Mateen : chapter 7

2.1K 172 190
                                    

Ab usay naa soochoon to JisM Toot'ta hai FAraZ🍂🍂🍂
Ek Waqt guzra hai uskay naam ka nasha karty karty💔💔

                                           🌿Ahmed Faraz🌿

                                          <<<<<<<<><>>>>>>>>>>>>>

Unkay plane ko land huway ek ghantay se zyada ho gaya tha , aur phir baqi ki kagazi kaarwaiyon ke baad wo airport ke bahar kharay Murad Sahab ke betay ka intzar kar rahay thai. Jo Fehmida beghum ke mutaabik do ghantay pehlay ghar se nikla tha.

Ait port ki building se baahar se nikaltay hi Ek hawaa ka jhonka uskay Cheray se takraatay huway usay kayi achhi buri yaadon ghair vhuka tha.

" Main kal pakistan waapas jaa rahi hoon..mujhay bhool jao Mateen.." Kitni asaani se keh diya tha usnay , usay bhool jaaoon......

Mateen ke banjar dimag main AayT ki yaadon ki tapish har soo thi. Kayi waswasay weham usay ghairay huway thay.

wo isi mulk main hai, is waqt wo kya kar rahi hogi.... ?

kesi hogi wo ?...

kya usnay...itnay saal ho gaye hain ,abtak to usnay shadi bhi karli hogi....

Lekin Ye aakhri soch Mateen ke dil par ek khanjar ki tarhaan lagi thi aur jalan aur dard main usnay apni muthiyan bhench li thien.

" abhi tak pohnchay kyun nahi ho tum...!,.......hum airport ke baahar kharay hain , jaldi pohancho..! "

Ye keh kar Murad Sahab ne call cut kar di aur mateen ki taraf muray jo saamnay gair-mueeni nuqtay ko dekhay ja raha tha. uska chehra  tana huwa tha aur muthiyaan bhenchi huwi thien.

Mateen ko yun dekh kar Murad sahab ne apna mobile dress pant ke  pocket main rakha aur Mateen ke paas aagaya.

" Mateen..,  kya huwa?...tum tense lag rahay ho. "

Murad sahab ki awaaz par Mateen ne chonktay huway unki taraf dekha.

" kuch nahi chachu main theek hoon.bus aisay hi.."  Mateen ne khud ko compose kartay huwe baat ko taal diya. 

Murad sahab ne bhi baat pe zyada zor na dekar asbaat main sar hilaya. Aur usi lumhay Murad saahab kay mobile ki bell baji aur Murad sahab ne caller id dekhnay ke baad call attend ki.

"Hello .......

"Haan hum mac Donald ke saamnay hi kharay hain. "Yeh keh kar unhon ne call kaat di aur saamnay dekhnay lagay. Mateen ne bhi unkay zaaviye ke mutaabik saamnay dekha.

Ek no- jawan larka jo muskurata huwa unhi ki taraf aa raha tha, Usay dekh kar hi pata lag raha tha ke wo Murad chachu ka beta hai , jiskay baaray main Murad sahab ne usay london main bataya tha. 

Mateen ko wo 24 ya 25 saal ka lag raha tha.

" Assalaam u Alaikum Abu , kesay hain aap "  wo seedha aakar pehlay Murad sahab se gale mila.

" wa Alaikum salaam , main theek hoon , par itni dair kahan thay tum .. Tumhari Amma ne tumhain bataya tha na ke tumhain humain lenay ke liye ana hai..?" Murad sahab ne usay khud se alag kartay huway tafteeshi andaz main poochha. Jis par us ne sharminda hotay huway apni gardan ke pichhlay hissay pe haath phairtay huway kaha.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now