Book 2 chap 17

1.6K 123 71
                                    

aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
اور بھی دکھ ہیں زمانے میں محبّت کے سوا ۔۔۔

rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā

راحتیں اور بھی وصل کی راحت کے سوا۔  ۔۔۔

FAIZ AHMED FAIZ

                                                FAIZ AHMED FAIZ

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Book 2 chap 17

" Ye tum kya kar rahi ho...?!.." Shadeed Heraangi uski awaaz se Saaf zaahir thi.

Wo jo ye soch kar kamray main daakhil huwa tha ke Uski dulhan bed par  ghoonghat kiye uska intzaar kar rahi hogi , usay itnay bhaari lehangay main kaan pe mobile rakhay pareshani ki halat main idhar se udhar chalte dekh uskay saaray armaan mitti main milte nazar aa rahe thay.

" Zoyan..! Oh..!  khuda ka shukar hai ke tum aa gaye , main kab se tumhara wait kar rahi thi..! kahan thay tum..?!" Zoyan ki awaz pe wo ek dum se uski taraf muri aur dono haathon se lehanga sambhaaltay huway seedhi uski taraf barhi.

Zoyan ab tak usay herat se dekh raha tha.

" achha chhoro is baat ko , tum jaldi se Mateen bhaai ko phone milao , mere mobile se unka number nahien lag raha.. " Wo jaldi jaldi boli aur Zoyan bechara abtak be yaqeeni o herat ka putla bana usay dekh raha tha.

"ye is tarhaan kab se aankhain phaar ke kya dekh rahay ho , jaldi se Mateen bhaai ko call karo.!." Zarish ne usay baazu se pakar kar kaha to Zoyan ne pehlay uskay haath main pakray mobile aur phir uskay ab bhi zewaron aur make up se aaraasta khoobsurat chehray ko dekha.

is waqt pareshani ki haalat main bhi wo kitni pyari lag rahi thi.

" Zoyan tum hosh main ho ke nahien..?! Main tum se baat kar rahi hoon aur tum mujhay dekhay jaa rahay ho..?!  Pehli baar dekh rahay ho kya..!? "

" haan... Is roop main to pehli baar hi dekh raha hoon." Zoyan ne aakhir apni zaban ke cuff khol hi diye. Aur apni heraangi bhool Zarish ke chehray ko taknay laga.

us ke chehray par ab khuabeeda muskurahat phail gayi thi.

Zoyan ki is achaanak izhar pe Zarish ke chehray par rangat phail gayi aur usnay ek dum se nazrain jhukaatay huway apni ek halki si lut ko kaan ke peechhay lagaaya.

" aur ye tum yahan kamray main chehal qadmi kyun kar rahi thi..?.." Zarish ke haath main pakray mobile pe nazar partay hi usay Zarish ki thori dair pehlay waali afraa tafree yaad aayi .

romanvi lumhon se azaadi par Zarish ko bhi apni pareshani yaad aayi thi .

" aray haan main to bhool hi gayi..! Tum jaldi se Mateen bhaai ka number dial karo mujhay unhain  kuchh zaroori baat bataani thi."

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now