Daughter, In Law?

289 11 5
                                    

"Beta... Hum jaante hein ki aapko thodi uncomfortable mehsoos ho rahi hogi, jo ki humaare kabhi pehle baat nahi hua hein, phir bhi aise waqt mein humne aapko yaad kiya..." Mr Shekhawat justified his intention, as soon as Sharon took the seat beside his bed.

"Nahi uncle aisa nahi hein... Aap please kahiye!"

"Beta humein Swayam ke baare mein aapse kuch poochna tha..."

"Ugh... haan uncle kahiye..."

"Beta, puraane reethi riwaazon ka sampark karne waale pariwaarom mein se ek hote huye bhi aaj kal ki 'practicality' ka bhi maan rakhna hum jaante hein. Pichle chaar ghantom se humne yeh seekha hein, yeh zindagi sirf kuch palom ki hein, aur inn palom mein humein jeena hein.. Toh isliye beta humein laga ki aapke pitaji se pehle aap yeh baat jaane."

"Kya baat hein uncle?"

"Beta jab ekkees saal ki umr mein hi apni khaandaan ki business mere kandhom pe aa gaya tha. Aur pichle unnthees saalon mein meri tarakki sirf Swayam ki maa ke aane ke baad shuru huyi thi. Aapke pitaji mere bahut achche dosth hein aur shaayad yeh aap bhi jaanthi hogi ki aapka daddy bhi kuch iss tarah hi apne kahaani bataayenge." He said, while she carefully listened to each and every word of him.

"...Shaadi ke baad humaare zindagi ke, humaare karm ke aur humaare khaandan ki unnathi agar hoti hein toh yeh bahut achchi baat hoti hein. Aapke language mein 'upgrade' jisko bulaathe hein, life ki... Aur jahaan tak hum jo baat karna chaahte the, woh Swayam ki shaadi ke baare mein hein..." She looked at him not knowing how to respond and chose to not. And so he continued, "Swayam ne apne bees saal ki umr mein wahi karke dikhaaya jise humne apne pachees mein kiya tha. Aur woh tha ek 'stand' lena. Ek decision, jisko woh achche se nibhaaya bhi... Aaj teen saal ke baad woh apne khud ki company ka maalik ban gaya hein... Ek pita ke liye isse zyaada khushi aur kya ho saktha hein?" He paused while reading her expression of confusion. "...haan. Ek baat se toh ho saktha hein yeh! Jab humein ek pyaari si sundar bahu milen..." He said and paused again, this time recognising the blush forming on her face. "Jaise aap ho... Sundar aur pyaari..." He smiled.

Dance Se DostiWhere stories live. Discover now