Book 2❤️Chapter 1

1.9K 115 226
                                    


Jo hum pe guzrii so guzrii magar shab-e-hijraan,

Hamare ashk teri aaqibat sanwaar chale,

            💫FAIZ Ahmed Faiz💫

💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕💕

Ghar main chaaro taraf hungama aur shor o gul machaa huwa tha. Hydrabad se aaye sub cousins living room main dholki liye apnay be suray raag chhairtay huway baaqi makeeno'n ke kaano pe hathoray barsanay main masroof thay .

Shadi main abhi ek hafta honay ke bawajood ghar main aisa mahol sajaya gaya tha, ke jesay shadi kal ya parso'n ho. Fehmida beghum ka khushi aur pareshani , dono main bura haal ho gaya tha.

Ek mahinay pehlay jub Rehana beghum ne phone karkay unhain apni taraf se rishtay ke liye haan kahi to usi waqt se Fehmida beghum ne apni taraf se tayaari shuroo kar di thi.

Wo Zoyan ko apnay seenay se lagatay usay dhairo khushion ki duaain deti rahien , aur is beech unki aankho'n se khushi ke do Aansso bhi chhalak paray thay.

Jub se Zoyan ne jawaani main qadam rakha tha. Fehmida beghum ko aksar is baat ka dar rehta tha ke Zoyan na jaanay kesi larki ko unki bahu banaye ga, ya phir unhain itnay baray faislay main shamil honay ka moqa bhi dega ke nahien, par Zoyan ne unka har khadsha khatam kar diya tha. Zoyan ne unka dil khushi se shaad kar diya tha.

Murad sahab alag Zoyan se bohat khush thay. Par aadat se majboor wo har baat main usay kisi na kisi baat par dipat diya kartay. Jis par unhain akelay main Fehmida beghum se sunni parti.

Rida ko Zoyan ki shadi se zyada is baat ki pareshani thi ke us ek mahinay main bhi uski tayaari na ke baraabar huwi thi. Is wajah se roz uskay bazaaron ke chakkar laga kartay . Aur is main Idrees bakhushi uska driver bana huwa tha.

Daadi jaan ab zyada waqt living room main paayi jaati thien. Jahan wo nayi nasal ke gaaye jaanay waalay gaano'n pe unki izzat afzaayi kartien to kabhi khud apnay daur ke gaanay gaa ke sunatien.

wo alag baat thi ke unkay gaanay ke baad sub ko jamaaiyan aanay lagti thien.

  Ghar main ek khoobsurat maahol bun gaya tha.

" sub ko cards bhaij diye gaye hain.. aur Mayer ke liye bhi khaas intzaamaat main koyi kami nahi hogi... ji... aap log kab tak aa jaayen ge Karachi... ji ada.. aap ko shadi se do teen din pehlay aana hai... ji ji " Murad sahab phone par kisi se baat karnay main masroof thay.

Fehmida beghum paas hi khari nokaro'n se ek ek cheez saaf karanay main masroof thien.

Zoyan naashtay ke baad bahar lawn main chair pe bethay ird gird sub ko khaali aankhon se dekh raha tha. Hasb e maamool idrees, Rida aur uski baaqi cousins ko lekar shopping ke liye gaya huwa tha.

Aur Mateen... wo khud nahi jaanta ke Mateen kya kar raha hai... Wo aaj kal apnay Room se bohat kam nikla karta tha. Par itna wo Zaroor jaanta hai , Mateen jahan bhi hai , theek nahi hai.

Ek mahinay pehlay jub Zarish ke ghar se phone ke zariye unkay rishtay ki razamandi ki khabar mili , to us waqt wo unkay saath hi unkay kamray main mojood tha.

us khabar ne usay khushi se pagal kar diya tha. Par uswaqt Fehmida beghum ne bina kuchh sochay unsay Aayat ki baat chhair di.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now