Chapter 9

1.8K 162 136
                                    

Chapter 9

shiddate dard se sharminda nahi meri wafa FARAZ 🍁

dost gahre han to phir zakhm bhi gahre honge..........🌿🌿

               🍁Ahmed faraz 🍁

~~**~~**~~**~~**~~**~~**~~*

Bachpan main ek baar Mateen ne apnay baba wahab se poochha tha ke family kisay kehtay hain..? 

Aur us waqt Wahab ke chehray par aanay waali udasi ki wajah Mateen samajh nahien paaya tha. Lekin aaj Mateen apni ankhon se wo sub dekh raha tha. Aur apnay Baba ki udaasi ki wajah bhi.

Jis pal se Mateen ne apnay baba ke ghar main qadam rakha tha , usi pal se wahan mojood har shakhs,  jin main Murad chachu , unki wife fehmida chachi ,unki beti aur Zohan ki chhoti behn Rida , ye sub afraad Mateen se itni khush dili se milay  thay , aur us se is tarhaan ghul mil gaye thay jesay Mateen aaj pehli baar nahi balkay jesay ek lumbay vacation ke baad wapas apne ghar aaya ho. 

Par subsay zyada Mateen ko uski dadi se milkay jo sukoon aur khushi mili thi , wo lafzon se na kaabil e bayaan thi. 

Jub Murad sahab usay apni beemar dadi ke paas le gaye , jo tabiat sahi na honay ki waja se apnay room main hi thien. To pehlay to Mateen ko samajh nahi aa raha tha ke wo unsay kya kahega , kesay milega...?

par jub uski dadi ki nazar apnay wahab ki Aakhri nishani par pari. Wo pehlay to bina palkain jhapkaaye usay takti rahien , par phir kuchh hi lumhon main unhon ne Mateen ko apnay seenay se laga liya , aur wahab ka naam letay huway wo bachon ki tarhaan ronay lagien. dadi jaan ko yun dekh kar wahan room main mojood har shakhs ki ankh ashk-baar ho gayi thi.

" Wahab.... Mera bacha.. Murad ye mere wahab ka beta hai.. dekho to kitna jawan ho gaya hai ye... " Rotay huway Kabhi wo uski peshani choomtien to kabhi uskay baal sehlaati.

Mateen ke liye ye sub kuchh naya tha. Wo to sochta tha ke in logo ne uskay Baba ko apnay ghar se nikal diya tha , par in sub ka pyar dekh kar uskay dil main rahi sahi baqi bud-ghumaniyan bhi khatam ho gayien thien. Aur aaj sahi maainay main wo is family main shamil ho gaya tha.

Itna ronay se kahien dadi jaan ki tabiat na kharab ho jaaye is waja se  Mateen ne unhain ye keh kar khamosh karaya , ke ab wo kahien nahi jaaye ga aur humaisha unkay paas hi rahay ga. jisay sun kar sub ke ansu'on se bheegay chehro'n par muskurahat aa gayi thi.

Jub dinner ka waqt huwa to Mateen ne dinner apni dadi ke saath kiya , jo dinner ke doran usay Mateen ke baba , Wahab ke bachpan ke kissay suna rahien thien. Aur saath hi saath kabhi kisi baat pe muskura , to kabhi kisi baat pe ro detien. Lekin aaj Mateen ne apnay baba ki ek aur pehchan se bhi aashna huwa tha jise sirf ek maa hi jaanti hai. Aur ye sub jaanne ke baad Agar mumkin hai to wo apnay baba se mazeed mohabbat karnay laga tha.

Dinner ke baad phir sub dadi ke room main jama ho gaye aur wahien beth kar baatain karnay lagay.

" Aap ko yahan pakistan main garmi nahi lag rahi Mateen bhai?" Rida ne herat se Poochha,  kyunkay usay yaad hai jub uski friend UK main shift honay ke do saal baad pakistan aayi thi to wo saara waqt bus garmi ki shikayat kar rahi thi.

" nahi... shuroo main thori mehsoos hui thi par ab sahi hai. " Mateen ne muskuratay huway bataya.

Jub Rida usay apnay collage ki baatain bata rahi thi , tab Zoyan baar baar usay tok raha tha ke unhain Rida ke collage ya uski doston ki baatain nahi sunni.  jis par wo apnay baba Murad se Zoyan ki shikayat lagataay usay daant khila rahi thi.

ye sub Mateen muskuratay chehray ke saath khamoshi se dekh raha tha. Usay Rida bohat achhi lagi thi , uski surat main Mateen ko ek chhoti behan mil gayi thi.  Jis ki kabhi usne khuahish ki thi.

