Book 2 chapter 15

1.4K 117 37
                                    

Book 2 chap 15

Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Karte Hain
Main To Mar Kar Bhi Meri Jan Tujhe Chahon Ga

Tu Mila Hai To Ye Aehsas Howa Hai Mujh Ko
Ke Meri Umer Mohabbat Ke Liye Thori Hai

Ek Zara Sa Gham Dora Ka Bhi Haq Hai Jis Per
Main Ne Wo Sans Bhi Tere Liye Rakh Chhori Hai

Tujh Pe Ho Jaon Ga Qurban Tujhe Chaon Ga
Main To Mar Kar Bhi Meri Jan Tujhe Chahon Ga

Main Tasawar Bhi Judai Ka Bhala Kese Karon
Main Ne Qismat Ki Lakiron Se Churaya Hai Tujhe

Pyar Ka Ban Ke Nigheban Tujhe Chahon Ga
Main To Mar Kar Bhi Meri Jan Tujhe Chahon Ga

Qateel shifaayi

💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞

Apnay saamnay rakhay in nikah ke papers par Aayat ke dastakhat par nazar partay hi Mateen ko apni khushi maand parti mehsoos huwi' wo jo aaj kuchh dair pehlay khud ko dunya ka ek khush qismat tareen insaan samajh raha tha , Aayat ke naam ki phaili siyaahi ne ek dum se usay zameen par is oonchaayi se phainka tha, ke uska rom rom aahon se bhar gaya tha.

Uska dil , ye dastakhat kartay huway Aayat kis qarb se guzri  hogi ,is ahsaas se uskay seenay main khaamosh honay ki bheek maang raha tha.

Wo jaanta tha ke Aayat is shadi se kabhi apni khushi se raazi nahi hogi , par phir bhi uska nadaan dil is ki khuaahish kiye betha tha. Par sachaayi to is ke bar aks thi. Aayat ne kaha tha ke wo us se nafrat karti hai , phir kyun Aayat ne is rishtay ke liye haan ki..?

Kyunkay hum jin se nafrat kartay hain un ke saath apni poori zindagi guzaarnay ka ahsaas bhi humare liye sohaan e rooh hota hai..!

Phir kyun..?

Jub usay ye khabar mili  ke Aayat ne us se shadi ke liye haan kar di hai, to usnay apni khushi ke suroor main ye tak nahi socha ke Aayat ne kin haalaat se majboor hokar haan kahi hogi. 

wo to apni hi khushi ke suroor main kho gaya tha. Aur phir Zoyan ne bhi to usay bataya tha ke Aayat ne apni marzi se is shadi ke liye haan kahi hai ,  usay kisi ne majboor nahien kiya.. Phir..? Aakhir kis majboori ke tehat..?

"Ya Allah meri rehnumaayi farma... Main nahien jaanta kya sahi hai aur kya ghalat."

kya mera ye faisla Aayat ke liye mazeed takleef ka baus hai...? nahien..!

Main aisa kesay kar sakta hoon..!?

Ye sahi nahi hai!..

"Mateen kin sochon main ghum ho..?" Barabar main usi ki tarhaan boski shalwaar qameez suit main malboos Zoyan ki awaz uski samaa'at se takraayi thi.

Mateen ne ek dum se chonk kar uski taraf dekha. Uski faraakh peshaani paseenay se sharaboor thi. Hall main mojood logon aur baansuri ki bajti halki awaz main bhi wo apnay dil ki dharkan ko saaf sun sakta tha.

Ek aur gunaah ke ehsaas ne hi uskay wajood ko larza diya tha.

" lagta hai Mateen apni honay waali beghum ke khayaalon main khoye huway hain...kyun Mateen..?!."

Stage par unkay saath kharay Nawaz ne zu maainay andaaz main abru achkaatay huway usay chhaira to wahan mojood subhi larkon ke qehqahay nikal gaye thay.

Par Zoyan khamoshi se Mateen ke surkh angaara hotay chehray ko bagor dekh raha tha.

Nikaah ke foran baad se hi wo Mateen ko isi haalat main dekh raha tha. Aaj yahan aanay se pehlay waali khushi uskay chehray pe kahien bhi dikhaayi nahi de rahi thi.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now