Aayat chapter 8

2.2K 147 277
                                    

Na mere zakhm khiley hain na tera rang-e-hina...
Mausam aaye hi nahin ab ke gulaabon vaaley...!

                                                      🌿Ahmed faraz 🌿
:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
"<*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*>

Aap ne zarish ko kyun mana kar diya humaray saath aanay se, uska bohat dil tha chalnay ka... "  Aayat aur Aashir dono shaadi function main jaanay ke liye car main bethay thay jub Aayat ne apna seat belt lagatay huway driving seat par bethay Aashir se dheemi awaz main sawaal kiya tha.

" Ammi ki tabiat theek nahi thi, is liye behtar tha ke wo Ami ke saath rukay" Aashir ne bhi apna seat belt lagatay huway  jawab diya.

"Main ruk jaati ami ke saath , wesay bhi main....."

"Aayat !"Aayat ki baat pe Aashir ne usay toka. 

Aashir ke toknay par Aayat khamosh ho gayi aur Aashir ne car start ki aur apna safar shroo kiya.

+***+***+***+***+***+***+***+

"Dubai
Din ke 4:30 bhi suraj ki tapish kam nahi huwi thi. chinchilati dhoop main chalnay waali hawa bhi jalaanay ka kaam kar rahi thi.

Par ye garmi bhi Dubai museum Alfahidi fort ke courtyard main rakhi taareekhi aur nayaab cheezo'n ki kashish kam na kar saki thi, aur kayi tourist is garmi se beparwah, wahan arab taareekh se pur lutf ho rahay thay.

Wahan khari guide unhain un nayab taareekhi cheezon ki taareekh bata rahi thi. par Kayi tourist wahan rakhi kashtiyon aur topon ke saamnay pictures nikalwa rahay thay.

" tumhain ab bhi lagta hai ke tum usay pasand kartay ho...?"

Aditya ne , saamnay apni doston ke saath pictures nikalwati Aayat ki taraf dekhtay huway poochha. Aur ye sawaal us bus se lekar yahaan tak pohanchnay tak wo na jaanay kitni baar kar poochh chuka tha , aur har baar Mateen ki "haan" aur mazboot hoti ja rahi thi.

"  Aur kitni baar bataao ke haan....? Bus kar do yaar, tera ye sawaal ab mujhay irritate kar raha hai.."Mateen ne tung aa kar jhillatay huway kaha tha.

Ek to ye dhoop uski haalat kharab kar rahi thi. Aur uspay Aditya ka ye naa khatam honay waalay sawaal , jiskay jawab de kar ab usay gussa aanay laga tha.

" dekh Mateen , mujhay pata tumhain mera ye sawal karna bura lag raha hai, par ye baat tum bhi jaantay ho ke Aayat tumharay type ki larki nahi lag rahi . Aur doosri baat ke apni life main tum kisi bhi larki ke liye serious nahi huway.ab tum hi bataao main ye sawal na karoon to kya karoon...! "

Aditya ne is baar baat ghumaanay ke bajaaye saaf kehdi aur ab wo Mateen ko khojti nazron se dekh raha tha ke shayad uskay kisi reaction se kuch pata chalay , par Mateen ke chehray par muskurahat dekh kar Aditya ne usay herat se dekha.

" Aditya....kya ye zaroori hai ke jo cheez mujhay kal pasand nahi thi wo aaj bhi na pasand ho..? Ho sakta hai wo cheez aaj mujhay har shai se zyada pasand aa jaae..? aur tum mujhay meray maazi par judge karna bund karo. Maine keh diya ke mujhay Aayat pasand hai ... To pasand hai....! "

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now