Chapter 11

1.7K 148 95
                                    

Qurbat Bhi Nai , Dil Se Utar Bhi Nai Jata💔💔
      Woh Shakhas Koi Faisla Kr Bhi Nai Jata.. .... 💔💔💔

🌹---------✨✨✨✨✨✨✨---------🌹

Chapter 11

Mateen ko pakistan aaye huway ek haftay se zyada guzar gaya tha aur in dino main ek heraan kun inkishaaf jo Mateen ke ilm main aaya wo Mateen ke liye int'haayi na qabile yaqeen tha.

Murad sahab us kay baba ke sagay bhai nahi , balkay unkay chacha-zad cousin thay jo apnay waliden ki death kay baad Unkay aabaayi gaaoon se unkay saath karachi shift ho gaye thay. Aur uskay baba kay pakkay dost honay ki wajah se wo dono ek doosray ke bohat qareeb thay , aur isi wajah se Ghulam haider ki narazgi ke bawajood wo kabhi Wahab se apna taluq khatam na kar sakay. Par Wahab ko wapas is ghar main lana unkay haath main nahi tha.

Aaj Murad sahab , Mateen aur Zoyan ko unkay family business ke baaray main batanay ke liye office laaye thay.  taakay wo apnay kaarobaar ko samjhay aur bohat jald sambhaal sakain.

Jub murad sahab ko pata chala ke Mateen ne Business Administration main aala degree hasil ki hai , to wo bohat khush huway aur Zoyan ko un nazron se dekha jesay keh rahay hon ke, seekho kuch Mateen se nalayak.

Zoyan jo Project Management kar chuka tha apnay Baba ke is tarhaan dekhnay par us ka dil kiya ke saamnay deewar se apna sur phor de.

Lekin agar usne aisa kiya to usay yaqeen hai ke is ke baad phir uskay Baba ne usay kehna ke " naalayak deewar ka plaster kharaab kar diya tum ne."

" maine kitni baar kaha tha ke business main koyi achha course kar lo , par nahi isay apni marzi karni hoti hai" Murad sahab ne Zoyan ki taraf gussay se dekhtay huway Mateen ko bataya.

" Abu Project management, main kya burayi hai , wo bhi to business ke liye hi hai na." Zoyan ne bhi bachon ki tarhan apni degree ka difaah karna zaroori samjha.

Mateen chair pe taik lagaye  muskuratay chehray ke saath un dono ko khamoshi se dekh raha tha. Zoyan ki mojoodgi usay kabhi bore nahi honay deti thi.

" Zoyan mujh se behes mat karo.." Murad sahab ki baat mukammal honay se pehlay hi darwazay pe knock huwa. Aur Murad sahab ke "come in" kehnay par unki secretary andar dakhil huwi aur unhain unki meeting ka bataya aur aur wapas chali gayi.

" Achha Mateen ! mujhay ek zaroori meeting attend karni hai , tum dono ab ghar jao , phir ghar main baat hog. aur Zoyan zyada rush driving mut karna. " Itna kehnay ke baad wo aur apni file lekar chalay gaye.

" kabhi kabhi to mujhay shak hota hai ke main in ka sagha beta hoon ya kachra kundi se inhain mila hoon. "

" itna mat socho , unki yahi sub baatain hi batati hain ke Murad chachu tumhain kitna pyar kartay hain." Mateen ne usay samjhaya. Aur Zoyan herat se Mateen ko dekhnay laga.

" achha..?! Phir to Bohat anokha tareeka hai unka ye batanay ka , kyun?.." Zoyan ki is baat par wo dono hans paray.

Wahan se wo seedha ghar ke liye rawana huway , kyunkay Fehmida beghum ne unhain sakhti se bahar lunch karnay se mana kiya tha, aur wesay bhi Idrees jo kisi kaam ki wajah se unkay saath nahi aa saka tha ,wahan ghar par un dono ka wait kar raha tha.

Car main driving ke doran Zoyan ke mobile ki musalsal bells baj rahien thien ,or ek baar caller Id dekhnay ke baad Zoyan ne ek bhi call attend nahi ki.

Mateen ne Zoyan kay chehray par Caller Id dekhnay ke baad achanak dar aanay wali udaasi ko mehsoos kiya tha. Par poochhna munasib na samajhtay huway wo hunooz khamosh hi raha. Par wo samajh gaya tha ke jo koi bhi usay musalsal calls kar raha tha , Zoyan ke liye bohat khaas hai jis ki wajah se uska humaisha khush-gawaar mood main rehnay wala cousin achanak itna khamosh ho gaya tha.

---------------------

Aayat apnay room main apnay aur Zarish ke kapray teh karkay almari main rakh rakh rahi thi , lekin baar baar us ki nazar Zarish ki taraf jaa rahi thi jo apnay mobile main busy lag rahi thi.

uski shakal se uski pareshani-o-jhinjhilahat saaf zahir thi.

" kya baat hai Zarish , itni pareshan kyun lag rahi ho. " Akhir Aayat ne us say poochh hi lia.

" kuchh nahi aapi, aisi koi baat nahi hai. " Zarish ne bezari main jawab dia.

" Agar aisi koi baat nahi hai to itni pareshan kyun ho, aur  kisay msg kar rahi ho...? "

" maine kaha na aisi koi baat nahi hai,...aur main kisi ko bhi msg karoon aap ko is se kya. Aap sirf apnay baaray main sochiyay. "

Aayat kay istafsar pay Zarish ne talkh lehjay main kaha aur wahan se uth kar bathroom main bund ho gayi.

Zarish ke rawaiye par Aayat Shock main wahien khamosh khari reh gayi, usay samajh nahi aa raha tha ke usnay aisa kya galat keh dia jis par Zarish  itna bharak gayi. Pehlay to kabhi Zarish ne Aayat se unchi Awaz main baat tak nahien ki thi.

Sham ko Aayat apni ammi aur Aashir ke saath bahar lawn main bethay chaaye pee rahi thi. Zarish is waqt bhi apnay room main thi. Din ko Zarish ki us baat pe Aayat ne Zarish ya kisi aur se kuchh nahi kaha tha , par wo uskay liye pareshan zaroor ho gayi thi.

"Ammi meray dost Haadi ne humain dinner ke liye invite kiya hai."
Aashir ki achanak is khabar ne Aayat ko apni sochon se bahar nikala. Aur uski nazar Aashir ki taraf gayi jo Aayat ko hi dekh raha tha.

" tumhara dost hai beta , aur usnay dawat di hai to humain jaana chaahiye. "

-----------------
Assalam-o-Alaikum .please vote and comment 😊😊😊

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें