Chapter 32

1.9K 119 222
                                    

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah

💕Wasi shah💕

**********************

Mohabbat kya hai...?

nafs ki zaroorat...?!

ya dil ki aadat...?!

Ye kyun hoti hai...? kesay hoti hai...? ye koyi nahi jaanta, par is ki asal gehraayi sirf wohi jaanta hai jo ismain is had tak doob chuka ho ke waapas aanay ka koyi rasta na rahay.

Aur Mateen ishq ki usi gehraayi main doob chuka hai jahan usay aur kuchh nazar nahien aata.

jub usnay pehli baar Aayat ko dekha , jo ek nayi kali usaky seenY main khili thi, aaj wo kali ek gulab bun gayi hai. Bus farq sirf itna hai ke Mateen ki mohabbat ka gulab ab mar raha hai , aur uski girti ek ek patti Mateen ke seenay ko cheerti huwi gir rahi hai.

Aaj fehmida beghum aur Murad sahab Zarish ke ghar Zoyan ka rishta le ja rahay thay. Aur Fehmida beghum ki bohat zid thi ke Mateen bhi unkay saath chalay.

Mateen ne bohat aaraam se unhain ye keh kar mana kar diya ke wo daadi jaan ke saath rukna chaahta hai. Aur jub Fehmida beghum ke israar ke bawajood Mateen ne mana kar diya to wo bhi khamosh ho gayien.

Mateen ko unhain is tarhan mana karna bohat bura lag raha tha , par wo majboor tha, wo apnay kiye waaday se kesay peechhay hat jaaye. Chaahay uska dil machal hi kyun na raha ho Aayat ko phir se dekhnay ke liye.

Unkay jaanay ke baad wo daadi ke room ki taraf barh gaya , par Idrees ke usay awaz denay par wo ruk gaya. Idrees aur Zoyan dono living room main PS4 par hand combat khail rahay thay.

Wo chalta huwa wahien aa gaya aur sofay pe beth gaya. Zoyan aur idrees dono zameen par sofay se taik laga kar bethay thay.

" chalay gaye wo log..?" Idrees ne poochha ,uski nazar saamnay apnay player pe thi jo Zoyan ke player pe ghoonso ki baarish kar raha tha. Uski ungliyan remote ki keys par is raftaar o dabao se chal rahien thien ke Mateen ko laga ye handle dobara istamaal honay ke layak nahien rahay ga.

" shit.!!!' .." Zoyan ne gussay se chillatay huway remote sofay pe patkha. aur idrees apni jeet ki khushi se zyada Zoyan ki haar pe khush hotay huway qehqahay laganay laga. .

ye paanchhvii baar idrees ne Zoyan ko haraya tha.

Jub se Murad sahab aur Fehmida beghum jaanay ke liye tayaar ho rahay thay , tab se Zoyan iztraabi ka shikaar ho gaya tha. Aur isi wajah se apna dhiyan bhatkaanay ke liye wo ye game khail raha tha.

par har baar game ke doran uska dimaag phir Zarish ki taraf mur jaata.

Zoyan Zameen se uth kar Doosray sofay par beth gaya. Idrees bhi game bund karnay ke liye uth gaya.

" Baba ne kuchh kaha to nahien jaatay huway..? matlab koyi hukam saadir kiya kya..?" Zoyan ne apnay baalon main ungliyan phairtay huway Mateen se poochha.

Idrees bhi ab Mateen ke barabar main aakay beth gaya tha.

" nahien , Chachu ne kuchh nahi kaha , Kyun.?"

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️On viuen les histories. Descobreix ara