78. DEPARTURE

860 111 15
                                    

Three days later in Mallik Mansion

Anu had arrived there to seek their blessings as well as meet everyone before leaving for London.

Sanjeev- tumne saari files wagerah rakh li na. Aur haan agar Vyom ki bhi zaroorat ho toh zaroor batana

Anu- thik hai papa

Ranjana brought a tiffin and handed it over to him.

Anu- mumma mom ne already itna kuch de diya hai ab iski kya zaroorat thi. Aapne kyu takleef ki

Ranjana- bacche ke liye kuch karne mei maa ko takleef nahi hoti samjhe tum. Ab rakho isey

He took the tiffin and kept it.

Ranjana- tune sab samaan rakh liya aur sab check bhi kar liya hai na. Dekhle kuch lagega toh abhi yahaan se le jaana.

Anu- mom chill mai kuch dino ke liye jaa raha hun hamesha ke liye nahi

Ranjana- tum bacche nahi samjhoge humaari feelings ko. Jab humaari jagah hoge na tab samajh mei aayega. Khyaal rakhna apna

Anu- mumma thik hai. Mai aur kuch nahi bolunga. I'll take care of myself.

Vyom- mai keh raha tha Anu tujhe do din rukk jaa phir mera yahaan ka kaam ho jaayega toh mai chale jaaunga. Jab se company ka merger hua hai tere upar thoda zyaada load aa gaya hai.

Anu- koi baat nahi. Tum jao yaa mai jau. Do din nahi rukk sakte Vyom ek baar check karna hi padega ki kya problem hai vahaan par. Aur rahi baat load ki toh voh toh ab kam ho gaya hai kyoki haseena ne bhi business waapis se join kar liya hai.

Karishma- bhaiya kam se kam kitne din lagne waale hai aapko aane mei

Anu- shaayad 3 se 4 din baaki toh kaam ke upar depend karta hai. Jaldi hua toh mai do din mei hi aa jaaunga aur agar late hua toh phir uss hisaab se

Karishma- thik hai

Anu- mai haseena se mil ke aata hun

He said and then looked at Ranjana who blinked her eyes while giving him permission. Anu went towards haseena's room and saw her lying down on her bed flat on her stomach. He then saw that she was looking at his picture in her phone and was talking to him.

Haseena- kyaa anubhav bas kaam kaam aur kaam. Uske alaawa bhi kuch dikhta hai aapko. Mujhe chodh ke jaa rahe ho. Aur main jaanti hun aapki harkat ko vahaan jaake aap mujhe bilkul bhi miss nahi karoge. You won't reply to my calls and messages. Mera kya aapko toh apna khud ka bhi dhyaan nahi rahega. Why are you this workaholic. I'll miss you.

Anu was smiling. While haseena continued to talk and complain with Anu's picture he quietly went and then laid down beside her making her aware of his presence. He hugged her like that only.

Anu- I'll miss you too my love and I love you

Haseena- but I hate you. Aisa koi karta hai kya. Mujhe aapka time chahiye. Par aap toh apna saara time bas kaam ko dete hain

Anu- yeh tum galat baat kar rahi ho haseena. Main tumhe bhi time deta hun. Ab tumhe bhi toh samajhna chahiye meri situation kaise ho jaati hai. Dekho haseena baat bhaut clear hai maine kabhi kaam ke chakkar mei family ke saath compromise nahi kiya hai aur naa hi family ki wajah se kaam ke saath compromise kiya hai. You know bachpan se dad ko sab kuch single handedly kaam karte dekha hai aur unhi se maine yeh balance banana sikha hai. Haan shuruaat mei galtiyaan huyi hai mujhse par maine unko bhi accept karke sudharne ki koshish ki hai.

Haseena- ok I agree with you. But mai kya keh rahi thi ki yeh kaam delay nahi ho sakta kya bhai bol rahe the ki agar aap do din wait karte toh aapki jagah bhai chale jaate aur unhe kuch aur kaam bhi thaa vahaan par toh voh bhi ho jaata.

Anu- nahi haseena I'm sure ki vahaan kuch gadbad hai. Company ke andar ka hi koi usey khokhla karne mei laga hai. I want to look personally into this. Already delay ho gaya hai. Mai aur delay nahi chahata. Yeh company maine aur Vyom ne bhaut mehnat se settle ki hai vahaan par aur usey no. 1 ki position pe phir laake khada kiya hai. Agar Vyom free hota toh koi issue nahi tha but he isn't iss liye mai jaa raha hun.

Haseena- mai ek baat bol rahi hun aapko. Vahaan par humme se koi nahi hoga. Please dhyaan rakhiyega apna aur haan zyaada gussa mat kijiyega. Aapki health pe asar padega. Aap kaam ke chakkar mei khud ko hi bhul jaate hai. You are always like this. Aur mai nahi chahati ki kuch aisa ho. And yes miss me.

Anu- I'm going to miss you the most. Shaadi ho gayi hoti toh mai tumhe bhi le jaata. Issi bahaane humaara honeymoon trip bhi ho jaata.

Haseena- mujhe ek baat samajh nahi aa rahi

Anu- kya

Haseena- aapko workaholic bolu kanjoos bolu yaa phir shaatir

Anu- kyo kya hua

Haseena- kitne smart hai na aap. Jab kaam hai tab honeymoon ke liye bol rahe hai. Kanjoos kahike ek jagah pe do kaam aur shaatir bhi pura time meri chik chik se bache rahenge. Honeymoon pe naa le jaana padey uska abhi se reason bhi hai huhh!!

Anu started laughing. He had noticed that there is something which is bothering haseena and she isn't sharing that. He wanted her to tell him by herself but it seemed that she won't so he decided to ask about it himself.

Anu- kya baat hai haseena mai jab se aaya hun tab se tumhe dekh raha hun. Something is bothering you right. Then share it with me kyoki jab tak mujhe nahi bologi you won't feel light.

Haseena- I myself don't know anubhav but from the morning I'm feeling really anxious. Aur aas paas negative vibes hi aa rahi hai which has created a void in my heart. I'm not having a good feeling at all. I'm not getting good vibes today so please don't go anubhav. Please.

Anu- haseena I didn't expect that you will say something like this. Don't behave like a child. I have work too. You yourself know how much this is important for me. Cheer yourself. Nothing bad will happen when you are with me.

Haseena- toh mai bhi chalu aapke saath. Please. I don't know anubhav why but mujhe aaj accha nahi lag raha hai

Anu- doctor ke paas chale

Haseena- anubhav

After few minutes he finally helped haseena in getting rid of her thoughts. He was about to leave when

Anu- mai jaa raha hun mujhe goodbye kiss toh de do

Haseena smiled. She raised herself on her toes and kissed his cheek while Anu frowned.

Anu- maine kissie nahi kiss maanga haseena

Haseena *laughingly*- haa toh maine vahi toh diya

Anu- for god sake haseena mai tumhaara pati hun koi chota baccha nahi jisey tum gaal par kiss karogi

Haseena- toh uske liye jaldi se jaake jaldi se waapis aaiye phir pakka I'll kiss you

Anu nodded his head. He was about to go when haseena held his collar and pulled him towards herself. She smashed her lips on his and started kissing. She was taking out all her fear in that kiss and Anu could sense her fear. After breaking the kiss, haseena hugged anu and said

Haseena- I'll miss you anubhav please take care of yourself

Anubhav- hmm you too

Anubhav broke the hug and kissed on haseena's forehead and then after bidding bye to the Mallik's he left for the airport. A tear escaped haseena's eyes while he was leaving.

Here is the next update. Do vote and comment if you liked it. Suggestions are always welcomed and constructive criticism too is allowed.

THANK YOU

CAN WE FALL IN LOVEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें