85.

3.3K 366 313
                                    

Recap:-
Nandini uss category mein jaa rahi thi jahan woh Manik ki zindagi bann jayegi♡

(๑˙❥˙๑)

"Kahani aage badhi jab musicana mein kuch unforseen chize MaNan ki life mein huyi. Manik ko pata chala ki uska jigri dost,uska lakht-e-jigar- Nandini se pyaar karta hai.

Usne bina kuch soche,bina ek second thought diye apni khushi kurbaan kardi Nandini se break up karke.

Yahin to hai Manik Malhotra,
Yaaro ka yaar. Halaki I don't support what Manik did but I can't invalidate the feeling he did with. His intention was pure. Par life mein pehli baar uske saath harr sahi chiz ho rahi thi aur usne wahi sahi chiz ek second mein kurbaan kardi.

Also,
Mein iss chiz ke against isliye huh kyunki woh insaan jiske liye Manik yeh sacrifice kiya,woh insaan khud kabhi bhi Manik ke liye ye nahi karta.

Toh Manik Malhotra,
Only do those things for others that others would do for you :)

Khair,
Toh kahani ko aage badhate hai.

Phir huaa musicana,
Manik gaa raha tha lekin uski aakho mein khushi nahi thi. Hum musicana jit gaye lekin mujhe phir bhi Manik ke chehre pe wo khushi nahi dikhi jo normally hoti.

Phir maine yeh decide kiya ki abb Manik ko confront karna hi padega ki bhaisaab ne kya kaand kiya hai.

Mein aur Manik kabhi bhi bestfriend hone ka dikhawa nahi karte. Hum kabhi bhi "bhai bhai bhai" "dost dost dost" nahi karte par uss insaan ke saas lene ke tarike mein bata sakta huh ki something is bothering him.

Aese hi thodi hume bolte hai
#ManBir.

Haa toh kahani aage badhi,
Maine apna mann bana liya to talk to him par tab unfortunately for some reasons I got into a fight with some goons. Bohot maara kamino merko. Itna ki I had to be hospitalized.

Hosh aaya tabtak baat bigad chuki thi.
Manik and Nandini were back to square one. Ek dusre ko taane maarna,muh chadana,ek dusre ko baat kaatna.

Yeh sab Nandini naturally kar rhi thi par Manik se nahi ho raha tha. Merko dikh raha tha ki sahabzaabe forcefully Nandini se nafrat karne ki koshish kar rhe hai.

Every moment that he was forcing himself to hate her,he was falling more and more in love;with her.

Usse ho nahi raha tha aur yeh merko samajh aa raha tha. Situation bohot bekabu ho rhi thi isliye maine socha mein ek shayari maarke Manik ko samjhane ki koshish karta huh.

Wohi shayari jiske aap sab bade fan hai ki "Manik plaster aur ishq,chupaye nahi chupta" thank you. Thank you very much.

Soon after my very amazing shayari,
We got to know that Nandini ne Manik ke jigri dost ke proposal ko thukra diya hai. Ji haa.

Mein likh ke de sakta huh ki Manik ki aakhein kabhi utna shine nahi kari jitna tab kari thi,yeh sunke ki Nandini said NO.

Par Manik and expressing his feelings openly- NAH.
Par phir mere se raha nahi gaya. Maine puch hi daala ki "kya? Pyaar vyaar ho gaya hai terko?"

Kehta "nahi, physical attraction"
Merko samajh aa gaya pyaar tha.

Kyunki kya hai na. Physical attraction mein hum uss insaan ke liye protective nahi ho jate,uske harr move pe dhyaan nahi rakhte aur na hi itna time lagate hai yeh bolne mein ki "nahi. It's not love" when someone asks "is it love"

MaNan-Instagram!♡Where stories live. Discover now