Chapter 31

1.4K 115 147
                                    

Chapter 31

Is tarah gaur se mat dekh mera haath ae Faraz..!!
In laqiron mein hasraton ke siwa kuch bhi nahin..

💕Ahmed Faraz 💕

                      🎼🎼🎼🎼🎼

Wo kitnay lumhay be yaqeeni se Aashir ki taraf dekhti rahi... uskay dil main aanay waali shikaayat honto pe aanay se pehlay hi dum torti nazar aa rahi thi.

Sharmindagi se Aayat ne apni gardan jhuka li thi.

Wo sharmindagi jo wo aaj bhi apnay saath honay waalay haadsay ki wajah se mehsoos karti aayi hai .

Wo sharmindagi jo usay apnay bhaai se be takalluf honay se rok leti hai.

Par Aashir ke faislay se uskay ander uthnay waali thais uski aankhon  se motiyon ki shakal main beh nikli thi.

Aashir gor se Aayat ko dekh raha tha. Wo apnay is faislay par Aayat ka radde amal dekhna chaahta tha , aur Aayat ki jhuki gardan usay uskay sawaal ka jawaab de gayi thi.

Wo jaanta tha ke Aayat is waqt kya mehsoos kar rahi hogi.

" Aayat main jaanta hoon ke tum kya soch rahi ho... par yaqeen maano , main kabhi koyi aisa faisla nahi karoon ga jis main tumhari khushi na ho.." Aashir ne Inthaayi narm lehjay main usay apni mukhlisi batanay ki koshsish ki.

" maine Haadi se baat ki hai ,usay tumharay maazi se koyi farq nahi parta.. wo tumhari bohat izzat karta hai.. Aur ye sub jaannay ke baad , main is rishtay ko kisi bhi haal main mana nahi kar sakta tha. Maine Ammi se bhi is baaray main baat ki thi ,aur Ammi bhi is rishtay se bohat khush hain. "

Ammi ke zikr par Aayat ne ek dum se Aashir ki taraf dekha. Uski aankhon se zahir hoti beyaqeeni saaf zahir thi.

To uski ammi bhi is se waaqif hain...?

Aur in dono ne ek baar bhi Aayat se poochhna bhi gawara nahi kiya...?

Ek baar bhi ye nahi socha ke wo kya chaahti hai....?

Par wo kis moo'n se shikaayat karay, kis haisiyat se mana karay, ke ek baar pehlay bhi uski marzi ki wajah se sub kuchh barbaad ho gaya....

" Aayat ..." Aayat ki Aankho'n main beyaqeeni aur dard dekh kar Aashir ne haath barha kar uskay rukhsar pe rakha aur apnay anguthay se uskay aansoo ponchay.

Aayat  apnay honto se nikalti siski ko roknay ke liye apnay hont ko daant talay dabaanay lagi.  uski nazar Aashir ke ilawa har jagah thi.

" Aayat..! tum kya chaahti ho..?" Aashir ne halki awaz main kaha.

Aayat ka dil dukhnay laga tha.

sub apni marzi ka karnay ke baad , phir kyun us se poochhtay hain ke wo kya chaahti hai..!?

Wo kyun ye zaahir kartay hain ke ab bus uski khuaahish ke mutaabik uski zindagi ke faislay hongay.

Pehlay Mateen , aur ab Aashir..!

Wo kya karay..!? Kya jawab de..!?

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now