Chapter 18

1.8K 143 335
                                    

Ajab tha jurm-e-mohabbat ke jis pe dil ne mere,
Sazaa bhi paayi nahin ,aur maaf bhi na hua,

malaamato'n main kahan saans le sakain ge woh log,
Ke jin se kuye-jafaa ka tawaaf bhi na hua,

💔Parveen shaakir💔

💕💕💕💕💕💕💕💕💕

"Aayat...."

Yun to har cheez usi raftaar se chal rahi thi, par un dono ke liye Waqt Jesay thehar sa gaya tha.

Ek taraf Mateen tha jis ka dil is raftaar se dharaknay laga ke agar seena cheer kay bahar bhi nikal aaye , to usay is baat pe ratti bar bhi herat na hogi.

Aur doosri taraf Aayat thi , jo apni hi kefiyat main saakin ho chuki thi , usay samajh nahi aa raha tha ke wo kahan jaaye , kis tarhan apnay maazi se khud ko chhupaaye, is waqt wo jo kuchh mehsoos kar rahi thi , wo ye sub pehlay bhi mehsoos kar chuki thi.

har guzartay lumhon ke saath wo khud ko khoti ja rahi thi , itnay saalon ke baad wo phir se apnay aap ko usi andheri sitaah kothri main qaid hotay mehsoos kar rahi thi , jahan usay khud pata nahi hota ke wo kya kar rahi hai , kyun kar rahi hai..?

kuchh yaad hota to sirf itna ke ab sub kuchh khatam ho gaya hai... Kuchh baaqi nahi raha.

Usay apni saansain rukti mehsoos honay lagien, par chah kar bhi wo apni sanson ko aitdaal par laa nahi pa rahi thi . Uskay qadam jesay zameen par manj-mand ( frozen) ho gaye thay , aur is qadar bhaari lag rahay thay ke apna ek qadam uthana bhi usay mushkil lag raha tha.

Ye sub ek bura khuaab hai , ye sub such nahi hai , uskay saamnay khara ye shakhs Mateen nahi ho sakta... qudrat us kay saath itna ghinona mazaak nahi kar sakti....

Qudrat itni be rehem nahi ho sakti....

Par ye Ankhain.... jo is waqt usi tapish ke saath Aayat ko dekh rahi hain , ye wahi Ankhain hain.... jin main wo pehlay bhi ek baar khud ko tabah kar chuki hai, ye wahi chehra hai jo usay pehlay kabhi dil kash lagta tha , jis se kabhi us ne rashk kiya tha. par ye sub ab sirf ek khaufnaak khuaab ki shakal le chukay hain...

Kyun...? aakhir kyun...?

" tum dono ek doosray ko jaantay ho...?" Zoyan ne herangi se poochha , wo is baat se qatayi be khabar tha ke uski Aayat se mulaqat in dono ke liye kya qayamat khaiz lamhaat ka baa'us bun chuki hai.

" Nahi... mujhay jaana hai..." Zoyan kay sawal se be khabar Aayat kaanptay wajood kay saath ek qadam peechhay hati"

Aur Mateen jo khud ek saktay ki si kefiat main tha Aayat ki awaz se jesay jhatkay se hosh main aaya tha.

" Aayat.... tum..." Wo do qadam Aayat ki taraf barha par uski is harkat se Aayat ki Ankhain khauf se phail  gayien. aur ab uski ander ki kefiyat iskay chehray pe saaf zaahir honay lagi.

Aayat ko is tarhaan dekh Mateen ka dil kat kar reh gaya , aur na chahtay huway bhi us ne apnay barhtay qadam rok liye.

Par Zoyan Aayat ki haalat dekh us kay saamnay khara ho gaya tha. "Aap theek to hain...? Aap itna kaanp kyun rahi hain..? Ye sub kya ho raha hai..?"

Par Aayat , Zoyan aur uski koi bhi baat sun'ne say qaasir thi, uski nazar abhi tak Mateen par thi , is khauf se ke wo kisi bhi waqt usay pakar lega aur...

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️حيث تعيش القصص. اكتشف الآن