Book 2 chap 16

1.5K 101 42
                                    







Book 2 chap 16

añgḌā.ī par añgḌā.ī letī hai raat judā.ī kī
tum kyā samjho tum kyā jaano baat mirī tanhā.ī kī

kaun siyāhī ghol rahā thā vaqt ke bahte dariyā meñ
maiñ ne aañkh jhukī dekhī hai aaj kisī harjā.ī kī

TuuT ga.e sayyāl nagīne phuuT bahe ruḳhsāroñ par
dekho merā saath na denā baat hai ye rusvā.ī kī

vasl kī raat na jaane kyuuñ isrār thā un ko jaane par
vaqt se pahle Duub ga.e tāroñ ne baḌī dānā.ī kī

uḌte uḌte aas kā panchhī duur ufuq meñ Duub gayā
rote rote baiTh ga.ī āvāz kisī saudā.ī kī

                      QATEEL SHIFAYI

❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️

" Fehmida ! Masha Allah bahuain to bilkul chand si mili hain tumhain "

"Aakhir  bahuain kis ki hain.." Jawaab detay huway Fehmida beghum ka chehra khushi o shaadmaani se chamak raha tha.

saari khawaateen living room main Aayat aur Zarish ko salaami ke tofay de rahien thien tub idrees ki ammi ne Zarish aur Aayat ki taraf sataaishi nazron se dekhtay huway kaha to wahan mojood baaqi sub ne bhi isi baat ka iqraar kiya tha.

Shuroo main to kayi logon ne Mateen kay is achanak nikah pe un ginat saawaalat poochhay , par Fehmida beghum ne apni soojh boojh aur samajhdaari se saara maamla sambhaal liya tha. Wo alag baat thi ke unhon ne pehli baar itna  jhoot ka sahara liya, par is ka unhain na koyi afsos tha na fikar.

"Fehmida meri almaari se wo hara makhmal ka dabba aur Zoyan ki dulhan ke liye jo kangan maine tumharay paas rakhwaaye thay wo bhi le aana.." Dadi jaan jo Aayat ke barabar main sofay par bethi thien Aayat ke sar se haath phairtay huway fehmida beghum se bolien.

" ji Amma.. main abhi laati hoon.." Fehmida beghum muskurati huwien wahan se Dadi jaan ke kamray ki taraf chali gayien.

" lagta hai Amma ji ne apni bahu ke liye kuchh khaas cheez rakhi hai, " ek paros ki aurat ne kaha jis par Amma jaan muskra dien , par bolien kuchh nahien kyunkay ye baat jhoot nahien thi. Unhon ne Mateen ki dulhan ke liye waqayi ek khaas cheez rakhi huwi thi , jo unhain unki saas se tohfay main mili thi. Aur wahab ki paidaaish ke baad wo apni bahu ke liye tohfa sambhaalay bethi thien. Lekin qismat ko shayad ye manzoor hi nahien tha.

Par aaj , aaj wo wahab se juri apni har tamanna Mateen se poori hoti dekh rahien thien.

Fehmida beghum kuchh hi dair main apnay haath main do makhmal ke box pakray wahan chali aayien aur dono box dadi jaan ke haath main de diye.

Aayat aur Zarish ke ilawa Wahan mojood Sub ki nazrain Amma jaan ki god main rakhay us baray haray makhmal ke dabbay par thi , jo apni shakal se hi bata raha tha ke ye bohat naslon se safar tai karta yahan pohancha hai. Par Amma jee ne pehlay doosra dabba khola aur is main se do sonay ke intehaayi qeemti aur bhaari kangan nikaalay, aur Zarish kay pehlay hi sheeshay ki chundion aur kanganon se bharay haath main pehnaatay huway uskay sar se hazaron ke note sadqay karkay wahan khari mulazima ko pakra diye. itnay note dekh kar us ki baanchhain nikal aayien thien.

Zarish ne apnay haathon main un kanganon ko dekha, khoobsurat nayi design ke ye kangan usay bohat pasand aaye. Lekin phir doosray hi lumhay usnay apni nazrain un kangano se hataa dien.

wo mehsoos kar rahi thi ke sub uski har harkat ko bohat goar se dekh rahay thay ,aur Sub ki apnay ooper nazron se wo bohat confuse ho rahi thi.

Uska bus chalta to wo abhi wahan se gayab ho jaati.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now