Chapter 29

1.7K 125 164
                                    

Itni si baat pe dil ki dhadkan ruk gai Faraz
Ek pal jo tasvvur kiya tere bina jeene ka

💕Ahmed Faraz💕

💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕

Chapter 29

Beautiful cover by our sweet sister BismaBatool
********

Wo kuchh dair dimaag main apnay alfaaz ko toal ke dekh raha tha.

Aur saamnay haath baandhay aankhon main iztraab ki si kefiyat liye Mateen uskay bolnay ka intzaar kar raha tha.

" aaj jo kuchh huwa... , aur jo kuchh tum ne mujhay bataya...." Kehtay huway wo phir kuchh dair ruka.

" samajh nahien aa raha kesay kahoon.." Zoyan ne apna haath apnay chehray pe maltay huway sargoshi ki si awaz main khud kalaami ki , par Mateen ne uskay alfaaz sun liye thay.

" tumhain kuchh kehnay ki zaroorat nahien hai Zoyan, main jaanta hoon.. Sachaayi jaannay ke baad tum mujh se nafrat karnay lagay ho.. Mujhay koyi gila nahien hai.. jo kuchh maine kiya , us ke baad main khud apnay aap se nafrat karta hoon.."

Mateen shikasta lehjay main bola , uskay honto'n pe tanziya muskan thi.

Jub Zoyan ne Dekha ke Mateen uski hich'kichahat ko kya samajah raha hai to usay apni baat kehnay main dair nahi lagi.

" main tum se nafrat nahien kar sakta Mateen... main khud heran hoon , main maanta hoon us waqt main shock main tha.. Aur isi liye bina kuchh kahay Tumharay Room se chala gaya tha. Par yaqeen maano main tum se nafrat nahien kar paaya. Haalan ke ye bhi sach hai ke jo kuchh tum ne kiya, wo kisi bhi tarhaan Maafi ke laayak nahi hai, par mujhay is baat pe bhi poora yaqeen hai ke, agar , us waqt tum nashay main nahi hotay to hargiz aisi harkat nahi kartay... kyunkay main dekh sakta hoon ke tum Aayat se kitna pyar kartay ho. Aur hum jis se pyar kartay hain unhain takleef nahi de saktay... "

Zoyan ne ek saans main sub kuchh keh diya.

" par main ne Aayat ko bohat dard diya hai Zoyan... bohat takleef pohanchaayi hai usay.... aaj dekha na tum ne.. uski Aankhain meray liye kitni Nafrat aur khauf se bhari huwi thien..Wo mujh se door jaana chahti thi Zoyan... mujh se door jaanay ke liye usnay apni Zindagi ki bhi parwaah nahi ki...."

Wo jese Zoyan ko yaqeen dilana chaahta tha ke wo kitna bura insan hai.

"haan ye sach hai ke main us se bohat pyar karta hoon..
khud se bhi zyada...., phir kesay maine usay barbaad kar diya...? apni pehli mohabbat ko kon apnay peron talay rondhta hai...?"

"par maine Rondha apnay pyar ko..."

Mateen ki Awaz aakhri jumlay tak halki aur bojhal ho gayi thi, bilkul uskay dil ki kefiyat ki tarhan. Aur Zoyan ka dil apnay bhaai ke liye kat kar reh gaya tha. Wo jaanta tha ye mohabbat kitna dard deti hai, aur Mateen to Aayat se ishq karta hai. Yak tarfaa Ishq.

" Mateen... agar tumhain moqa milay us raat ko badalnay ka..."

" Aayat ke saath wo sub karnay se pehlay, main khud ko maar dena pasand karta. Aayat ko barbaad honay se rok leta.."

Is moqay ke badlay agar koyi mujh se meri zindagi bhi maang le, to mujhay qabool hai... "

Mateen ne Zoyan ki Ankhon main aankhain daal kar gehri awaaz main kaha.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Waar verhalen tot leven komen. Ontdek het nu