Chapter 74

294 45 64
                                    

Devaki looks down for some seconds lost in her thoughts .She takes a deep breath and continues.

"Dev ,Mai udaka ki wasi hu" Speaks Devaki ." Aur un khas chune hue logo me se ek hi jinhe brahmand ke alag alag jagaho me , surksha ke liye bheja jyada ." Devaki looks at excepting him to be shocked but on the contrary he was looking at him calmly as if he knows everything.

"Aap Dhartiwasi nhi hai iska andaza to mujhe Ananya ke shaktiyo ko janne ke saath hi ho gya tha" Speaks Dev understanding the query of Devaki. " Mujhe to ye janna hai ki Ananya ki shaktiyan humari shaktiyon se alag kyu hai aur wo ek aam dharti lok wasi jaise kaise hai?

"Sahi Kaha aapne . Ananya nahi shashan nahi udaka ke vasiyo jaisi hai." She said with proud smile on her face ." Meri Ananya to sab se bahut alag hai . Kyunki uska janam ek vichitra tarah se hua tha "

"Vichitra taraha?" Speaks Balveer looking at her in confusion.

"Uske janam ke paristhithyo ke bare me janne se pehle aapko meri kahani janni hogi " Speaks Devaki .Balveer nodded allowing her to continue.

"Udaka me Janmi Mai , aapki Maa , Dipti aur Sharmila hum teeno bahut hi achhe dost the. Bachpan se.Dekha jaye to Dipti ka kad humse bahut bada tha , wo to udaka ki hone wali sanchalak thi, per phir unke vawyhar me kabhi unka auhda nhi jhalka .Hum teeno behne jaise thi .

"Aapko to pta ki udaka me koi patriarchal ya matriarchal system nhi hai. Waha ke har insaan ko unke chamta anusar shaktiyan milti hai aur unhi ke anusar dayitwa milta hai.  Sharmila ek bahut achhi parbandhak thi aur mai ek kushal jasus. Isliye Sharmila ko Dipti ke saath uske saath logo me stan Mila aur mujhe yaha dharti per aana pada" Said Devaki.

"Dharti per ek aam insaan ban kar rehne ke Karan Dipti aur Sharmila ke saath mera direct contact khatam ho raha tha. Aur humare kaam ke karan bhi humari bich duriya badti gayi. Meri life se Judi har baat un dono tak pahuch jaati thi, kyunki meri post un dono me sabse choti thi . Lekin unke bare me mujhe kuch bhi pta nhi chal pata. Sharmila se to kabhi kabhi baate ho bhi jaati to Dipti se milna jaise namumkin sa ho gya.Itne saalo me Dipti ne bas teen baar mujhe contact kiya tha -apni shaadi aur apne bachho ke bare me btane ke liye"

"Isliye mujhe uske secret mission ke bare me kuch khaas nhi pta tha . Jab uski aur uske pati ke maut ki khabar aayi to ..." Her voice died in her throat due to the heaviness in her heart .

Balveer also looks away holding his tears back , thinking about all those days when his mom existed.

"Deepti ki maut se mahino pehle uske aadesh pe mujhe ek kaam diya gya tha" Speaks Devaki.

"Ek interesting celestial alignment hone wala tha ,aaisa jaisa aaj tak nhi dekha gya tha."She speaks Dev looks at her with interest.

"Humara universe aur Earth jis me hai wo universe ,overlap karne wale the" She speaks .

"Kya!!!" exclaim Dev in shock." Ye kaise ho sakta hai .Do universe ka overlap karna  , energy balance ke hisab se ye namumkin hai."

"Tabhi ye incident hum sab ko bahut jyada fascinate kar rha tha.Hume lagta tha ki humne iss space ke sare mysteries ko jaan liya hai .Per Space Hume ye yaad dilane se nhi chuka wo humari soch , humari jankari aur humari kalpana se bhi jyada jatil hai.Hum jitna janenge usse kahi jyada janna baki hi rahega"

"Humare Calculation ke according, Universes ke Jo dimensions overlap karne Wale the ,uska part kam tha per uska epicenter iss universe me Earth tha aur humare universe me shaswan tha .Humare anuman ke mutabik iss overlapping se High amount of energy involve hone wali thi , aur humara crew bas research ke liye un energy waves ko study karna chahte the.Isliye humne dharti aur shaswan dono me apna setup banaya tha.

TRUTH- AN ILLUSION Where stories live. Discover now