chapter-36.

0 1 0
                                    

Zahan:- hi tum kab aayi Singapore se!!!

Misbah:- kal hi aayi hoon tum batao tum kaise ho....

Zahan:- mai theek hoon!!!

Barira:- bro woh chali gayi aap ko chodh kar!!!

Zahan:- kaun chali gayi ye tu kya bol rahi hai!!!

Zaroon:- kuchh nahi bro ye receptionist ki baat kar rahi hai jo aayi thi na usne resign kar diya hai......

Zahan:- accha toh ye baat hai waise mai hospital mein Kyun hoon kya hua hai mujhe aur mera sar itna dard Kyun kar raha hai!!!

Dr.khanna:- ab aap ko kaisa lag raha hai!!!

Zahan:- aap kaun hain aur mai yahan kya kar raha hoon bataye na kuchh!!!

Dr. Khanna:- aap ka accident ho gaya tha aur aap ki memory loss ho gayi hai!!!

Zahan:- mujhe kuchh nahi hua hai Dr khanna mai bilkul theek hoon mujhe ghar jana hai!!!

Rufaida:- beta aaram se tujhe bahut chott lagi hai tu bas leta rahe please!!!

Zahan:- mom batao na mera accident kab hua aur ye kab wapas aayi!!!

Zaroon:- Dr ye sab kya ho raha hai iske saath!!!

Dr khanna:- memory loss mein aisa sab hota hai inka bahut acche se khayal rakhna hoga past se judi koi bhi baat inko yaad nahi aani chahiye aur agar by chance inko kuchh bhi yaad aaya toh inki jaan bhi jaa sakti hai!!!!

Kabir:- chup hoja beta sab theek ho jayega!!!

Shajiya:- kya theek ho jayega bro mujhpe ilzam lagaya gaya hai ki aaj Zahan sir ki jo bhi halat hai woh sab meri wajah se hua hai aur mai kaise kar sakti hoon mai unse mohabbat karti hoon aur ye sab uss Misbah ko dikhai Kyun nahi deta aur itna hi nahi unn dono ka toh baccha bhi hai!!! Mai nahi jee sakti unke bagair mai mar jaungi bhai!!!

Kabir:- shhh!! Aisa nahi kehte beta agar tujhe kuchh ho gaya toh tu Zahan ko wapas kaise laayegi!!!

Shajiya:- mujhe yahan se bahut dur le chalo bro please agar mai yahan rahi na toh har din har pal mujhe unki yaad aayegi aur mai dusre collage mein bhi admission kar loongi lekin yahan nahi!!!!

Raiqa:- tu kahin nahi jayegi yahan tera ye haal hai aur wahan uss ghar mein jashn pe jashn manaye ja raha hai!!!

Shajiya:- kya matlab hai tera ye aadha adhura kyun keh rahi hai jo baat hai saaf saaf kyun nahi kehti!!!

Raiqa:- kal sir ki engagement hai Misbah ke saath aur aane wale 2 din mein shaadi!!!!

Shajiya:- ye nahi ho sakta woh mujhe dhoka nahi de sakte....

AASMANO PE LIKHAA....Nơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