Sub ki baato'n ka silsila jaari raha par kuchh hi dair main jub Dadi  jan ke sonay ka waqt huwa to sub unkay kamray se bahar lounge main aa gaye. Par fehmida chachi Rida ke saath Mateen ka samaan le kar Mateen ke room main chali gayien taake ye dekh sakain ke Mateen ki zaroorat ki har cheez mojood hai  ke nahi. Fehmida chachi ke baad Murad sahab bhi apnay room main Aaraam karnay chalay gaye.

Ab sirf Mateen aur Zoyan living room main reh gaye thay.

" kal mera cousin Idrees  bhi yahan karachi Aa raha hai. " Idrees Fehmida beghum ki behn ka beta tha ,  jo hydrabad main rehta tha. Wo Zoyan ka bachpan ka dost bhi tha.

" haan chachi ne bataya tha" Mateen ne bataya.

" aur pata hai yahan aakar wo pehli  farmaaish konsi karega ?"

" konsi?" Usnay dilchaspi se poochha.

" club jaanay ki" Zoyan ne muskuratay huway dheemi awaz main jesay raazdari ke se andaz main bataya . Aur qehqahay lagana shuroo ho gaya

Jis tarhan se Zoyan Idrees ke baaray main baat kar raha tha us se zahir ho raha tha ke wo aur Idrees best friends hain. Aur usay itna Excited dekh Mateen ke chehray par bhi muskurahat aa gayi rhi. Aaj itnay saalon baad Mateen itni dair tak khushi mehsoos kr raha tha , warna in paanchh saalon main to wo jesay hansna to door ki baat muskurana bhi bhool gaya tha.

Unki baton ke doran fehmida beghum bhi wahan aa gayien.

" bohat batain ho gayien , ab jao tum dono bhi so jao. Chalo utho." Fehmida beghum ne masnui sakhti se kaha.

"Kya Amma , aap aisay keh rahi hain jesay hum koi school ke bachay hon" Zoyan ne uthtay huway kaha.

" tum log kitnay bhi baray ho jao meray liye humaisha bachay hi raho ge , aur jaldi sonay ke liye tumhara school main hona laazmi nahien hai. "
fehmida beghum ne apnay bete ki peshani choomtay huway shafqat se kaha.

Mateen wahan khamosh khara un dono ko dekh raha tha , fehmida beghum ko dekh kar usay apni mom ki bohat yaad aarahi thi , isi tarhan wo bhi Mateen ka  khayaal rakhtien , jesay wo koi chhota bacha ho.

Us waqt wo bhi Zoyan ki tarhaan is naimat ko samjh nahi paya tha , par Aaj Zoyan aur us se juray rishtay usay apnay khoye huway rishton ki yaad dila rahay thay. Uske Baba , mom, Aditya. Ye sub log jinhain wo kho chuka tha. Aaj Mateen ka dil inkay liye tarap utha tha. Par ye sub log us se bohat door ho chukay thay.

Zoyan , Mateen aur apni Amma ko shab'ba khair keh kar apnay room main chala gaya aur Fehmida beghum Mateen ko lekay uskay kamray main Le aayien.

Mateen ke sar pe haath rakhnay ke baad wo usay wahien chhor kar apnay room main chali gayien.

Fresh aur chenge karne ke baad wo sonay ke liye apnay bed par ankhain bund karkay let gaya aur neend ka intzaar karnay laga.

Ye jaantay huway bhi ke Aayat ka chehra uski bund palkon main uska intzar kar raha tha.

Par yehi lumha tha jahan wo usay phir se apnay saamnay dekh sakta tha , phir chaahay uski qeemat usay apnay dil main lagay zakhmon ko mazeed kuraid kar hi kyun na ada karni pare.

**************

Assalaam u Alaikum my lovely readers.
I know ye chapter thora boring tha par Mateen ki family ke baaray main zaroori tha. ☺️☺️
But inshaAllah next chapter interesting hoga.
Please vote and comment my silent readers.
samzehra
i-me-andmyself
Aannjjaalli
livinginahope
cheesecake_786
Thank you for your support guys💐💐💐

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now