See you tomorrow Kria..." Swayam waved at the bus and Kria looked at him disappointed since she couldn't know much from him.


One day to go for Qualifiers...

"Swayam! So I guess Kria ki team ne kal ki performance keliye enough practise kar li hein, right?" Sharon asked when Swayam came down the stairs in the abandoned corridor.

"Haan Sharon... Sab achchi tarah se jaa rahi hain..." Swayam said cheerfully. He was more excited to be with her rather than her intentions. The smart and strong Swayam always turned the opposite with her in front.

"So, kal ke liye tum ready ho? Mere against dance karne keliye?"

"Mein tumhaare against nahi, tumhaare saath dance karunga..."

"Haha! Wow! Par agar mein 'na' bolun toh?" Sharon teased, while controlling her laughter.

"Tumhe 'na' bolne se mein nahi rok saktha... woh toh sirf tumhi kar sakthi ho Sharon..." he was in complete 'Romeo' mode.

"Okay Swayam, listen... seriously kya tum meri against dance karogi? Don't you like me? Kya tum mujhe haarthe dekh sakthe ho?" Sharon tried her best to convince him, but was laughing inside. 



Dil Se Dance Where stories live. Discover now