Chapter 4

2.7K 202 151
                                    

Is Dafaa Barishain Rukti Hi Nahe Faraz,💔💔
Hum Ne Aansu Kya Piye , Sara Mausam Ro Para ...!  

          🍁🍁Ahmed faraz 🍁🍁
********************************

"Api hum kal shopping pe chalain"

Ayat apnay bed pe leti ek novel padhnay ki koshish kar rahi thi par uska dimaag baar baar subha se uski Ammi ke khush-gawaar mood ki taraf bhatak raha tha.

aaj jub se paros ki zarina khaala Ammi se mil ke gayien thien , tab se Aayat ne kayi baar unhain apni taraf muskraatay huway dekhtay huway mehsoos kiya tha. Aur naa jaanay kyun usay ye weham gheray huway tha kay Ammi phir se uski shaadi ka soch rahien hain. Jis ki wajah se uska dil be chain huway jaa raha tha.

Ye pehli baar nahi tha , pichhlay teen saalon se Rehana Beghum ne kayi baar Aayat se uski shadi ki khuaahish zaahir karti aayien hain , aur har baar Aayat ne saaf inkaar karkay unka dil dukhaya hai , par usay samajh nahi aata ke sub kuchh jaannay ke baad bhi wo baar baar khud ko aur Aayat ko kyun is aziyat main mubtlaa karna chaahti hain.

Aayat kay inkaar ki wajah wo achhi tarhaan se jaanti hain , phir bhi wo uski shaadi ki umeed kyun nahi chhor rahien..?!..

uski umar ki larkiyon ki shadi hotay dekh unka kaleja kat jaata , aur kayi dino tak wo udaas rehtien par Aayat chaah kar bhi unki ye khuahish poori nahi kar sakti thi .wo inhi sochon main ghum thi jub Zarish ki awaz ne usay apnay khayalon se niklala. Lekin wo samajh nahi paayi ke Zarish ne kya kaha tha. usnay zarish ki taraf dekha jo apnay Bed par bethi apnay notes ko tarteeb de rahi thi.

"Huhh"

"Main keh rahi thi ke , kal mera last paper hai....to sham ko hum shopping pe chalain...? Please...!

Zarish ne ek baar phir se Aayat ki taraf dekhtay huway farmaaishi lehjay main kaha. Aayat ka kahien bahar janay ka dil to nahi kar raha tha par Zarish ke istarhan maasoom chehra banatay huway poochhnay par usnay mazeed na sochtay huway haan kardi. aur Zarish jo uskay jawaab ka betaabi se intzaar kar rahi thi, Aayat ka jawaab suntay hi wo apnay bed se uth kar Aayat kay bed par aa gayi. aur Aayat ko galay laga liya.

" thank you thank you so much api" wo bachon ki tarhaan boli.

" bus karo meri maa , aisa bhi kya ho gaya jo itna khush ho rahi ho"

Aayat ne muskuratay huway Zarish ko khud se alag kartay huway heraangi se zarish se uski itni excitement ki wajah poochhi.

"Wo is liye ke sham jub mainay bhai se poochha ke kal shopping pe chalain to unhon ne kaha kay agar main aap ko chalnay ke liye manaa loon to hi wo humain lekar jaayain ge. "

Zarish ne moo banatay huway bataya. Jisay sun kar Aayat ki muskurahat dhalnay lagi , aur usnay nazrain apni haath main thaami novel ki taraf kar lien. par zarish ke bolnay par phir se uski taraf dekha.

"Mujhay laga last time ki tarhaan is time bhi aap ko mananay ke liye do ghantay lagay ge ,par aap to jhat se maan gayien. " Zarish ki is baat par Ayat dil hi dil main malamat bharnay lagi.lekin Zarish ne Aayat ki udaas aankhain mehsoos nahien ki thi kyunkay wo to apni planning bataanay main masroof thi.

" Mujhay kal bohat si cheezain leni hain. Aap ko yaad hai maine last time jo suit dekha tha..? Kal finaaly main wo suit khareed loon gi..oh aapi wo suit kitna achha tha na...aur aglay haftay Daniya ki bhi birthday hai , soch rahi hoon uskay liye koyi achhi sa bracelet le loon . Uskay ilaawa..."

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now