Book 2 : chapter 35

1.6K 90 40
                                    

Book 2 chapter 35

Hazaar baar chaha nigaahon main doob kar hum ne FARAZ
Magar wo nigaahain jhuka leti hai, humain doobnay nahi deti..!

Ahmed faraz

🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿

Shaam ke paanchh baj gaye thay aur wo abhi kuchh dair pehlay hi Zoyan ki presentation se waapis aaya tha jo Zoyan ki khush qismati se kaamyaab gayi thi. Us waqt Zoyan jo sub ke jaanay ke baad bhi Murad saahab ke usay lataarnay ka intzaar kar raha tha , jub Murad saahab ne muskraatay huway uski taareef ki to Zoyan ki shakal dekhnay laayak thi.

Murad sahab ki jharkain sunnay ka wo is qadar aadi ho chuka tha ke jub Murad sahab ne uski taareef ki to be yaqeeni se unki taraf dekhtay huway bola.

" aap mazak to nahien kar rahay na ..? Waaqayi aap ko meri presentation pasand aayi..? " aur uskay ye bolnay ke baad phir wahi huwa jo aksar hota hai. Murad saahab ne usay jhaartay huway apna dimaag durust karnay ki talqeen ki aur wahaan se chalay gaye.

" ab kuchh normal feel ho raha hai..! " Zoyan ne jub ye kaha to Mateen ne itnay dinon baad qehqahaa lagaaya tha.

Is waqt bhi yahaan bethay huway uskay honton par halki muskraahat thi. Aur wo dobaara apni agli meeting ke liye files check karnay lagaa , jub uskay office ke darwaazay par halki dastak huwi thi.

Uski ijaazat ke baat uski PA Rumaisa andar daakhil huwi thi.

" Sir dus minute baad aap ki Meeting hai , islamabad se clients aa chukay hain aur Meeting room main hain.."

" tum ye file le kar jaao main paanchh minute main aata hoon.." Mateen ne apnay saamnay se file usay pakraatay huway kaha. Aur apna dhiyaan waapas wahaan pe doosri file ki taraf mor diya.

Wo ek izzat daar lekin gareeb ghar ki parhi likhi , aur suljhi larki thi. Jo apni family ko support karnay ke liye ye job kar rahi thi. Choonkay usnay kayi aisay waaqiyaat sunay thay jo us ki tarhaan office main kaam karti kayi larkion ke saath hotay thay , is liye shuroo ke pooray din wo is khauf main thi ke kahien uska boss uskay saath kuchh...... Lekin itnay mahinon baad ab usay Mateen ki shakhsiyat ka dil se aitraaf karna parta hai ke Mateen un logon main se nahien hai. Mateen ke saath kaam kartay guzartay har din ke saath uska dar khatam hota gaya aur ab wo apna kaam kisi dar aur khauf ke ba khubi anjaam de rahi thi. is wajaah se uskay ghar ke haalaat bhi bohat behtar ho gaye thay. Aur is ki wajah tha Mateen ka usay sirf professional way main treat karna.

Rumaisa halki si muskraahat ke saath wahaan se baahar chali gayi.

Mateen apni file check karnay ke baad abhi uthaa hi tha ke Murad saahab dastak ke baad wahaan daakhil huway.

" aray chachu aap...kuchh kaam tha to mujhay bula liya hota. " Murad sahab ko dekh kar Sharminda hotay huway bola aur apni jagaah par unhain bethnay ke liye kaha. Lekin Murad saahab ne Muskaan ke saath nafi main sar hilaatay huway Table ke saamnay doosri chair par beth gaye. Lekin Mateen wahien khara raha.

" dar asal abhi DSP sahab ka phone aaya tha ke jin do larkon ne tum pe firing ki thi unki gaardi unhain karachi se mili hai. " Murad sahab ne bataaya. Jub se Mateen ke saath wo haadsa paish aaya tha tab se ab tak police ko sirf yehi kaamyaabi mili thi. Lekin Mateen sahab pur umeed thay ke bohat jald wo us hamlay ke asal shaatir dimaag tak bhi pohanch hi jaayein ge.

" yahan Pakistan main meri kisi se koyi zaati dushmani nahien hai..Aap ko kya lagta hai ke ye kaam kis ne karwaaya hoga. " Mateen jo khud jaanta tha ke ye harkat kis ki ho sakti hai , Murad sahab se bola , jisay sun kar Murad Sahab ke chehray ke taassur ek dum se sajeeda ho gaye thay.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now