Chapter 12

2K 149 271
                                    

Meri Nazar ne To dil tak rasayi di thi usay.......💕💕💕💕
Meri Rooh main wo apnay hunar se utra hai....!!!💕💕💕

                              🌺MiRZA GHALIB🌺

                                   ☘☘☘☘☘☘☘☘☘☘☘☘

chapter 12

Aaj Dubai main unka doosra din tha. Aur aaj wo sub burj-al-khalifa dekhnay jaa rahay thay.

jub Aayat ko pata chala ke aaj wo dunya ki sub se unchi building ko dekhnay ja rahay hain , aur to aur wo usay andar se dekh sakain ge , uski to khushi ka koi thikana hi na raha tha.

Par is sub khushi main ek kaanta, nahi balkay do kaantay baar baar uski halak main phans rahay thay. 

Ek tha wo Haadi , jo uskay room kay ilawa baaqi har jagah, jahan wo aur Rabia jaatien wahan uski mojoogi laazman hoti. ye sub wo us Rabia ki be waqoofi ki wajah se bhugat rahi thi.

Wesay Haadi bura nahi tha. Balkay Rabia to Haadi ki company ko bohat enjoy kar rahi thi,  par masla Aayat ka apna tha , jisay baaqi kisi bhi gair  larkay ki tarhan us kay saath bhi itna ghulna milna pasand nahi  tha. par wo kuchh keh bhi nahi sakti thi. Is liye khamosh hi rehti.

Aur doosra tha wo Mateen...! us shakhs ne to húd hi kar di thi.

Aayat ki is trip ko kharaab karnay ki to jesay us nay qasam le rakhi thi. Wo har baar kisi na kisi bahanay se aakay unkay saath beth jaata. unkay saath aisay baatain karta jesay wo ek din kay nahi , balkay bachpan ke jaan'nay walay hon.

khaas tor par jub Haadi Aayat se kuchh baat karna chahta to usi waqt Mateen ko bhi koi na koi baat yaad aa jaati , aur Haadi ke kuchh bhi kehnay se pehlay hi apni baat karna shuroo kar deta.

Aayat ko shak ho raha tha wo ye sub kuchh jaan boojh kay kar raha hai.

jesay kal raat ki baat lelo. jub baaqi group ki tarhan wo bhi dinner ke liye sub ek table par  saath bethay thay. Jin main Aayat , Rabia aur unki friends kay ilaawa Haadi bhi mojood tha. Par kuchh hi dair main Mateen aur Aditya bhi bin bulaye mehman ki tarhaan , wahien unkay saath beth gaye.

Aur un dono ko dekh kar iski baaqi friends itni khush huwi jesay kisi Prince Charming ki entry ho gayi ho.

Wesay wo khud bhi is baat se inkaar nahi kar sakti ke Mateen bohat handsome tha.

usay yaad hai jub pehli baar uski nazrain Mateen pe pari thien , ek second kay liye to wo khud bhi uski taraf  attract huwi thi.  par uskay moo kholtay hi Aayat us sehar se nikal bhi gayi thi. 

Lekin ab bhi wo jub bhi uski aankhon main dekhti hai ,  Aayat be ikhtyaar apna wajood unain doobtay mehsoos karti hai. Wo aankhain usay apnay hisaar main qaid rakhnay ka hunar achhi tarhan se jaantien hain.

Aur isi liye wo jub bhi Mateen ko dekhti to humaisha uski Ankho'n main na dekhnay ki koshish karti thi .

Us pooray dinner ke doran wo Mateen ki nazrain khud par mehsoos kar rahi thi. Jiski wajah se wo theek se khana tak na kha paayi thi. Wo dil hi dil main usay be shumaar rangeen alqbaat se nawaazti rahi.

Wo koyi do saal ki bachi nahi thi jo Mateen ki maainay khaiz nazaron aur zu maani guftagu ko na samajh sakay. Wo achhi tarhan jaanti thi ke Mateen us main interested hai.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now