Book 2 chapter 30

1.4K 97 38
                                    

Don't forget to vote ⭐️⭐️

shumA ki lau thi kay wo tu tha magr hijr ki raat...
dair tak rotA raha , koi sirhanay meray..!

khalq ki beKhabaree hai ke , meri ruswa'ee....
loog mujh ko hi sunatay hein fusanay meray..!

chara-gr yooN to bohut heiN magr ...aeh jaan-e-faraz....
juz teray , aur koi zakhum na janay meray...!!

AHMED FARAZ

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Book 2 chap 30

*******~~~~~~~*******

Karachi se yahaan aaye huway unhain doosra mahina khatam honay ko tha , aur itnay dinon main school ka achha khaasa kaam khatam ho chuka tha.

Mateen ka saara waqt site par guzarta. Wo ghar bohat kam hi mojood hota jahaan Aayat mojood hoti. Is baar wo khud hi usay sochnay ka waqt dena chaahta tha.

Us raat ke baat doosri subha Mateen Aayat se bhi saweray utha tha ya phir ye keh saktay hain ke us raat poori raat wo soya hi nahien tha. Aayat ko sotay dekh wo apnay bag se painkiller tablets nikaal kar uskay bed ki sidetable par rakh dien. taakay uthnay ke saath hi wo unhain khaa lay. Lekin tablet rakhnay ke baad wo do minute wahien ruk ke uski kalaaion pe lagay nishaaanaat dekh kar bohat afsurda huwa tha.

Us din ke baad un dono ke darmyaan dobara pehli ki si khamoshi ne jagaa le li thi. Aisa lagta tha jesay do ajnabi ek saath reh rahay hon.

Mateen ne usay waqt denay ka faisla karkay usay khud se bhi mukhaatib karna chhor diya. Lekin wo is baat se anjaan tha ke Aayat do din se us se baat karnay ka moqa dhoond rahi thi , jo usay naseeb hi nahien ho raha tha.

Lekin aaj usay wo moqa mil hi gaya.

aaj subha jub wo utha aur room main daakhil huwa to to Aayat ko us se pehlay jagay dekh , aur usay wahien Bed par bethay dekh Mateen ek lumhay ke liye thithar gaya. par phir khamoshi se apnay kapray le kar bathroom main bund ho gaya. Usay lagaa tha ke uskay bathroom se nikalnay tak Aayat wahaan se jaa chuki hogi. Lekin ek baar phir Aayat uski tawaqqq ke baraks ab bhi wahien bethi thi.

Aur wo jo ye soch kar ke Aayat wahaan se jaa chuki hogi , bina shirt ke sirf jeans aur towel gardan main pehnay bathroom se niklaa tha. Aayat , jo usi ki taraf dekh rahi thi. Uskay chehray par nazar partay hi wo wahien khara reh gaya. Par phir sorry kehta wapas bathroom main chalaa gaya. Aur is intense maahol main bhi uskay honto par halki mukuraahat phail gayi thi. Usnay ek dum se apni shirt pehni aur baahar nikal aaya.

Is baar Aayat ki najar doori taraf thi par uskay safaid gaal gulaabi rung liye huway thay.

" mujhay nahien pata tha ke tum ab tak yaheen mojood hogi...." Mateen ne saada awaaz main kaha. Par na jaanay kyun wo is baat par sharminda mehsoos nahien kar raha tha.

Aayat musalsal apni ungliyaan marortay huway kuchh socnaya main masroof dikhaayi de rahi thi. Mateen ke ye kehnay par Aayat ne uski taraf dekha aur halkay asbaat main sar hilaaya aur aur apnay khushk honton par zabaan phairnay ke baad bolna shuroo kiya.

"Mateen... humain yahaan aaye huway do mahinay ho chukay hain.." Kehtay huway uski nazrain Mateen ke chehray par thien , par Mateen ko apni taraf is tarhaan goar se dekhtay dekh , usnay be saakhta phir se apni nazrain jhukaa lien thien. Lekin bolna jaari rakha.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now