Book 2 : chapter 36

1.6K 96 25
                                    

Book 2 chapter 36

Dukh , fasana nahi ke tujh se kaheN.....
Dil Bhi Maana nahi k tujh se kaheN...!

Aaj tak apni be'kali ka sabab.....
Khud bhi jana nahi k tujh se kaheN...!

                                                    💞AHMED FARAZ💞

               

✨✨✨vote✨✨✨✨✨✨✨✨vote✨✨✨✨✨✨vote✨✨✨✨✨

Itnay din pur sukoon neendon ke baad uski raat phir se taareeki main doob chuki thi.

Wo Aayat ki taraf karwat kiye neem taareeki main uskay soye wajood ko dekh raha tha. Lekin uska dimaag apni soch ke junglaat main kisi rooh ki tarhaan bhatak raha tha.

Ac ki light se kamray main jo halki roshni phaili huwi thi usmain wo usay waazah tor par dekh sakta tha.

Mateen ke laakh israar par bhi wo Aaj bhi usi sofay par soti hai , jahan wo is kamray main pehli baar wo apni zid main soyi thi . Aaj bhi usi tarhaan lehaaf main khud ko kisi chaar deewaari main qaid karkay wo na jaanay kyun sukoon mehsoss karti hai.

.
Aayat ka chehra Mateen ki taraf hi tha, par uski aankhain bund thien. Mateen ki nazrain na jaanay kitni dair se uskay chehray par thien. Jesay agar wo ek lumhay ke liye bhi us se door hatien... to wo khud ko bhi bhool jaaye ga.  us chehray ki maasumiyat aaj bhi Mateen ki be chain rooh ,  uskay taraptay wajood ke liye sukoon ka baaus banti hai.  Is waqt uska dil shiddat se khuaahish kar raha tha ke wo us sangdil ko apni baanhon main bhar le aur uski khusboo main khud ko bhi bhulaa de.

Lekin wo sirf aisa soch sakta tha lekin is soch pe amal nahien. Abhi nahien.......

***********

Do dinon baad Safia khala aur unkay ghar ke baaqi afraad ghar aaye , aur Rida ko Idrees ke naam kar diya gaya.

Din ka khana khaanay ke baad Jub sub aurtain lounge main jamaa thien , tab safia  khaala ne bataya ke Ideees ki bari khuahish thi aaj aanay ki lekin wo usay zabardasti chhor ke aayien hain. Jis par sub Idrees ki be taabi par hansnay lagien thien , lekin wahaan bethi Rida ka sharam se chehra gulaabi ho gaya tha.

Choonkay ghar main itna ahem moqa tha to Murad sahab , Mateen aur Zoyan teenon ghar par hi mojood thay aur is waqt drawing room main Safia khala ke shohar Amjad sahab aur unkay baray betay hassam ke saath bethay thay.

Bethay bethay jub Safia khaala ne shadi ki taareekh maangi to Daadi jaan ne unhain saaf bataa diya ke wo Rida ki parhaayi khatam honay se pehlay us ki shaadi karnay main razaamand nahien hain.  Lekin haar maannay ke bajaaye Safia beghum ne foran doosra hal bataa diya , jesay unhain Is taraf se is jawaab ka pehlay se hi ilm ho.

"  Amma  aap ne ye baat bilkul sahi kahi ke Rida ki shaadi uski parhaayi mukammal honay se pehlay nahien honi chaahiye , lekin Amma kya hi achha ho agar hum Rida aur Idrees ka abhi sirf nikah kar dain , aur phir rukhsati aap jub chaahay bhalay tab karain..aur sach kahoon to jub se hum ne Rida ke doosray rishtay ka suna hai meray seenay main jesay ek kaanta sa chubh gaya hai , agar Rida aur Idrees ka Nikah ho jaaye ga to mera dil shaad ho jaaye ga. Aap kya kehti hain..? "

" Ye alfaaz mujhay Safia khaala ke kam, idrees ke zyadaa mehsoos ho rahay hain.." Zarish ne apnay barabar khari Aayat ke kaan main muskraatay huway kaha , jis par usay pasli main halki si kohni lagi thi.

Aur phir kayi behs o mubaahisay ke baad Mard hazraat ki mojoodgi main Safia beghum ne apni khuaahish pe sub ke ghutnay tikwaa hi diye.

" aur wahi huwa jo Idrees chaahta tha..kaminay ne bari achhi training dekay bhaija hai khala ko , khaala ek baar bhi apni zid se hatien nahien.." Abkay Zoyan kuchh kuchh impress hotay huway aur kuchh gussay se barbaraaya.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now