Chapter 28

1.7K 125 354
                                    

Us ko juda huye bhi zamana bohat hua,
Ab kya kahen yeh qissa purana bohat hua,

Kya kya na hum kharab huye hain magar yeh dil,
Ae yaad-e-yaar tera thikaana bohat hhua,

❤️❤️Ahmed Faraz❤️❤️

🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿

Aaj Zoyan ko apna daagdaar maazi   bataatay waqt, Mateen phir se un yaado'n  main ulajh kar reh gaya tha. Kitna waqt guzar gaya tha us sub ko, par ab bhi un dino'n ki har baat Mateen ke ragon main khoon ki tarhan beh rahi hai.

Kisi zakham ko bharnay ke liye , paanchh saal kaafi hotay hain... par shayad , Aayat aur uskay liye ye paanchh saal bhi kaafi nahien hain, tabhi aaj bhi uskay dil pe laga har zakhm wesa ka wesa hai. Jesa paanchh saal pehlay tha.

Thori dair pehlay Fehmida chachi usay Dinner ke liye bulanay aayi , to uskay kamray main phailay Andheray ko dekh kar , wo usay daantnay  lagi , ke wo istarhaan andheray main kyun betha hai.

Jawab main Mateen sirf halka sa muskura hi saka , wo unhain kya batata ke ye andhera uski zindagi main chhaaye Andheray ke aagay bohat roshan hai.

Uskay Room ki lights on karnay ke baad wo usay ek baar phir ,  bahar aanay ki taaqeed karkay chali gayien.

Wo na chaara uth kar Bathroom main chala gaya, aur fresh honay ke baad wo seedha apni Daadi ke Room main chala aaya. Aaj uska Dil Subkay saath dinner karnay ka nahien chah raha tha.

Ye jaantay huway bhi , ke uskay maazi ke baaray main Zoyan ke ilaawa aur koi nahi jaanta, phir bhi wo kisi ka saamna nahi karna chahta tha. Uski sharminda Aankhain nazrain milaanain se katra rahien thien.

"Assalaam o Alaikum Daadi jaan , aap ki tabiat ab kesi hai.." kamray main daakhil hotay hi usnay salaam kiya.

" wa Alaikum Assalaam beta.. Main theek hoon.. Allah ka karam hai , Aao meray paas betho.."

Daadi jaan jo tasbi parh rahien thien , Mateen ko dekh kar unkay jhurri daar chehray par khushi ki lehar dor  gayi thi. Unho'n ne Mateen ke salaam ka jawab detay huway uskay maathay par bosa diya. Aur apnay paas bethnay ko jagah di.

" Mateen meri Aankho'n ki thandak meray bachay, Apni daadi ke liye aaya hai , Meray wahab ki shabeeh .."

" ji Daadi.." Mateen ne unki khushi ke liye apnay honto'n pe bhi muskurahat sajaayi, wesay bhi ab usay is naqaab ki aadat ho chuki Thi.

" khana khaya tum ne..? .." Daadi ne apni shawl ko theek se apnay ooper lapaitty huway Mateen se kaha, unki ungliyan tasbeeh ke daano par usi   raftaar se chal rahien thien, jesay wo apnay bolnay ko bhi tasbeeh par gin rahien hon.

" nahien daadi.., aap ke sath hi khaaloon ga.." Mateen ne bataya to Daadi ki muskurahat aur gehri ho gayi.

" sadqay jaaoon meray bachay pe.... Allah tumhain Aabaad karay " Daadi ne apnay tasbeeh pakray haath kaasay ki shakal main uthatay huway Mateen ko dua di.

Mateen ka dil Unki dua sun kar , phir se bojhal ho gaya tha.
Allah us shakhs ko kesay Aabaad kar sakta hai , jo kisi aur ki barbaadi ka sabab ho ..?

Allah beshak insaaf karta hai, aur Mateen to ek bohat bara gunaah'gaar insaan hai.. phir usay kesay chain o sukoon ki zindagi haasil ho sakti hai...? Nahien.., unki ye Dua Allah taala shayad kabhi nahien qaboolay ga.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now