104. PUSHPAJI KI BAATEIN

660 88 22
                                    

I know I had told that I'll update after a month. But I got some free time in the past two days so I managed to write a part and here it goes.

The same day noon time the family sat together to have their lunch. Pushpa had asked the cook to make haseena's lunch separately with desi ghee. Pushpa made haseena eat more than her actual diet. After the lunch she asked anubhav to take haseena to their room and let her have some rest. Anubhav nodded and after haseena slept he came downstairs only to see Pushpa ordering the staffs about something. After she was done they all left from there.

Anubhav smiled and went near her. He hugged her from back and kissed her cheeks. Pushpa too smiled and kept her palm on his cheeks. She then broke the hug and sat on the sofa and anubhav sat on the floor near her legs keeping his head on her lap while she caressed his hairs.

Pushpa- anu kya soch raha hai tu

Anubhav- mom mai na bhaut zyaada khush hun. Itni badi khushkhabri aayi hai par uske saath saath responsibilities bhi aayi hai toh unhe acche se nibha paaunga ki nahi yahi sab dimaag mei chal raha hai

Pushpa- sab ho jaayega beta. Tu akela nahi hai inn sab me. Hum sab hai na tere saath na. Bas tujhe itna yaad rakhna hai ki tu ab akela nahi hai. Tere saath koi aur bhi hai jiska tujhe pura dhyaan rakhna hai. Aur ab jo yeh tera raat raat tak kaam karne ka routine hai uspe full stop laga. Ab tujhe ensure karna hai ki tu haseena ko acche se time de. Pregnancy ke time pe ek aurat ko bhaut saari problems hoti hai aur thodi bhaut insecurities bhi hoti hain but she can overcome everything if her husband supports her and stands beside her always.

Anubhav- I'll try mom ki usey meri taraf se koi bhi problem naa ho

Anubhav lifts up his head from her lap and took her palms in his and kissed them. He got up and then kissed her cheek while making sound and said- Mom I love you so much

Pushpa slapped him lightly and said- chal hatt jaa ab yahaan se. Haseena abhi aaraam kar rahi hai aur voh jab uth jaaye toh tum usey lekar niche aa jaana. Usey thodi thodi der mei kuch naa kuch khaane ke liye dete rehana hai thik hai. Aur mujhe tum dono se kuch baat karni hai. Haan ek baat aur shuru ke teen mahine tak family ke alaawa aur kisi ko bhi nahi batana hai iss bare mei samjha.

Anubhav nodded his head in yes and then left from there. He went inside the room and saw haseena was awake and was blankly staring at the ceiling. He called her softly and she looked at him.

Anu- mom keh rahi thi ki tum uth jao toh hum neeche hall mei chalenge unhe hum dono se kuch baat karni hai

Haseena- thik hai mujhe paanch minute dijiye phir chalte hain

Anu- you are okay na ??

Haseena nodded. After five minutes they both descended the stairs. They saw Pushpa talking with someone on her phone. They both went and sat on the sofa waiting for her to finish the call. Pushpa on finishing her call looked that they both have arrived and were waiting for her. She smiled at them. She took a chair and sat in front of both of them.

Haseena- mom aapne bulaaya. Kuch baat karni thi aapko

Pushpa- haan bilkul karni thi aur tum dono ko jo mai kahungi woh follow bhi karna padega. Samjhe

They both nodded. Till the time Mahesh too had entered the scene and he too sat on the sofa beside AnuSeena.

Pushpa- haa toh mai Kya keh rahi thi I have made some rules for you haseena

Before she could continue haseena whinned

Haseena- what rules mom

Pushpa- kya baccho jaise kar rahi ho haseena toh suno meri baat ko pehle sabse pehli baat you'll take care of your health. Tumhe jab jo khaana hai khaa sakti ho but bahaar ka nahi. Tumhe har thodi der mei kuch na kuch khaate rehna hai. Next you'll go for a walk with anubhav every morning. The first trimester is very risky. Tumhe morning sickness ke saath saath dizziness bhi feel ho sakta hai. Aur mai koi chance nahi lena chahati tumhaari health ke saath. Iss liye stairs se neeche utarte waqt koi na koi tumhaare saath rahega. Yaa toh family members yaa koi staff. Tum tumhaare 6th months pure hone ke baad niche waale room mei shift ho jaaogi. Tum saari medicines time se logi aur doctor ke diye huye saare instructions follow karogi aur ek bhi visit miss nahi karni hai tumhe. Aur.....

Haseena- mom mom please enough bhaut ho gaya ab toh bas kijiye. Mai din bhar khaati rahungi toh mai moti ho jaaungi. I'll blow like a balloon. Phir sab mujh par hasenge. Aur mom neeche waale room mei kyu

Pushpa- koi nahi hasega tum par aur neeche waale room mei rahogi toh stairs kam use karogi tum toh better hai. Aur last rule bacha hai abhi bhi aur voh yeh hai ki 7 month se tum office nahi jaaogi. Tumhe kaam karna hai toh ghar se kar lo. Zyaada pressure mat lena bas haa. Moreover you can spend your time at home with us with your family. Always try to be happy. And yes tum chaho toh anubhav tumhe orphanage bhi le jaaya karega tum baccho ke saath time spend kar lena. Tumhe accha lagega.

Haseena- okay okay mom I'll follow everything but yeh bhaut zyaada hai. Office se break mai 8 month se le lungi please

Pushpa- nahi baccha mai tumhaari health ke saath koi risk nahi le sakti toh yeh sab toh tumhe karna toh padega beta aur ab anu tumhaari baari. Tumhaare liye bhi kuch rules hain

Anu *horrified*- mere liye rules kyu mom. Pregnant toh haseena hai na

The trio i.e. Haseena, Mahesh and Pushpa shot him an angry glare as soon as those words left his mouth. He looked at them and gave a nervous laugh.

Pushpa- yeh kya bacchon jaise kar rahe ho tum dono. Maa baap banne waale ho aur harkatein baccho jaisi. Anu tujhe bhi meri baat manni hi padegi

Anu- thik hai mom. Boliye aap. Mai sunn raha hun.

Pushpa- tumhe haseena ka bhaut acche se dhyaan rakhna hai. Usey humesha khush rakhna hai. Tum daily subah uthoge aur usey walk pe lekar jaaoge. Usey jo kuch bhi khaana hai tum laa kar doge. Voh zyaada kaam na kare aur aaraam kare voh bhi tumhaari hi responsibility hai. Jitna ho sake tum uske saath time spend karoge. Voh apni medicines time par le rahi hai aur doctors ki appointments miss nahi honi chahiye iss baat ka khaas khyaal rakhoge tum. Iss time pe usey mood swings bhi honge aur cravings bhi hongi. You have to fulfil all of that. Calm down your anger. And don't you dare talk to her in high pitch and make her cry. If you do that then I also don't know what I'll do to you. You'll face the worst side of me. And all this I said is a clear warning for you get that.

Anubhav *joining his hands*- done mom. Jaisa aapne kaha hai waisa hi hoga. Aur kuch

Pushpa- ohh haa mai ek baat batana hi bhul gayi. Kal tum dono office thoda late se chale jaana.

Haseena- mom maine kal leave li hai. Kal kuch khaas kaam nahi hai

Anubhav- same here mom. But kal subah kuch kaam hai  kya aapko humse jo aap aise bol rahe ho

Pushpa- yeh toh bhaut badhiya baat huyi. Maine socha hai ki kal subah hum mandir chalenge. Aur phir wahaan se Rani ke ghar chalenge. Thik hai

AnuSeena nodded. Few hours later it was night time. The family had their dinner together where again Pushpa fed haseena with her own hands and again haseena had her meal more than her diet all thanks to her loving mother-in-law.

Anubhav entered the room and find haseena lying down on the bed waiting for him. He looked at her for a minute and then went inside the washroom. After few minutes he came out and then joined her. Anubhav pulled haseena towards himself in the sleeping position and hug her. Haseena snuggles more in him and soon sleep takes over her. Anubhav adores her sleeping figure for a while and then soon sleep took over him also and both went to a peaceful land where there is only love for each other.

CAN WE FALL IN LOVEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें