Chapter 19

1.8K 143 185
                                    

Us ko na pa sake thay jab dil ka ajeeb haal tha,
Ab jo palatt ke dekhiye baat hi kuch muhaal thi,
Meri talab tha aik shaks woh jo nahin mila to phir,
Hath dua se yoon giray bhool gaya sawaal bhi

           🌾PARVEEN SHAKIR🌾
chapter 19
⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔
Aayat ke jaanay ke baad Zarish ka paraishani se bura haal tha , wo kayi dair tak yunhi ghar main kisi rooh ki tarhaan bhatakti rahi ke uska dimaagh kisi aur cheese ki taraf ho par , har baar ye khayaal usay be chain kar deta ke pata nahi Aayat Zoyan se kya keh rahi hongi aur Zoyan aapi ka dil jeet paaye ga ke nahi .

Aakhir apna dimaagh kharaab honay se bachanay ke liye isnay apni dost ke ghar jaanay ka faisla kiya jo uskay ghar se kuchh hi faasly par rehti hai , wo apni ammi ko bata kar apni dost ainy ke ghar chali aayi. Par yahan bhi uska wesa hi haal tha.

Wo Ainy se uskay honay waalay susraal ki buraaiyaan sun rahi thi jub uska mobile bajna shuroo ho gaya , aur jub us ne screen par Zoyan ka naam dekha to uskay ausaan khata ho gaye aur dil zor zor se dharakna shuroo ho gaya.

Wo Ainy se excuse karkay uskay kamray main aa gayi taakay akelay main Zoyan se baat kar sakay.

Usnay zyada kuchh na sochtay huway call attend ki ,

" Zarish is waqt kahan ho tum ..?"
Zarish ke kuchh bhi kehnay se pehlay Zoyan ne us se sawal kar diya. Aur uski awaz main phaili sanjeedgi se Zarish ko kisi buri khabar ka andesha honay laga.

" kyun..? Kya huwa..sub kuchh theek..."

" Zarish meri baat suno...tum..tum is waqt jahan bhi ho ..foran Aayat ke paas jao..theek hai..?"Zoyan ne zarish ki baat ko kaattay huway sanjeedgi se kaha.

" Zoyan kuchh batao to sahi...kya baat hai..tum mujhay dara rahay ho.." Aayat ke naam pe Zarish ko kayi wehmo'n ne aa ghera tha aur Phir Zoyan bhi kuchh saaf nahi bata raha tha.

"Meri jaan, main tumhain is waqt kuchh nahi bata sakta .. Please wo karo jo abhi main keh raha hoon...theek hai..!" Is baar Zoyan ne narmi se kaha to Zarish ne koi chaara na paatay huway haan kaha, aur uskay haan kehtay hi Zoyan ne call cut kar di.

Zarish kuchh pal wahien mujasma(statue) bani rahi. par do pal baad wo harkat main aayi aur kamray se bahar nikal kar Ainy se ek bahana karkay wahan se ghar ki taraf chal pari.

Pooray raastay uska dimaag pata nahi kya kya khauf daar kahania bana chuka tha, aur jub tak wo ghar ke darwazay tak pohanchi uska poora jism dar ke maaray thanda par chuka tha.

Wo baar baar door bell bajanay lagi , aur kuchh hi dair main unki mulazima naaila ne darwaza khola.

" aapi kahan hai..?" Ander daakhil hotay hi usnay subsay pehlay Aayat ke baaray main poochha.

" baaji thori dair pehlay hi aayien hain...aur wo apnay kamray main chali gayien.." Naaila ne bataya.

" aur ammi..?"

"Wo aap ke jaanay ke baad se apnay kamray main hain ,abhi tak bahir nahi aayien. " mulazima ka jawab suntay hi wo seedhi apnay aur Aayat ke room ki taraf jaanay lagi to peechhay se Naaila ke bulanay par wo ruk gayi aur bezaari se usay dekha.

"Wo...Aayat baaji jub aayi to...wo bohat ro rahien thien..aur.." Naaila ka ye kehna tha ke Zarish uski poori baat sunay bina hi apnay kamray ki taraf taqreeban bhaagtay huway gayi.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang