Chapter 65

630 53 12
                                    

"Aaisa kya hai uss map me jiske liye itne murders ho rahe hai?" Asked Ananya."Ab tak teen log mare ja chuke hai

"teen nhi panch " Said Balveer." Meri Maa aur Papa ka murder bhi issi map ki wajah se hua tha"

"What!!!" said Ananya in shock .

"Dipti meri bahut achchi saheli aur yaha ki ruler thi " Speaks Sharmila ."Wo bahut hi Kushal sanchalak thi . Jitni sakht utni komal.Jaha ek taraf wo kushalta se iss badi si duniya ko chla rahi thi waha dusri taraf wo apni choti si Duniya me bahut khush thi.Wo Duniya jaha sirf unke pati Dansh the .Per ye Khushi aur bhi badh gayi jab unki uss choti si Duniya me ek naye sadsya ki ane ki khabar mili . Iss khabar se hum sab bhi bahut khush the aur har taraf utsav ka mahol tha .Per wo din humare zindagi ka ek kala din ban gya"  Speaks Sharmila with teary eyes.

"Aadhi raat ko Dipti ne apne Vishwas patro ke baithak bulaya tha .Jisme Hum ,humre sena adhyaksh aur humari guptchar vibhag ke Pramukh the.".

Flashback.

"Kya baat hai? Aapne hume iss waqt kyu bulaya sab thik to hai na "asked Sharmila to the Dipti who is looking broken.

"Humare uper bahut bada Sankat aa chuka hai"  She said sternly but her voice seems to be quivery as if she was crying."Aur humara yaha rukna bilkul bhi uchit nhi hoga."

"Per hua kya hai AntaholenSaid Army General.

"Humare hi apno me se koi humara dushman ban baitha hai .Aur wo humare aane wale iss sashak ho janam se pahle hi marna chahta hai  "She speaks keeping her hand on her stomach." Isaliye hume issi waqt ye planet chor kar jana hoga . Humari unupastithi me aap sab ko yaha ki zimmedari sambhalni hai ." She speaks .

"Per aap kaha ja Rahi hai"  asked Army general.

"Pta nhi.Kisi surakshit sthan ka pta chalte hi hum aapko suchit karenge" Saying this she disappeared.

Flashback end.

"Dipti ke jane ke baad jab hum unke kaksh me gaye waha Dansh ka mrit Sarir pra tha"  Speaks Shermila ." Kuch samay baad Dipti ne hume Balveer ke janam ji khushkhabri aur saath hi unka pta bheja  .Unka sakht nirdesh tha ki Balveer ko wahi rakha jaye jaha wo hai aur sath hi gupt roop se unke suraksha ka dhyan rakha jaye.Isliye mai khud Balveer ke ghar me Dhobi ka kaam karne lagi."

"To wo washerwoman jinki baat maa kar rahi thi wo aap ho"  asked Ananya and Sharmilla nodded ."But tumne to kaha tha ki Maa Papa ki death uss manuscript ke wajah se hui hai ".She said looking at Dev.

"Bahut waqt tak sab ko laga tha ki maa mujhe bachane ke liye Earth chali gayi per sachai mujhe tab pta chali jab Mr.Münnier ke murder ki khabar mujhe mili" He speaks."Unke death ka condition extraordinary tha to mere liye ye samjha mushkil nhi tha ki isme sirf normal human ka hath nhi ho sakta .Maine Jab investigation karwaya to mujhe uss manuscript ke part ke  bare me pta chla jiska ek part mere pass bhi tha.Wo  meri Maa ka mere liye tohfa tha."

"But tumne to kaha tha ki wo tumhe tumhari history teacher ne diya tha "  Speaks Annaya.". Aur tumhare khilaf evidence ke liye maine crosscheck kiya tha to tumhari baat sahi thi. "

"Tumhe lagta hai ki mere liye data ko change karna bahut difficult hai " Speaks Dev with smirk.

"Maa ne Manuscript ke saath ek  secret message tha jisse sirf mai padh sakta tha . Unhone uss message me mujhe uss manuscript ki hifazat apni jaan se jyada karne ko kaha tha"  Said Balveer looking at wall without any expression as his mind travel back in the time when he was inspecting to the manuscript after getting murder news of Mr.Müllier . He founded a cryptic code behind the script. When he decoded it he heard voice of his mother.

"Balveer agar aaj aap humara sandesh padh paa rahe hai to iska matlab ye hai aapko aapke astitva ki jankari ho chuki hai .Hum jante hai ki Smita aur Mahesh aapko itna pyar de rahe honge ki aapko humari yaad bhi nhi aati hogi. Hum ye bhi jaante hai aap apni sari zimmedario ko bahut achhe se nibha rahe honge.Issliye hum aapko ek aur zimmedari Dena chahte the. Iss manuscript ki suraksha ki zimmedari.Iski suraksha karne liye aapke papa ne apni jaan de di aur shayad hum bhi apna farz nibhate hue sahid ho jayenge.Per aap humare balidan ka shok mat manana.Veergati pane ka suabhagya sab ko nhi milta .

Aaj nhi to kal iss manuscript ko pane ke liye maut ka tandav jarur hoga . Chahe kuch bhi ho jaye per isse aap galat hatho me mat jane dijiyega. Chahe kitni bhi jyada bhaywah maute kyu na ho wo uss tabahi ke samne kuch bhi nhi hoga jo iss manuscript ke galat hatho me aane se honga."

"Aaisa kya hai iss manuscript me?" asked Ananya.

"Nhi pta ".Said Balveer.

"Aur ye tab tak pta nhi chalega jab tak manuscript ke sare tukre saath nhi aa jate"  Said Sharmila ji.

"Mere pass un parts ki photos hai ."  said  Ananya ." Agar usse kuch help mil sake to?"

"Nhi wo kuch kaam nhi aayegi"  Said Balveer .".Iss manuscript actual me ek map hai jiski details encrypted hai.  jab tak manuscript ke sare parts mil nhi jaate tab tak map apni aski roop me nhi aayega."

"That means ye sab kaun kar rha hai aur kyu kar Raha hai iski koi information humare pass nhi hai"  asked Ananya .

"Humare pass bas ek rasta hai iss manuscript ke sare parts ko protection Dena."  Said Balveer.

"Don't worry wo sare parts Mere pass safe hai"  Said Ananya.

"Aur isaliye tum safe nhi ho" said Balveer." Tum per attack issiliye hua tha kyuki tumhare pass un manuscript ka part tha .

"Mujh pe attack hua kyuki killer ko manuscript ke real location ke bare me nhi pta tha ."  Said Ananya in deep thought." but baki owners per kyu attack hua .Agar usse manuscript chahiye tha to wo sirf chura sakta tha . But usne har owner ko mara kyu?

"Kyuki Manuscript tab tak kisi aur ke pass nhi ja sakta jab tak uska owner apni marzi se use de ya phir usse forcefully liya jaye" Replied Balveer.

"Iss intergalactic problem me kuch ho ya na ho meri job to pakka jaayegi "  Said Ananya sadly ." Ab mai alien ko arrest kar ke court me to nhi pes kar sakti hu.

"Kar sakti ho?" Said Balveer with smirk .

"Humare laws aliens per lagu nhi hote"  Said Ananya curtly.

"Ye sab jo koi bhi kar raha hai obviously wo akele nhi kar raha hai.Uski puri team hai."  Said Balveer." I am pretty sure ki uske spy earth per bhi honge .Jo as a normal human being Earth per saalo se reh rahe honge ."

"To agar mai uss spy ka pta laga lu to tum usse real murderer Tak pahuch sakte ho aur mai usse as a criminal arrest kar sakti ho"  Said Ananya .

"Mai to humesha se yahi chahta tha ki tum Villain ke spy ka pta lagao .Per tumne Villain ko chhor kar hero ki band bajana suru kar diya "  Said Balveer.

"Chahta tha matlab...tumne kaun si meri help....."  Said Ananya as something strike in her mind ." Mr.Müllier wali news cutting.....Tumne   intentionally mujhe  lead  di thi"  Said Ananya in surprise.

"Mujhe lga tha tum Earth pe rahne wale spy Tak pahuchogi tum to direct mujh tak pahuch gayi"  Said Dev shrugging his shoulder while Ananya away while biting her tongue.

So how was the chapter?

Kaun ho sakta hai Earth pe rahne wala spy?

Hint- Someone jo already kahani me introduce ho chuka hai.

TRUTH- AN ILLUSION Where stories live. Discover now