Book 2 : chapter 39

1.6K 108 79
                                    

Book 2 chapter 39

Is adaa se bhi hoon aashna , tujhay itna jispay ghroor hai...
Jiyoon ga tere bagair bhi, tujhay zindagi ka shaoor hai

Na hon mujhay maye naab ki, na talab sabaa o sahaab ki...
Teray chashm enaaz ki khair ho, mujhay be piye hi suroor hai...!

Jo samajh liya tujhay be wafaa, to phir is main teri bhi kya khataa..
Ye khalal hai meray khayaal ka, ye meri nazar ka qasoor hai...!

Main nikal ke teray daam se bhi , na giroon ga apnay maqaam se..
Main QATEEL jo rustamm sahi, mujhay tum se ISHQ zaroor hai...!

                                       💞QATEEL SHIFAAYI💞

:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
"<*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*><*>
                                                       ⭐️VOTE⭐️

" Aayat ye kya tareeqa hai apnay shohar se baat karnay ka..!!.." Peechhay se kisi ki gazab naak awaaz goonji thi.

Aayat aur Mateen dono ne chonk kar us awaaz ki jaanib dekhaa , aur Fehmida beghum ko wahaan khara dekhnay ke saath hi unkay dil jesay wahien ruk gaye thay.

" chachi.."

Aayat aur Mateen ke jaanay ke baad jub wo apnay kamray main daakhil huwien thien.  Tab Murad sahab ne unhain ek file pakraatay huway bataaya ke ye file wo Mateen ko dena chaahtay thay lekin phir bhool gaye , aur is liye ke kahien wo kal phir mateen ko isay dena bhool jaaien , wo isay abhi Mateen ko de aayien. Aur isi loye wo file lekar paehlay unkay kamray ki taraf gayi thien , lekin unkay darwaazay par kayi dafaa dastak denay ke baad bhi jub andar se koyi awaaz nahien aayi to unhon ne khud hi darwaaza khol diya , lekin kamray main kisi ko na paa kar wo soch main par gayien ke wo dono kahaan gaye hongay. Lehaaza file wahien side table par rakhnay ke baad wo Mateen ki talaash main nikal parien ke usay file ke baaray main bataa sakain , aur poora ghar shoondnay ke baad bhi jub Mateen aur Aayat unhain kahaien nahien milay , tab unhon ne chhat par dekhnay ka socha.

Lekin unke wehm o ghumaan main bhi na tha ke yahaan aakar unhain konsa manzar dekhnay ko milay ga. Aayat tanaffur o hiqqarat aamaiz alfaaz Fehmida beghum ke uspar yaqeen aur bharosay ko tuqray tuqray kar gaye thay.

Wo kuchh lumhay to yaqeen bhi nahien kar paa rahien thien ke saamnay nafrat se bhari ye larki Aayat hai. Jo unki nazar main maasoomiyat aur mohabbat ka paikar thi.

" chaachi aap kab aayien..." Boltay huway Mateen laa shaoori tor par Aayat ke bachaao main uskay saamnay aana chaahta tha. Lekin Aayat us se pehlay hi do qadam Fehmida chaachi ki taraf barhi thi.

" Aayat jawaab do،!!..ye kis tareeqay se apnay shohar se baat kar rahi thi tum...?! " Fehmifa beghum ne Mateen pe ek nazar bhi daalay bagair Aayat se bahami se poochh tha. Unki awaaz main be yaqeeni ke ansar saaf zaahir thay.

Mateen Ne Aayat ki taraf dekha lekin Aayat ab apbi nazrain jhukaaye is tarhaan khaamosh khari thi , jesay koyi bachaa apni galti ke baad kharaa hota hai. Usay dekh kar Mateen jaan gaya tha ke Aayat apnay bachaao main kuchh nahien kahay gi.

" Chaachi koyi bari baat nahien hai...Aayat aur meray beech sirf maamooli se behas chal rahi thi , jis main pehlay maine isay buri tarhaan se daanta tha , aur isi wajaah se Aayat..."

" Mateen main achhi tarhaan se jaanti hoon maine kya suna... thori dair pehlay jo alfaaz Aayat ne istamaal kiye hain , wo kisi maamooli behas main istamaal nahien hotay..!!" Fehmida beghum ko yaqeen nahien aa raha tha ke Aayat ke un karway alfaaz ke baad , jub Aayat khud waaza tor par sharminda nazar aa rahi hai , is ke baa wajood  Mateen uskay difaah main khara hai. Mateen ko maamooli dipatnay ke baad wo dobaara Aayat ki taraf murien.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now