Book 2 : chapter 34

1.5K 94 29
                                    


Book 2 chap 34

Ajab tarhaan ke log bastay hain tere shehar main faraz...!
Mit jaatay hain anaa main lekin mohabbat nahien kartay!!

                            🌿AHMED FARAZ🌿

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐vote please ️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

" Bhabhi is main ab kya daaloon..." Rida jo pakoron ke liye besan tayaar kar rahi thi Aayat se boli.

Aayat ne apnay haath main pakra laal mirch ka dabba waapas uski jagaah pe rakh diya. Jo rida abhi istamaal kar chuki thi. Aur rida ki taraf muri.

" do chamach jitna Anaar daana , aur thora chaawal ka aata daal do is se pakoray crispy hongay . Lekin namak abhi mat daalana jub pakoray talnay ke liye karaahi rakho tab namak add karna warna pyaaz paani chhoray gi.

Aayat ne usay bataaya. Aaj Fehmida beghum ne Rida ko pakoray banaana sikhaanay ki zimmay daari Aayat ke hawaalay kar di thi. Aur Aayat Rida ki jaldi se sub kuchh seekh lenay ki khoobi se bohat mutaasir huwi thi.

Zarish subha Zoyan ke saath hi Maaikay chali gayi thi aur raat ko unki waapsi ka imkaan tha. Fehmida beghum ne Aayat ko bhi jaanay ko kaha lekin Aayat ne taal diya. Ke wo phir kabhi chali jaaye gi.

" kya huwa masaala bun gaya...?.." Fehmida beghum kitchen main daakhil hotay huway bolien. Wo seedhi Rida aur Aayat ke paas aa gayien.

" Aray waah itni jaldi masaala bana bhi liya..? Lagta hai tumhaari Aayat bhabhi ne saara kaam kiya hai..? " Fehmida beghum ne Usay mashkook nazron se dekhtay huway kaha, par unkay honton par halki muskraahat bhi mojood thi.

Lekin ye suntay hi Rida ek dum se boli. " nahien Amma maine bhabhi se sirf tareeqa aur saamaan poochha unko koyi kaam nahien karnay diya. Sub kuchh maine khud tayaar kiya hai. Aap bhalay bhabhi se poochh lain. Haina Bhaabhi...?"

Apni beti ki is maasoomiyat par wo muskura uthien. Aayat bhi Rida ki baat par muskraa rahi thi.

" jee Chachi Rida apna saara kaam khud kar rahi hai , maine koyi madad nahien ki balkay meray sirf ek baar bataanay se hi Rida sub kuchh achhay se kar rahi hai.  "

" sun liya aap ne..." Rida moon banatay huway boli. Aur dobara se besan mix karnay lagi. Fehmida beghum abkay hamsnay lagien thien. lekin wo abhi usay aur tung karna chaahti thien.

" achha to ye sub tum ne akelay tayaar kiya hai....? Hmm Aayat lagta hai Ab Rida ko cooking karna aagayi hai , to phir aaj se , raat ka saalan roz Rida banaaye gi. Theek hai." Ye suntay hi Rida ki hawaaiyaan ur gayien thien. Raat ka saalan wo banaaye gi..? Bilkul nahien..!!

" nahi Amma..! main abhi itni Expert bhi nahi huwi ke aap ye itna bara kaam meray zimmay chhor dain , agar maine saalan banana shuroo kiya to subkay pait kharaab ho jaaian ge. Kya aap ko kisi ki fikar nahien hai..?.." Rida jhat se boli.

" Aayat mujhay lagta hai mujhay Rida ki saas ke taanay sunnay ke liye tayaar ho jaana chahiye , kyunkay meri beti ko to kitchen ka kaam aata hi nahien. Kal ko jub iski shadi hogi to is ki wajah se saaray ghar ke pait kharaab hongay aur phir iski saas mera jeena haraam kar de gi ke fehmida ne apni beti ko kuchh nahien sikhaaya.." is baar Fehmida beghum thori sanjeeda nazar aa rahi thien. Lekin Aayat ab bhi jaanti thien ke ye sub sirf Rida ko tease karnay ke liye kaha jaa raha hai.

" Ammi....abhi meri shaadi thori ho rahi hai jo aap meri cooking ke liye pareshan ho rahi hain. Aur  wesay bhi main shadi nahien karoon gi..abhi mujhay apni parhaayi mukammal karni hai uskay baad main Doctor banoon gi.  " Rida ne moon banaatay huway kaha.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now